Thursday, April 30, 2009

Shikayat Na Karta Zamane Se Koi

Kisi pathar ki moorat se mohabbat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Jo dil ki dharkanein samjhe na ankho ki zuban samjhe
Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
Ushi ke samne us ki shikayat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

ye socha hai ke dil ki bat us ke robaru keh dein
Natija kuch bhi nikle aaj apni arzoo keh dein
Har ik be ja takalluf se baghawat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Mohabbat be rukhi se aur bharrke gi wo kya jane
Tabbiat is ada se aur pharrke gi wo kya jane
Wo kya jane ke apna kis qayamat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai.

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Main Royi Sari Raat Bohat

Her Ghum tha Zamany ka lekin

May Tanha thi Us Raat Bohat

Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa

Jab Seher Hui to Khiyal Aya

Wo Badal Kitna Tanha Tha

Jo Barsa Sari Raat Bohat.

MalaaL

Waqt Guzra Tu Yah Malaal Howa




Khatam Ak Zindage Ka Saal Howa




Kitne Shiddat Say Koee Yaad Aaya




Aaj Jeena Bara Mahaal Howa




Soch Ke Jheel Main Gira Pather




Bay Sabab Muntashir Khayal Howa




Log Dekhay Bohat Mager Jana




Koee Teri Kaha Mesaal Howa.

Usse Takleef Mat Dena

Mohabbat jis se ho jaye usse takleef mat dena,
Wo chahey dukh hazaron de usse takleef mat dena,

Kabhi tum chand se kehna kabhi taaron se apna gham,
Agar wo sun nahi paye, usse takleef mat dena,

Tumein us shakhs ki galiyon me chahey mout ajaye,
Wo milne se jo katraye usse takleef mat dena....

Ek Baat Kehni Thi Tujhse

Ek baat kehni thi tujhse
Jo khudh se bhi na keh paaya
teri mohabbat ek saza hai
yeh aaj samajh main aaya

Kyun main tujhe khudh se
Juda nahi kar paata
Kyun teri yaadein ab
Dil se door nahi jaati

Kyun meri hansi ab
Labon pe khatum ho jaati
Kyun har umeed mujhe
Teri orr kheench laati

Pyar ki yeh kaisi keemat
Tu mujh se le rahi hai
Kya mujh se itni nafrat
Jo har lamha gham de rahi hai

Ab tu hi bataa
Ke mera kasoor kya hai
Tujh se mohabbat kar ke
Maine kya jurm kiya hai.

Sath Rota Tha Mere Sath Hansa Krta

Sath rota tha mere sath hansa krta tha,

Wo hi ik tha jo mere dil me basa krta tha,

Meri chaht ka talbgar tha wo is darja,

K wo namazo mein dua kiya krta tha

Ik lamhe ka bichrna b gawara na tha ussay

Rote rote wo mujse yehi kha krta tha,

Rog dil ko jo laga betha tha anjane mein,

Meri agosh mei marne ki dua krta tha,

Baat kismat ki thi k dur ho gae hum,

Warna wo to muje tqdeer kha krta tha.

Chand, Ghulaab, Aur Main

Jo kehta tha aksar mujh ko



Chand ghulaab aur tera chehra



Teenoon aik se lagte hein,



Shayad usse khoob khaber thi


Chand bana hai shab ka hissa


Aur ghulaab ke sar par patjher


Mujh ko dard-e-hijer mila hai!

Ye Jamal Kiya

ye jamal kiya..
ye jalal kiya..
ye aruj kiya..
ye zawal kiya..
wo jo lamha lamha bikhar gaya..
wo jo apni hadd se guzzar gaya....
ussay fiqar-e-sham- o-sehar kiya....
wo jo be-niaaz sa ho gaya..
wo jo aik razz sa ho gaya..
jissay kuch gharaz hi nahi rahi...
ussay dast-e-harf- e-sawal kiya...
howa raiza raiza jo dill tera..
ussay jorr jorr k matt dikha..
wo jo apnay husan mai mast hai...
ussay aiynay ka khayal kiya...
kabhi uss ny mujh ko jala diya...
kabhi us ny mujh ko bhuja diya...
main charagh tha tu hawa ny bhi....
mujhy ik tamasha bana diya...

Aaj Phir Mein Roi Hoon

mein alkeli thi tanha thi

bezari aur laachari mein

jabhi nikli bahir ghar se mein

thandi hawa ne mujhe galay lagaya

merey chehrey se balon ko hataya

phir garjay badal meri ahoon pe

aur ro dia asman bebassi pe meri

paani ki girti bondon ne

merey aanson ko saf kia

phir mein akeli kabh thi

kuch sokhey pattey pass the

jo merey gird bikhrey the

woh bhi tu kitney the babnaseeb

bichar gaye the pae'roon se

aur haath charey the fizaon ke

mein un sokhe patton sang

kharri thi tanha barish mein

aur keh rahi thi behtey paani se

kion ponch rahe ho yeh aanso?

jabh rota har par dil hai mera

kion nahi baha ley jatey tum

ghum merey yeh dukh merey

maat poncho in aansoon ko

mujh pe ik ehsaan karo

baha lejao badnaseebi meri

baha lejao meri yeh tarap

aur kar dalo azzad mujhe

bigri taqdeer ki zanjeeron se

bakhsh do mujhe woh zindagi

mussarat jiska naam hai

haan mein barish mein

tanha khari roi hoon

phir aaj sabhse chup chup ke

apni qismatt per roi hoon

haan aaj per mein roi hoon.

Wo Tum Na Thi Ik Khayal Tha

Wo tum na thi ik khayal tha
meri sooch ka hi kamaal tha
wo muhabbatain wo chahatain
meri uljanoon ka hi jaal tha
mery dil mein thin jo ronqain
wo tera hi husn-o-jamaal tha
jawab jis ka milla nahi
wo aisa hi ik sawal tha
wo ajj milla to yon laga
yahi to hai wo jiska intezar tha
ussy yaad kaisy na koi kary
ussy boolna to mohaal tha
ab us ki kia main missal doon
wo to apni missal ap tha.

Woh...................................

Wo mujh sy besabab uljha nahi tha.

Wo pehlay to kbhi aesa nahi tha,,,,,



Bohat aala tha us ka zarf liken?

Wo meri zaat ko samjha nahi tha.



Wo jis bey rukhi sy chal diya tha,,

Main itna bhi giya guzra nahi tha.



Usay main kiyon bura theraon yaro.

Bohat acha tha, fqat mera nahi tha.

Kabhi Main

kabhi mein gun guaoon to tum mujhy yad aaty ho
kabhi jo muskooraoun to tum mujhy yad aaty ho.

khuli aankhoun mein teri yad k hi deep jalty hein
ager palkein jhukaoon to mujhy tum hi yad aaty ho

ager batoon hi batoon mein wafa ka zeker aajy
to mein soochoon mein kho jaou mujhy tum hi yad aaty ho

kesi ki aankh se aansoo lahuu ban k tapkty hein
ager daman churaoun to tum mujhy yad aaty ho

kabhi ujry howe shehre mohbat mein ujaly ko
deaa koe mein jalaoon to tum hi yad aaty ho

tujhy dil se bhulany ko mein apny aap ko bhool jati houn
mein khod ko bhool jaoun to tum mujhy hi yad aaty ho

meri her aik khoushi tum se hei mansoob ay dost
koe bhi zaqam paooun to tum mujhy yad aaty ho.

Suno Ae Chaand C Larki

Suno ae chaand c larki
Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti
Chalo mana k yeh such hai
Magar ae chaand c lerki
Mujhe itna batao tum
K jub mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiun muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho
Mujhe awaaz deti ho
Suno ae chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jub naam leta hai
To phir kiun chonk jaati ho
Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota
Mera dawa hay chahat main
Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar ye dekha hai
Agar kuch waqt kut jaye
Samay ki dhool chat jaye
To wehshat bhaag jati hai
Muhubbat jaag jati hay.... !!!!

Tumhain Jana Zarori Hay

chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
ju jana hay tu phir is main
morrawat kee zaroorat kya
muhabbat ab nahe tumko
takkalof kee zaroorat kya
naya sathi ju dhondha hay
tu phir mairee zaroorat kya.........

Ek Khawab Hay

Is khawab main khona bhi naheen hay

Tahbir k dhage main prona bhi nahen hay

Lipta hay mere dil se kisi khawab ki surat

Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahen hay

Rakhna hay sar_e_chashm ise sakat_o_jamd

Pani main magar chand bhagona bhi nahen hay

Har chand tere naksh_e_kaf pa main hay lekin

Yeh dil kisi bache ka khilona bhi nahen hay

Wabasta hay muj se k tu hay bhi k nahen hay

Gar tu nahen muj main, tera hona bhi nahen hay

Yeh ishq_o_mohabbat ki rawayat bhi ajab hay

Paya nahen jis ko,use khona bhi nahen hay

Jis shakhs ki khatir tera yeh haal hay

Is ne tere mar jane pe rona bhi nahen hay.

Anjan Ban Jana

Tum jao hum say door to ek kam kar jana
Kuch Pal Apne hamare nam kar jana

Agar ajaye mot hamain tere anay se pehlay
To akar hamaray janazay ka ahtram kar jana

Na rona isqadar kay takleef ho hamain
Mout ko bhi Mazak samajh kar Anjan ban jana

Main ek din so jaon gi sada kai liye
Phir mujhay be wafa keh kar badnam kar jana

Jo guzro meri qabar sai to nazrain na pherna
Mehman hi ban kay dua salam kar jana.

NA Umeedain Rakhtay

Na Umeedin Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Ietbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota


Sabaq Deta Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko Samjhtey To Acha Hota


Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota


Sochtey They Ietbar Andha Ho Ga Dewawa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Dekhtey To Acha Hota


Na Chahtey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Kisi Ko Lagtey To Acha Hota


Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota.

Meri Akhari Tahrer Samjhna

Muj ko ghamain hallat ki tasver samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Afsana ghamain dil ka tujhe kaise sunaon
Tuuta jo sitam dil pe tujhe kaise bataoun

Is pyaar ko bighari huyi taqdeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Mana k judayi ka bohut zakham hay ghera
Main chup hoon k lab par hay riawayat ka pahra

Jo tuut naheen sakti woh zanjeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Chaha tha bohut main ne tera sath na chute
Hathon se kabhi tere mera haath na chute

Is khuwab ki kismat naheen tahber samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna.

Khamosh Mohabbat

Khamosh Mohabbat
Meri khamosh mohabbat ka
Itna to sila diya hota,
Kabhi ik nazar chahat se
Dekh hee liya hota.
Hum bhi tujhay ishq-0-mohabbat
Se aashna kartay,
Bas ik baar apnay dil mein
Aanay to diya hota.
Kia jata tumhara bas
Hamein hee dil se khushi milti,
Apni zindagi ki kitaab mein
Naam hamara bhi likh liya hota.
Dekh letay zara ghor se shayad,
Tumharay haath ki lakiron mein
Hamarai kismat ka bhi diya hota.

Yadou Kay Darechou Ko Zara Khol kay Daykho

Yadou kay Darechou ko Zara Khol kay Daykho

Hum Loogh Wohi hay kay Nahi , Ghoor say Daykho




Hum Ooss Kay Katray hay Kay Bikhray Howay Moti

Dokha Nazar Aayain Tu Hamain Roull Kay Daykho



Kanou May Bari Dayr Talak Gounj Rahay Gi

Khamoosh Chattano Say Kabhi bol Kay Daykho




Zarray Hain Magar Kam Nahi Paou Gay Kisi Say

Phir Janch Kay Daykhoo Hamain , Phir Toul Kay Daykho.

Wednesday, April 29, 2009

Meri Mohabbatein Shumar Kr K Dekhna

Aahat Aahat Intazaar Kr K Dekhna

kabhi Kisi Se Pyar Kr K Dekhna




Toot Jate Hain Khoon K Rishte Bhi

Ghaltian Do-Char Kr K Dekhna




Agar Zendagi Ka Falsafa Smajhna Ho

Barish Main Kachi Dewar Khari Kr K Dekhna




Kaee zamane Beet Jayen Ge Jana !

Kabhi Meri Mohabbatein Shumar Kr K Dekhna....

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi ilzam Rakh Diya

Duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya
ham ne muqabil us k tera nam rakh diya

ik khas had pe a gai jab teri berukhi
nam us ka ham ne gardish-e-ayyam rakh diya

main larkhara raha hun tujhe dekh-dekh kar
tune to mere samne ik jam rakh diya

kitna sitamzarif hai wo sahib-e-jamal
us ne diya jala k lab-e-bam rakh diya

insan aur dekhe bagair us ko man le
ik khauf ka bashar ne Khuda nam rakh diya

ab jis k ji mein aye wahi paye raushani
ham ne to dil jala k sar-e-am rakh diya

kya maslahatshanas tha wo adami 'Qateel'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya.

Kuch Chiriyan

Kuch chiriyan hain jo

Aankhain mond-e rehti hain

Choti c is dunia main

Sapny sajay rakhti hain

Sapnon ki barat main un k

Na koi badal hai, na koi saya hai

Sara manzr un ka apna man bhaya hai

Is liay wo kehti hain

Hum sapno ki saij main rehti hain.

Dukh Kiyaa Hota Hai

tum ne poocha k,

dukh kia hota hai,

too sunoo,

aisa kerna,

kabhee kisi ko chahna,

orr chahtey hee rehna,

din bher iss ko sochtey hee rehna,

jagtee ankhoon se iss k sapne

deekhte hee rehna,

apne hathoon ki lakeroon mein iss ka

naam tarashte hee rehna,

orr jaab kabhee wo,

inn riazatoon ka hisab mangne ko,

samne aay too,

tum ana ka hath tham lena,

agar wo kuch kahay too,

muskura ker anjan ban jana,

orr jaab wo mayoos ho ker loot jay too

apne ander jhankna,

orr khud se poochna,

tub tumhara dil

tumhain bata day ga k,

dukh kise kehte hain,

dukh kia hota hai...

Tumhara Naam Likh Likh Ker

Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon
Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon
Boht si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain
Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon
Tumhare baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai
Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon
Mai her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga
Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon..

Jane Wale Teri Tasvir Bhi

jane wale teri tasvir bhi ley jaa mujhse
lut raha hon tou yeh jagir bhi ley ja mujhse


lout ker phir kabhi awaz na dena mujhko
pyar kerne ka yeh andaaz na dena mujhko
hath mei toota hua saaz na dena mujhko
tere khat teri yeh tahreer bhi leja mujhse

ab mera or meri manzil ka thikana kia hei
mujhse maat pooch ke jeene ka bahana kiya hei
tu nahi hei tou zamane ko dikhana kia hei
cheen ker ab meri taqdeer bhi ley ja mujhse

jane kal kia ho teri aas rahe ya na rahe
dil mei yeh dolat e ahsaas rahe ya na rahe
zindagi meri mere pas rahe ya na rahe
khwaab toota hei tou tabeer bhi ley jaa mujhse

jane wale teri tasvir bhi ley ja mujhse
lut raha hon tou yeh jageer bhi ley jaa mujhse.

Mera Bojh Khud Uthana

mera bojh khud uthana merey daeray main rehna
mujhey apney dil main rakhna merey hafzey main rehna

merey manzaron main basna meri guftagu main hona
merey lams main samana merey zaieqey main rehna

mera hukam khud sunana meri mohar khud lagana
merey mashwarey main hona merey faisley main rehna

kabhi dhoop kai nagar main mera saath chore dena
kabhi mera aks ban kar merey aaieney main rehna

kabhi manzilon ki surat meri dastars sey bahar
kabhi sang-e-meel ban kar merey rastey main rehna

merey haath ki lakerain tera naam ban kar chamkein
meri khwahishon ki khushbu, merey zaiechey main rehna.

Gham Sey Na Dil Ko

Gham sey na dil ko kabhi hamkanar karna
Main phir aaon ga palat ker mera intizar karna

Mujhey darr hai merey ansoo teri ankhon sey na chalkain
Zara soch ker samajh ker mujhey sogwar karna

Ussey dhond sab sey pehley jo nahi mila hai tujh ko
Yeh sitarey aasman kai kabhi phir shumar karna

Yehi reh gia madawa meri badgumaniyon ka
Tera muskura kar milna ' mera aitbaar karna

Badnaseeb sohail teri zindagi hi kia hai
Na kisi sey dil lagana ' na kisi sey piyar karna

Kabhi iqtidaar bakhshay jo Khuda Qateel tujh ko
Jo rawish hai qatloon ki woh na ikhtiyar karna.

Patthar tha Magar

Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha



Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha



Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha


Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha


Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha.

Hum Yunhi

Hum yunhi humsafar ban k chalte raheen

Hum na badleen kabhi din badalte raheen

Sath apne hay jab pyar ki roshani

Har andhre ab hum guzar jayeen ge

Humqadam ban k tum sath chalte raho

Jitne kante hain sab phool ban jayeen ge

Manzileen apne qadmon main ati raheen

Khawab sare haqeqat main dhalte raheen

Chaye ab gham mile chaye aye khushi

Kam na ho gi hamari mohabbat kabhi

Jaan_o_dil donoon main ne tujhye de deye

Likh chuka main tere naam yeh zindagi

Pyar k geet honton pe ate raheen

Aik sene main do dil machalte raheen.

Pehle Se Ab Who Din Hain Na Pehli Si Raat Hay

pehle se ab who din hain

na pehli si raat hay

shayad hamare baich

kahin koi baat hay

kiya baat hay jo ab TU hume daikta nahi

kiss haal main hain kaise hain kuch poochta nahi

laghta hay koi wahan TERE ass pass hay

shayad hamary baich kahin koi baat hay

jane kahan se raah main ye mour a giya

seenay main dabe poun koi aur a giya

jab ke har aik kadam pe

TU hi mere saath hay

shayad hamary baich

kahin koi baat hay

pehle se ab who din hain

na pehli si raat hay.

Sukoon

samander per sukoo'n hai per kinaray shor kertay hain
meray atraaf bas rangee'n nazaray shor kertay hain



aur ab to chandni raatein mujay achi nahi lagtein
sukoo'n say so nahi sakta k taray shor kertay han



mein jab khamosh rehta hon to sab khamosh rehtay han
agar ik lafz bhi bolon to saray shor kertay han



bohat muddat hoe jab tum meray kochay say guzray thay
pa'kadmon k nishaa'n ab tak tumharay shor kertay hain



koe bhi baat yaksooe say ab sochi nahi jati
k meray zahen mein kuch ista'aray shor kertay han



mera ghar jal raha hai, mein kisi say kuch nahi kehta
magar aye doost ye shulay shararay shor kertay hain.

Aik Baar

wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa


aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa


jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa


weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa


manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa


naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa


kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa.

Ankhon Ka Samandhar

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...


ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...


baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...


mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...


regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...


Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

HAAL-E- DIL MERA JAANTI HAI WOH

Tujh ko her lamha chahta hoon main

tujh ko her lamha poojta hoon main




apni tanhaiyon se ghabra ker

tere baare main sochta hoon main






raat ke peechle pehar utth utth ker

bas tujhe hi to maangta hoon main





apne honton se kuch nahi kehta

aankhon aankhon se chahta hoon main






neend mujh ko zara bhi nahi aati

raat bhar yun hi jaagta hoon main





jo bhi kahoon woh kuch nahi kehti

meri her baat maanti hai woh



haal-e- Dil kya usse sunaoon main

haal-e-Dil mera jaanati hai woh.

HAMARA MAAN RAKH LO

HAMAY AFSOS HAI BEHAD
HAMARY PYAR KI KHATIR
ZAMANAY SE LARAY HO TUM
DAURAHAY PER KHARAY HO TUM
MAGAR WO DEWARAIN JO DUNYA NE BANAI HAIN
NA TOOTAINGI.....
NA SAR PHORO
TUMHARI HAR KOSHISH
RAIGAN HOGI
SAFAR HAI
ZEEST KA
LAMBA HAI
KISI KO SATH ME LE LO
TUMHARA SUKH JO DAKHAINGAY
HUM APNA GHUM BHI BHOOLANGAY
JAHAN TUM NE ITNA KYA HAI
WAHAN IK EHSAN AUR KARLO
HAMARA MAAN BHI RAKH LO.

Thori Door Sath Challo

kathin hai raahguzar thoRii duur saath chalo
bahut karra hai safar thoRii duur saath chaalo



tamaam umr kahaan ko’ii saath detaa hai
main jaantaa hoon magar thoRii duur saath chalo



nashe mein chuur huun main bhii, tumhein bhii hosh nahiin
bara mazaa ho agar thoRii duur saath chalo



ye ek shab kii mulaaqaat bhii ghaneemat hai
kisay hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo



abhii to jaag rahe hain chiraagh raahon ke
abhii hai duur sahar, thoRii duur saath chalo



tawaf-e-manzil-e-jana hamein bhii karnaa hai
“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo.

Sochta Hoon

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah


yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar la mere haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah


haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mere saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur mann kii tarah


sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tareeqa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah



KhwahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne laga, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah.

Maana Wadi-E-Ishq Main

Maana Wadi-E-Ishq Main Paaon Aandha Rakhna Parta Hai
Laikin Ghar Ko Jaanay Wala Raasta Rakhna Parta Hai
Tanhai Woh Zehar Bujhay Talwaar Hai Kis Ki Dehshat Say
Baaz Auqaat Tu Dushman Ko Bhi Zinda Rakhna Parta Hai
Jibar Ki Jitni Oonchi Chaahao Tum Deewaar Utha Lena
Laikin Us Deewaar Main Ek Darwaza Rakhna Parta Hai
Hijar Ka Dariya Aan Para Hai Beech Tu Koi Baat Nahin
Ishq Main Saathi Thora Sa Tu Hoonsla Rakhna Parta Hai
Bay Khabri Ki Shaamain Hoon Tu Phir Anjaan Musafir Ko
Sehra Main Bhi Simtoon Ka Andaaza Rakhna Parta Hai...

ZINDAGI TU KOoN Hey

ahsason k samundar mein
Dard ki lehron par
Aanso behney lagtey hein teri yaad mein
Tu dil pochta hey mujh sey

ZINDAGI TU KOoN Hey

Jab dil ko toor kar,mujh ko thukra kar
Dilbar is dil ko hazaar zakhm deta hey
Tu dil pochta hey mujh sey

ZINDAGI TU KOoN Hey

Tarasti aankhon ko Becheen dil ko
Jab woh trapa jaata hey
Muhabbat ka jab koi anjaam nahi milta hey
Tu dil pochta hey mujh sey

ZINDAGI TU KOoN Hey

Hum ney tu jaana tha
zindagi khobsurat hey

zindagi ik suhaana khuwab hey
zindagi muhabbat ka dosra naam hey
Jab ki haqeeqat mein sirf gham milta hey
Tu dil pochta hey mujh sey

ZINDAGI TU KOoN Hey

Zindagi kiyon aati hu tum
Har baar koi naya naam liye
Har baar chali aati hu tum
ghamon ka sager liye
Jaana hey kahaan tujhey

Ab tu bata zindagi tu koon hey...?


Tum Na Mano Yeh Haqeekat Hey
Piyaar Insaan Ki Zarurat Hey
Kisi Din Aao Humari Mehfil Mein
Jan Jao Gey Zindagi Kitni Khobsurat Hey.

Qayamat Kis Tarha Aie Ise Koi Nahee Samjha‏

Qayamat kis tarha aie ise koi nahee samjha
Shab-e-tareek rukshat ho chuke suraj nahee nikla

Baree mahroomian likhe gien us kai muqadar main
wo rahi jo darakhton sai chura kailai gaya sayya

Tumhari yaad main qalmain lagai hain gulabon ki
Tumhare naam sai ghar main lagaya saroo ka boota

Chalo izhar-e-gham par to tere mathey pai bal aaie
Magar zabt-e-faghan pai kyon tere aankhon main khon utra...

KIS SY KAHOON

Kis Sy Kahoon....?



Kis Sy Kahoon...?

Aor Kon Sunay Ga...?

Jo Haal Tumhary Baad Huwa...

Iss Jheel Si Neeli Aankhon Main...

Ek Khowab Bhut Barbaad Howa...

Iss Shaher Main Kitny Charay Thy...

Sub Bhool Gayey...

Kuch Yaad Nahi...

Ek Shakhs Kitaboon Jaysa Tha...

Wo Shaks Zubaani Yaad Howa...

Dukhon Ky Pahaar Insaan Py Giraye Nhi Jaty

Kuch Aasy Log Jo Zehaan Sy Bhulaey Nahi Jaty

Kuch Aasy Lamhain Jo Dil Sy Mitay Nahi Jaty

Dard Ki Cadrain Mari Ghazaloon Ko Dhaanp Lyti Hain

Mujh Sy Sheiron Main Naai Rang Dikhaye Nhi Jaty

Bybasi Barh Ky Mari Aankhon Main Utar Ati Hhy

Mari Hansi My mary Aansoon Chupaye Nahi Jaty

Tari Tahriron Sy Ati Hy Taray Hathon Ki Mehak

Bewafa Mujh Taray Khaat Jalye Nahi Jaty

Wafa Ki Rahoon Main Bhujany Ky Baad ye Jana Hy

Sar-E-Hawa Deiye Mohabbat Ky Sajaiye Nahi Jaty

Ay Maray Khuda Taqdir Ko Itna To Bataya Hota

Dukhon Ky Pahaar Insaan Py Giraye Nhi Jaty...

Yaad Aata Hai

Tumhara Naam Suntay Hii Bhut Kuch Yaad Aata Hai

Khushi My Guzra Hua Ek Zamana Yaad Aata Hai

Itny Door Ho Gay Ho Hum Sy Tumhin Bhula Bhi Nahi Saktay

Aankhain Bandh Karty Hi Tumhara Chahra Yaad Aata Hy

Kasay Bhula Duoon Tumhain Ab TuM Hi Bata Do ""JANI""

Kiya Tha Kabhi Jo Tum Sy Wo Wada Yaad Aata Hy

Kabhi Jakar Sagar Kinaray Banaya Tha Jo Reat Ka Ghronda Hum Ny

Aaj Toota Hua Reat Ka Wo Ghronda Yaad Aata Hy

Bachpaan Ka Wo Roothna Wo Manana Yaad Aata Hy

Char Paal Wo Zindagi Kay Wo Mahfiloon Ki Roshni

Deepak Kay Ujalay Main Bhi Gum Ka Aandhyra Yaad Ata Hy

Aab To Is Tanhayii Main Ghoot Kay Mar Jayain Gay Hum

Hum Sy Wo Choota Hua Tumhara Daaman Yaad Aata Hy

Aankh Sy Nikal Paray Hain Aansoo Hath bhi Ab Thum Gaye Hain

Main Pochhti Hoon Apnay Aap Sy Aou Kiya Kiya Yaad Aata Hy...

Abhi SOch Lay

Mujhay yaad koi dua nahi,
Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main,
abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon,
main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta,
meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo,
tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi,
tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Kaheen choot sakta hai darmiyaan,
na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra'asatoon ka pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta he phiray ga tu,
na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan,
mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi,
meray hum safar abhi soach lay....

Yeh Ghumaan Baqi Hai

Doob Rahi Hain Saansain Magar Yeh Ghumaan Baqi Hai
Aanay Ka Kisi Shaksh K Abhi Imkaan Baqi Hai
Muddat Howi Ek Shaksh Ko Bichray Laikin
Aaj Tak Merey Dil Pay Ek Nishaan Baqi Hai
Woh Saibaan Chin Gaya Tu Koi Gham Nahin
Abhi Tu Merey Sir Pay Yeh Aasmaan Baqi Hai
Kashti Zara Kinaaray K Qareeb He Rakhna
Bikhri Howi Lehroon Main Abhi Toufaan Baqi Hai
Tumharay He Aashkon Nay Lab Si Diey Warna
Abhi Tu Merey Dukhoon Ki Buhat Daastan Baqi Hai
Ghamoon Say Keh Do K ABhi Na Rakht-E-Safar Baandhain
K ABhi Tu Merey Jism Main Kuch Aur Jaan Baqi Hai
Ja Chukay Hain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pay Ek Makeen-E-Makaan Baqi Hai.

Dhoka Diya Mujh Ko

Zindagi K Khaab Nay Dhoka Diya Mujh Ko
Yeh Gham Hai K Aap Nay Dhoka Diya Mujh Ko
Log Pee K Khush, Main Pee K Buhat Rooya
Kambakht Sharab Nay Dhoka Diya Mujh Ko
Mujh Say Kar K Wada Azaab Bhool Gaye
Zinda Hoon Kion K Azaab Nay Dhoka Diya Mujh Ko
Ittifaaqan Milay Aur Ittifaaqan Khoo Gaaye
Is Haseen Ittifaaq Nay Dhoka Diya Mujh Ko
Aaj Main Khud Ko Haasil Nahin Hota
Zindagi Nay Kahan Pohncha Diya Mujh Ko
Main Aandheroon Main Kabhi Raha He Nahin Tha
Kal Merey Saaye Nay He Chonka Diya Mujh Ko.

Ab Aansuoon‏

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga.

Alvida

Boht taklieef deta hai kisi ko alwida kehna
Laraztey kamptey,nazuk sey lamhon main
Dikhayi kuch nahin deta
Sujhayei kuch nahin deta
Faqat kuch kapkapatey lafz
Honton per thehr jatey hain
Ubharti,dhubti dharkan usey awaz deti hai
Koi apna,key jis ka naam apney dil per likha ho
Key jis ki muskarahat hi badan main roshni bhar dey
Key jis key wastey har pal dua'en hi niaklti hun
Boht taklif deta hai usi ko alwida kehna
Jisey dil main basaya ho
Barhey maan sey apna banaya ho
Boht taklif deta hai
Kisi apney,
Kisi sapney,
Kisi manzil,
Kisi rastey,
Kisi khawahish,
Hamari zindagi key khawab ko
Yun ALWIDA kehna
Boht taklif deta hai...

Aankhein

Tum kehtay thay meri aankhein
Chahay kisi se kuch na bolein
Tum se hamesha sach bolein gi
Raaz-e-dil tum pe kholein gi
Aaj phir in ankhon ka sach
Tum paRh nahin paae?
Ya tum ko ye sach paRhna
Manzoor nahin !!
Haan tum to mujh se door nahin,
Majboor nahin
Kya tum ab tak ye jaan na paae
Kaun hai jo ham mein badla hai
Tum ya main?
Ya meri aankhein jhootti hain
Ya phir ye tum se rootthi hain.

Tera Andaaz-E-Masihaai Mujhey Maar Na Dey‏

Tera andaaz-e-masihaai mujhey maar na dey
ye tera husn-e-rang araai mujhey maar na dey

terey hathon mein ab mera muqaddar hey
ye tera dast-e-hinaai mujhey maar na dey

hoon char din ki rafaqat mein be-qarar bohat
ye tera tarz-e-shanasai mujhey maar na dey

ye tera husn ye khushboo ye chandni sa badan
aur tera rang-e-pazeeraai mujhey maar na dey

kahein ye khuab ye hasrat na rehy jajb-e-wafa
tu dey key zehr-e-judaai mujhey mar na dey

kabhi khatam nahi kerna mohabbaton ka safar
ke khaof-e-hijr- e-dil nawaai mujhey maar na dey

bas tera saath merey hamsafar hasb-e-hal rahey
dar nahi fart-e-ghum kushai mujhey maar na dey

ab merey saath sabat jo bhi ho kisey parwah
nahi ye ghum key khudaai mujhey maar na dey.

BEBASI

Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte


Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte


Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte


Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte


Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte.

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan‏

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan ...

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi

Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki

Too Duaa Na Day

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb

Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt

Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah

Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon

Ka Silaa Na Day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan

Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To

Hawaa Na Day

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam

Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon

Ki Sazaa Na Day...

Gar Main Dariya K Paas Aaoon Gi

Gar Main Dariya K Paas Aaoon Gi
Dar Bhi Lagta Hai Doob Jaon Gi
Terey Aashkon K Keemti Mooti
Main Gulo Band Main Jaraon Gi
Merey Jugnu Say Par Salamat Hain
Main Tumhain Raasta Dekhaon Gi
Naryal Ki Safaid Kaashon Say
Roop Ki Chaandni Bechaon Gi
Dasht-E-Jaan Main Furaaq K Khaimay
Rooz Lagwaaon Gi Rooz Giraoon Gi
Apnay Bachoon K Waastay Mohsin
Ek Jannat Sa Ghar Banaaon Gi.

Hawaon Ka Safar Rakha Gaya

Kitna Posheeda Howaon Ka Safar Rakha Gaya
Aanay Walay Mousamon Say Bay Khabar Rakha Gaya
Aaj Bhi Phirta Hoon Us Ki Justujo Main Har Taraf
Koun Si Basti Main Aakhir Mera Ghar Rakha Gaya
Chaand Mubham Khaab Aankhon Main Liey Phirta Hoon
Aur Kia Merey Liey Zaad-E-Safar Rakha Gaya
Doston Main Kuch Meri Pehchaan Tu Baaqi Rahay
Is Liey Mujh Main Ajab Ajab Hunar Rakha Gaya
Is Hathaili Par Chamakti Rait K Zarray Hain Ab
Jis Hathaili Par Kabhi Ganj-Gohar Rakha Gaya
Mera Apna Khouf Hi Kia Kaam Tha Laikin Mohsin
Meri Apni Zaat Main Kis Kis Ka Dar Rakha Gaya.

Paraai Nahin Sunni

Us Nay Kabhi Bhi Phir Paraai Nahin Sunni
Kitna Bhaala Kia, K Buraai Nahin Sunni
Rooti K Jama Kharch Main Hi Umar Kat Gaye
Hum Nay Kabhi Ghazal Ya Rubaai Nahin Sunni
Auroon Ki Tarhan Tum Nay Bhi Ilzaam Hi Diye
Tum Nay Bhi Meri Koi Safaai Nahin Sunni
Maawas Ki Ghani Raat Ka Har Jhoot Rat Lieya
Suraaj Ki Tarhan Saaf Sachhaai Nahin Sunni
Bachchon Ki Nursery K Khiloonay Tu Sun Liey
Dhaabay Main Bartanoon Ki Dhulaai Nahin Sunni.

Bhula Kar Dekhain Gen

Ek Baar Tum Ko Yohn Hi Bhula Kar Dekhain Gen
Mushkil Ho Ga Jeena, Par Aazma Kar Dekhain Gen
Juda Ho Kar Mar Jayein Gen Yeh Dar Hai Phir Bhi
Ek Baar Khud Ko Tujh Say Juda Kar K Dekhain Gen
Terey Bin Paray Ga Bhatakna Tu Yohn Hi Sahi
Hum Tum Say Alag Apna Raasta Kar K Dekhain Gen
Us Ko Khuda Banaya Tu Kuch Haasil Nahin Howa
Kia Bigharta Hai, Ab Ussay Bot Bana Kar Dekhain Gen
Teri Bahoon Main Ek Raat Ko Sadiyon Taras Gaye
Ab Jo Mili Hai Yeh Raat, Tu Ussay Ganwa Kar Dekhain Gen
Is Uthtay Howay Toofan Main Kuch Bhi Na Bachay Shayad
Phir Bhi Kachhay Mitti Ka Hum Ghar Bana Kar Dekhain Gen
Gham Ki Yeh Aandhi Hai, Chiraghon Ko Nahin Jalnay De Gi
Hum Phir Bhi Ek Umeed Ka Depak Jala Kar Dekhain Gen.

MOHABBAT KA IZHAAR

Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka iqraar karna chahta hai


Jab se dekha hai tum ko aey Sanam
Bas tumhara hi dedaar karna chahta hai


Logon se sunte the Mohabbat ke afsaane
Khuwaab humne bhi dekhhe the suhaane


Pyaar kya hai ? hum aksar sochte the
Is baat se hum apne Dil ko rokte the


Lekin ab tumhain is Dil main basakar
Yeh khata ek baar karna chahta hai


Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka izhaar karna chahta hai.

Merey Dard Ka Darmaan Kar Dey

merey maula mujhey heraan kar dey

mujhey bhi sahabey irfan kar dey

mujhey dey k sukoon ki dulat

ELAHI zindagi asaan kar dey

KHUDA'YA arzoo meri yehi hey

NABI ka Ishq mujh ko daan kar dey

ataa kar k ataa'at-e-MUSTAFA ki

meri bakhshish ka bhi samaan kar dey

hu ahley baeit sey mujh ko MUHABBAT

adub in ka meri pehchaan kar dey

hidayat dey sab ki ulaadon ko

ik mujh par bhi bara ahsaan kar dey

merey dukh k khayaal ko door kar k

DAROOD ko merey dard ka darmaan kar dey.

PAGAL HO JATY HAIN

Uski Yaad Main Khoo Jaty Hain
Our Zamaany Ho Jaty Hain
Manzil Tak Kia Pohnchain Gay
Rastay To Khud Khoo Jaty Hain
Kam Ruftaar Hay, Peechy Hoga
Paiirr Ky Neechy So Jaty Hain
Shab Hoty Hi Sab Perwaany
Shayed Pagal Hojaty Hain
Apny Sunder Chehry Ki Ab
Aik Jhalak Dy Do Jaty Hain
Deep Jalay To Sab Perwany
Shayed Pagal Ho Jaty Hain...

Na Main Dil Ki Baat Usko Bata Saki

Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya,
Ky Main Hath Tak Na Hila Saki,
Mujhy Kiya Khabar Thi Ky Wo Kiya Hua,
Muhjy Kitna Gehra Khumaar Tha,
Main Khari Thi Usky Hisaar Main,
Mery Irrd Gird Ghubaar Tha,
Younhi Sochti Rahi Dair Tak,
Magar Usko Kuch Na Bata Saki,
Na Main Pass Usko Bula Saki,


Na Main Dil Ki Baat Bata Saki,


Na Hay Dushmani Kisi Din Sy Ab,
Na Hay Dosti Kisi Raat Sy,
Haan Ab Bacha Hi Kiya Jo Wo Ly Gaya,
Mujhy Cheen Kar Meri Zaat Sy,
Ye Makaam Hi Tha Ajeeb Sa,
Ky Main Khud Ko Hi Na Bacha Saki,


Na Main Pass Usko Bula Saki,
Na Main Dil Ki Baat Bata Saki,


Ye Bhi Theek Hay Wo Chala Gaya,
Mujhy Band Rastay Py Chor Kar,
Ye Bhi Theek Hy Ky Na Aaye Ga,
Kabhi Buut Anaa Ky Wo Tor Kar,
Wo Juda Bhi Kaisy Hua Ky Main,
Koi Rasm Bhi Na Nibha Saki,


Na Main Pass Usko Bula Saki,
Na Main Dil Ki Baat Bata Saki…

AAJUB PAGAL SI LARKI (PART01)‏

Ajub Pagal Si Larki Hai

Mujhy Khut My Likhti Hia

Mujhy Tum Yaad Aty Ho,Tumhy My Yaad Aty Hon?

Meri Baaty Satati Hain?

Meri Nendy Jagati Hain?

Meri Ankhey Rulati Hain?

December Ki Sunheeri Dhoop My Abb Bhi Tahalti Ho?

Khamoosh Rasty Sy Koi Meri Awaaz Ati Hai?

Tharti Sard Raato My Tum Abb Bhi Chut Per Jaaty Ho?

Sab Sitaro Ko Baaty Sunaty Ho?

Kitabo Sy Tumhary Isqh My Koi Kami Ayi?

Ya Meri Yaad Ki Shiddat Sy Aankh My Nami Ati Hia?

Ajub Pagal Sy Larki Hai,
Mujhe Khut My Likhti Hai.

AJUB PAGAL SI LARKI HAY (PART02)

Jawab Is Ko Likhta Hon
Meri Masrofiat Dekho
Subha Sy Shaam My Chirag Umer Jalti Hai
Phir Is Ky Baad Duniya Ki Kayi

Majbooriya Paoon Me Beri Dall Rakhti Hain
Mujhy By Fikar, Chahut Sy Bhary Sapny Nahi Dekhty
Tehani, Jagny, Roony Ki Fursut Nahi Milti
Sitaro Sy Mily Arsa Hova, Naraz Hon Shayad,
Kitabo Sy Shaguf Meri Abhi Waasy Hii Kaeem Hai
Fark Itna Paara Hia Abb Unhy Ursy My Parhta Hon
Tumhy Kis Ny Kaha Pagli My Tumhy Yaad Karta Hon?
Ky My Khud Ko Bhoolny Ki Justojon My Hon,
Tumhy Na Yaad Aany Ki Musalsal Justojon My Hon,
Magar Yeh Justojon Meri Bhoot Nakam Rahti Hai,
Meri Din Raat My Abb Bhi Tumhri Shaam Rahti Hai,
Meri Lafzoo Ki Har Maala Tumhary Naam Rahti Hai,
Tumhy Kis Ny Kaha Pagli Mujhy Tum Yaad Ati Ho?
Purani Baat Ho, Jo Log Aksar Gungunaty Hain,
Unhy Hum Yaad Karty Hain Jinhy Hum Bhool Jaaty Hain,
Ajub Pagal Sy Larki Ho…

Meri Masroofiat Dekho
Tumhe Dil Se Bhulaon Tu Tumhri Yaad Ay Na!
Tumhy Dil Sy Bhulany Ki Mujhy Fursat Nahi Milti
Aur Is Masroof Jewan My,
Tumhry Khut Ka Ek Jumla,
Tumhy My Yaad Ati Hon??
Meri Chahut Ki Shidat My Kaami Nahi Hony Nahi Dayti
Bohat Raatin Jagta Hon Mujhy Soony Nahi Deeti Hain
So Agli Baar Apny Khut My Yeh Jumla Nahi Likhna!
Ajub Pagal Si Larki Hia,

Mujhy Phir Bhi Yeh Khut Likhti Hai

Mujhy Tum Yaad Karty Ho?

Tumhy My Yaad Ati Hon?

DARECHAY SY JHANKTI WOH LARKI

Darechay Sy Jhankti Woh Larki,Ajeeb Dukh Say Bhari Hoi Hai

Ky Us Ky Aangan Main Phool Par,Ayk Tittli Mari Hoi Hai

Kabhi Azanoun Main Khoi Khoi,Kabhi Namazoun Roi Hoi

Woh Aisay Dunyia Ko Dykhti Hai,Jaisay us Say Dari Hoi

Durood Say Mahkii Mahkii Sansain,Wazefa Parhti Hoi Woh Aanlhin

Ky Shamma-E-Umeed Un Main Kaii Baras Dhari Hoi Hay

Woh Dukh Ki Chader Main Lipti Lipti,Woh Kala Kaproun Main Simati Simati

Muhabbat Us Ny Bhi kisi Sy Shayd,Mari Tarhan Hi Ki Hoi Hai

Baray Zamanoun Ky Bad Barsi Hain,Mari Aankhin Kisi Ky Khatir

Baray Zamanay Ky Bad Dil Ki Zameen,Phir Sy Hari Hoi Hai...

CHALA JAOUN GA‏

Teri Mushkil Na Banoo Ga,

Chala Jaoun Ga,

Ashk Aankhon Main Chupoun Ga,

Chala Jaoun Ga,

Apni Dehleez Pe Khuch Dair Rehnay Do,

Jaisay Hii Hosh Main Aaounga Ga,

Chala Jaoun Ga,

Muddat Baad Aaya Hoon Puranny Ghar Main Khud Ko Jee Bhar Ky Rulaoun Ga,

Chala Jaoun Ga,

Iin Galioun Sy Kuch Bhi Nahi Lyna Mujh Ko,

Bus Tumhain Daikkhnay Aaoun Ga,

Chala Jaoun Ga,

Tum Maray Sang Chalo Ya Na Chalo,

Main Tuo Aawazz Lagoun Ga,

Chala Jaoun Ga,

Main Ny Yeh Jang Cheri Apny Liye,

Takhat Pay Tumhain Bithaoun Ga,

Chala Jaoun Ga...

Kyun Tumhain Dhoondhtey Hain

Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondhtey hain

Mehekti bahaarain, chaihektey nazaaray,
Chamakti shafaq or damaktey sitaaray
Yeh nadiya ka pani, yeh rim jhim sa saawan
Papihey ki pihu yeh koyal ki koo koo


Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondhtey hain


Ghani vaadiyon main gungunatey yeh jharney
Umadti ghataaein , mehekti fizaaein
Yeh Shabnam kay moti , yeh Phoolon kay jhurmat
vo Bhanwray ki mohabbat, or Titli ki chahat


Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondtey hain


Dhanak rung saarey tumhi ko pukaarain
Pahaar asman ko galey say lagaalain
Shaafaq ki dhanak or ujaalon ka chaana
Parindon ka apney ashyaano ko jana


Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhondhtey hain


Farhaad ka teesha or sohni ki ghariya,
Majnu ka sehrayee mohabbat ka derya
Ho Maihel Shahjahan ka, ya Waris ka qissa


Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondtey hain.

Dowa

Dowa K Liey Haath Jab Bhi Uthaaye
Tammanaon Ki Bheer Main Sab Say Aaghay
Woh He Aik Chehra
Nighahoon Main Aata Hai
Main Bhool Jaata Hoon
Kia Maanga Tha
Beecharnay K Dukh Main Kami Ya
Milan Ki Dowa.

Dil Kashi Hai Buhat

Yohn Tu Jeewan Main Dil Kashi Hai Buhat
Ek Magar Aap Ki Kami Hai Buhat
Koi Khaabon Ka Bhi Thikana Nahin
Meri Aankhon Main Nami Hai Buhat
Dil Ki Rahoon Main Kon Aaye Ga..?
Har Taraf Gard Si Jami Hai Buhat...
Zindagi Kion Kati Hai Terey Bina
Mujh Pay Teri Duniya Hansi Hai Buhat
Is Liey Bhi Nahin Sakoon Ki Talab
K Tabiyat Main Behissi Hai Buhat.

Tujhey Is Qadar Soch Na

kabhi tujhey is nager dekhna

kabhi us nager dekhna

kabhi raat bhar tujhey sochna

kabhi raat bhar tujhey dhund na

mujhey ja-baja teri jostoju

tujhey dhundta hoon main koba-ko

kahan khul saka terey robaro

mera is qadar tujhey dhund na

mera khuwab tha woh ya khayal tha

kabhi arsh par tujhey dekh na

kabhi farsh par dhund na

yahaan har kissi sey hi bair hey

tera shaher qariya gheer hey

yahaan sehal bhi tu nahi koi

merey bekhabar tujhey dhund na

teri yaad aai tu ro diya

jo mil gai tujhey khu diya

merey silsiley bhi ajeeb hein

yeh meri ghazal ka kamal hey

k teri nazer ka jamal hey

tujhey shair shair mein soch na

sar-e-baam-u-dar tujhey dhund na

kabhi tujhey is nager dekhna

kabhi us nager dekhna,

kabhi raat bhar tujhey sochna

kabhi raat bhar tujhey dhund na..

Ghalat Fehmi

Yeh mumkin hai humare dermiaan koi
Ghalat fehmi bhi na rehti
Jo apny dil main choti si
Khalish hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
Sabhi qisay puraney hain
Main keh deta
Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
Muhbat kerny waloon main
ghalat Fehmi to ho sakti hai
Per jhagra nahi hota
Main her ik baat keh deta
Khalish bhi duur ho jati
Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta
Wo agy haath to kerta !!
Wo mujh se baat to kerta!!

Us Shaam Vo Rukhsat Kaa Samaan Yaad Rahegaa‏

Us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa
Vo shahar vo kuchaa vo makaan yaad rahegaa

Vo tes ki ubharii thii idhar yaad rahegii
Vo dard ke utha tha yahan yaad rahegaa

Ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
Vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa

Kuch miir ke abyaat the kuch faiz ke misare
Ik dard kaa thaa jin men bayaan yaad rahegaa

Jaan bakhsh sii thii us gul-barg kii taraavaat
Vo lams-e-aziiz- e-do-jahaan yaad rahegaa

Ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
Tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa.

KiTni NaDaN Thi WoOo LaRki‏

KiTni NaDaN Thi WoOo LaRki
Jo KhiYalooN Ki DuniYa MaY BasTi Thi
SooChoN KaY MaskaN MaY RehTi Thi
WoOo WeRaaN YaDooN KaY DaMaN MaY BanDhi RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoOo LaRki
Jo KiTabooN MaY Gum RehTi Thi
AfsaNoOo MaY Apna KirDar TalaShTi Thi
Kuch Na PaNaY Ki SooRaT MaY Udass Si Ho JaTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoOo LaRki
Jo ApNaY Hi KhiYaLooN MaY UlJhi UlJhi RehTi Thi
JaNeY KiYa SoochTi PaR KucH Bhi Na Keh PaTi Thi
DuniYa KaY HanGamoOo SaY PaReY TanHaie MaY RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoOo LaRki
Jo ApNaY IrD GirD Ki DuniYa SaY GhabRaie Hui RehTi Thi
AuR ApNaY WaJooD Ko KuD Hi DudsaFi DeNa ChahTi Thi
WoO Sab RasToon PaY JaTi Thi AuR Mur KaY WapaS AaTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo MeRaY DIL MaY RehTi Thi~!

Be-Zubaan‏

Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon Ka Ye Jungle Hai
Yahan Har Gharri Main Na Jaaney Kya Dhoondhta Hoon

Bheerr Mein Bhi Jahan Har Shaksh Akeila Sa Hota Hai
Wahan Ekk Hum Saaya, Ekk Humsafar, Dhoondhta Hoon

Subah Say Shaam Hoti, Shaam Say Subah Hoti Hai
Yaadon Ke Sahareu Say Koi Apna Sa Dhoondhta Hoon

Raah Par Karwaan To Hazaar Nazar Hotey Hain
Karwaan Mein Koi Chehra Pehchana Dhoondta Hoon

Parchaaiyan Mandlaati Si Aas Paas Nazar Aati Hain
Badley Huwey Chehro Mein Pehchana Dhoondhta Hoon

Be-shak Nigaahon Ka Maila Har Taraf Hai,
Nazar Nazar Mein, Main Pyar Dhoondhta Hoon

Sooraj Bhi Dhalney Ko, Moonh Bhi Kahin Khoya Hai
Apney Khayalon Mein Koi Chandni Dhoondhta Hoon


Bujhi Huyi Si Ekk Zindagi Paas Mairey Baithi Hai
Roshan Ussey Karney Ke Liye Chiraag Dhoondhta Hoon….

Bahar Aye To Jaise Ek baar

Bahar Aye To Jaise Ek baar

Laut aye hain phir adam se

Wo Khwab sare, shabab sare

Jo tere honthon pe mar mite the

Jo mit ke har baar phir jiye the

Nikhar gaye hain gulab sare

Jo teri yaadon se mushk_bu hain

Jo tere ushshaq ka lahu hain

Ubal padey hain azaab sare

Malal-e-ahawal- e-dostaan bhi

Khumar-e-agosh- e-mahawashan bhi

Gubar-e-khatir ke baab sare

Tere hamare

Sawal sare, jawab sare

Bahar aye to khul gaye hain

Naye sire se hisab sare.

Us shaam‏

Us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa
Vo shahar vo kuchaa vo makaan yaad rahegaa

Vo tes ki ubharii thii idhar yaad rahegii
Vo dard ke utha tha yahan yaad rahegaa

Ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
Vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa

Kuch miir ke abyaat the kuch faiz ke misare
Ik dard kaa thaa jin men bayaan yaad rahegaa

Jaan bakhsh sii thii us gul-barg kii taraavaat
Vo lams-e-aziiz- e-do-jahaan yaad rahegaa

Ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
Tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa.

Jaatey Jaatey Kya Kya Dey Gaya Koi‏

Jaatey Jaatey Kya Kya Dey Gaya Koi
Aansoo Bahaney Ka Bahaana Dey Gaya Koi

Koi Maqsad Na Tha Mairi Zindagi Ka
Jaatey Jaatey Apni Talaash Ka Aik Maqsad Dey Gaya Koi

Khuda Naraz Tha Ke Koi Ilteja Na Karta Main Uss Say
Jaatey Jaatey Khuda Ko Manaaney Ka Aik Maqsad Dey Gaya Koi

Likhney Parrhney Ka Koi Shoq Na Tha Mujh Ko
Terey Naam Ko Likhna Terey Naam Ko Perrhna,
Jaatey Jaatey Ye Shoq Bhi Sikha Gaya.

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen‏

dil gaya tum ne liya ham kya karen


jane wali chiz ka gam kya karen


pure honge apne arman kis tarah



shauq behad waqt hai kam kya karen


baksh den pyar ki gustakhiyan


dil hi qabu main nahin, ham kya karen


tund khu hai kab sune vo dil ki bat


aur bhi baraham ko baraham kya karen


ek sagar par hai apni zindagi


rafta rafta is se bhi kam kya karen


kar chuke sab apni-apni hikmaten


dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen


dil ne sikha sheva-e-beganagi


aise namuharim ko muharim kya karen


mamala hai aj husn-o-ishq ka


dekhiye vo kya karen ham kya karen


kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse


teri qismat hai buri ham kya kar.

Suno Qismat Se Larne Ki‏

*Suno Qismat se ladne ki


Kabhi koshish nahi karte*


*Muqaddar jab mukhalif ho


Duaain be-aser jayen


Sabhi manzar bikher jayen


To aise main baghawat ki


Kabhi koshish nahi karte*


*Kisi ke saath chalne ki


Kisi ke Dil main basne ki


Kabhi khuwahish nahi karte*


*Kisi ek shakhs ki khatir


Sabhi se door ho jaana


Kahan ki yeh Mohabbat hai?


Mohabbat yeh nahi hoti


Mohabbat Dil main hoti hai*


*Mohabbat aks hai RAB ka


Kabhi yeh mar nahi sakti


Hamesha saath rehti hai


Hamesha saath chalti hai*


*Mile jo humsafar tum ko


Us hi ke saath chalna tum


Usse dharkan bana lena


Usey Dil main basa lena


Mager Qismat se larrne ki


Lakeron se ulajhne ki


Kabhi koshish nahi karte.

Kyun Hai‏

Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai

Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin

Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai




Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai


Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin

Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai



Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai


Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai.

Suno!!!‏

Suno!!!
Ab kuch dino say haal aysa hay
Koi kitni bhi zillat day
Koi jitni rao-nat say hamain ronday
Bura bilkul nahi lagta
Gila koi nahi hota
Sukoon mehsoos hota hay
Dua lab say nikalti hay.

WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI

"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam...... ..?
bhala wo koun hai humdam...... ..?"


MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"



WO KEHTI THI

"mujhe ye khauf hai janaa....... .
kahin tum dair na kardo!"

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqk ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga


!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!

ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......


MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB

main khud ko roolta hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa......!
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.........
bohat he dair kar di hai......

Ae Masoom Si Bholi Bhali Ladki

Kisi Se Tum Dil Na Lagana


Kisi Ko Aitbar o Bharosa Ka Rishta


Kabhi Na Dena


Ess Shaher Ke Logoon Ki Fitrat


Mosam Ki Si Hai


Jald Badal Jaty Hain


Dil Toor Jaty Hain


Hai Dil Kanch Ki Manind


Jo Ho Jaye Ager Tukre Tukre


To Judd Nahi Sakta


Ess Kanch Ke Tukre Ko Tum


Abhi Se Sanbhal Ke Rakhna


Na Kisi Per Aitabaar Kerna


Ae Masoom Si Ladki..........

Mujhe Jo Kuch Bhi Likhna Tha

mujhe jo kuch bhi likhna tha
abhi main likh nahi paya

meri tahreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya

abhi wo dard likhna hai
jo anso khoon ke laye

abhi ruswai likhni hai
jo humra Sang bhi laye

abhi wo neend likhni hai
jo sulli per bhi na aye

abhi wo shaam likhni hai
jise koi chura laye

abhi wo shokhi likhni hai
gulabi gaal ker jaye


abhi 2 pal bhi likhny hain
jo tere sang thy bettaye

abhi wo loog likhny hain
jo mujh ko kho ke pachtaye

abhi wo shakhas likhna hai
jo mujh ko khooj ke laye

mujhe wo sab hi likha hai
jo tum se kah nahi paye

mujhe wo sab hi likha hai
jo koi seh nahi paye

mujhe wo sab hi likhna hai
keh teri ankh bher aye

batao kya likhain phir hum
jo tere mann ko bhaa jaye

chalo kuch bhi nahi likhty
kah tera bherm rah jaye.

Socha Tha Ek Pal

Socha tha ek pal ke liye bhi nahi jiyenge
Socha tha kuch pal ke liye bhi nahi chhodenge
Chahta to tha jee bharke pyar karenge
Itni duriyan hain humare beech
Ki chahkar bhi nahi mil sakenge



Socha tha bhool bankar bhool kar jayenge
Socha tha tumhe sochkar hi ji jayenge
Kitni ankahi baatein na bol sake hum
Ekbar zaroor meri yaadon se milna
Uske baad hum duniya chhodke chale jayenge




Socha tha khushi ke kuch pal kharid lenge
Socha tha hum milkar sapna sajayenge
Tum to chalbasi kisi aur ki mousam bankar
Kitni takleef me guzaarte hain hum har roz
Ki chahkar bhi tumhe nahi dikha sakenge.

Usay Main Ne Likha Tha

Usey main nay he likha tha k
Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty
Parinday darr ke urr jaen
Tu phir lota nai kerty
Usey main ney he likha tha
Yaqeen uth jae tu shayad
Kabi wapas nai atta
Hawaon ka koi tufan
Kabi barish nai lata
Usey main he likha tha
Ke Sheesha Toot jae tu
Kabi phir judd nai pata
Jo rasty se bhatak jae
Wo wapis murr nai pata
Usey kehna
Wo adhora khatt
Usey main ne he likha tha
Usey kehna ke
Dewaney
Mukamal khat nai likhty!!!!

MUJH SE BICHAR KE

Mujh se bicher ke khush rahte ho

Meri tarah tum bhi jhote ho



Ujle ujle Phool khele the

Bilkul jese tum haste ho



Ek tahni per CHAND tika tha

Main ye samjha TUM bathe ho



Tum tanha dunya se laro ge

Bachoon se bateen kerte ho.

Soch Main Tu Shamil Nahin

Tujhay Main Nay Buhat Socha Magar Soch Main Tu Shamil Nahin
Aur Har Ek Sooch Ka Nateeja Yeh Nikla K Main Terey Qabil Nahin
Chal Tu Ban Ja Lehrati Leharain Aur Main Ban Jaon Sagar Ka Kinara
Tu Tu Ja Kar Sagar Say Ja Milay Gi Kabhi Sang Rehta Sahil Nahin
Tujhay Agar Main Gulaab Keh Don Tu Main Choobta Kaanta
Tu Sajao Gi Khushbu Say Aalam Mujh Say Ho Ga Kuch Haasil Nahin
Gar Mera Thikana Ban Jaye Tu Tu Main Ban Jaon Bhatka Musafir
Aur Bhatkay Musafir Ko Duniya Main Kabhi Milti Nahin Manzil
Ban K Shamma Tu Mehfil Main Jagmaga Main Ban Jaon Parwana
Jal Jaon Ga Main Terey Ishq Main Phir Bhi Badlay Gi Mehfil Nahin
Tu Hai Khushiyon Ka Baadal Aur Main Hoon Dard Say Bhara Aasman
Mohsin Say Milti Tu Barasnay Say Rukay Ga Tera Bhi Dard-E-Dil Nahin.

Mere Bachpan Ki Galiyaan

Ye mere bachpan ki galiyaan yehi mera ghar hai
Kho gaya tha jaha ye bachpan wahi ye angan hai

Aayee baad berson k ham en diwaaron se milne
gali gali main hai bachpan ki khushbo wayesa hi ab bhi sawan hai

Aaj bhi dhondti hai meri ankheion kiu meri Goriyaan
Aa Saheli tu bhi dekh Khoaya kaha woh bachpan hai

Gorion ki shadi ka khail aur woh barish ka pani
bheegty woh school ka jana ab bhi wahi anjuman hai

yaad aayi mujh ko meri saari saheliyaan o meri aami
lerty milty thy yehi ham wahi aks ka darpan hai

baad berson k en galion se ayi hai mere bachpan ki Mahek
aye diwaar gale laga lo enhi khushbo se mahekta aaj bhi woh chaman hai

main ne khoya tha jo kabhi Mudaton ne mujhe milaya
Aanso mery kehty hai yehi mera woh sacha jiwan hai

Main banati thi jaha mitti k gharonde woh mitti bhi hai yehi
titilioin k pichy hi guzer jata tha sara din hai

O khala tum batao kaha gayi meri Saheli zarina
O mamo tum batao kaha gayi meri Saheli Anisa
unko bolaona dekho fir se aya Sufi ka bachpan hai

Meri galion ki main thi rani aajaa saheli khailge bina fiker aur koi gham
ab jawani ki qalaq se aami ne kerdiya derwaza bandh hai

Koi Laota de mera bachpan aye kanwal kitna masoom tha woh
Meri Goriyaan meri Saheli dhonta bhut aaj mera man hai.

Ussay Kehna

ussay kehna...!
sard ratoon mein thi-thar-tay
tanha udass chand k sath
uss ka inteezar kia hay
mein nay
usaay kehna...!
amavus ki ratoon mein
uss k leea duaaen mangi hain
mein nay
ussay kehna...!
garmiyoon ki shamoon mein aksar
thandi thandi hawaoon say
uss ka pata poocha hay
mein nay
ussay kehna....!
sheray dil vay-ran sa hoo gaya hay
teray baghar
zindagi azab hoo gaee hay
teray baghar
magr....!
kuch rastay tanha nahi kat-tay
ussaay kehna....!
buhat c manzilain tairee rafaqt mangti hain
usaay kehna....!
yeh ajeeb meray gham-o alam
yeh naseeb sungay bayan par
yeh warq warq pat garay qalam
yeh kara hisar naya nahi..
mera inteezar qadeem hay
mera uss say pyar qadeem hay.....

Mein Tujhe Bhool Sakoon

Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day........

Meri Galtion Ko chuna Karo

Meri galtion ko chuna kro,
Meri larzisho ko gina kro,
Ye
Qadam qadam ki hadod kya?
Mere sath sath chala kro!
Main khule mizaj ka shaks hon,
Main takalufat se hun mavara,
Ye mehrbani k jo lfz hain,
Inhe tm na muj se kia karo;
Kahin tum na ho jao besakon!
Koi badua tumhen kha na le!
Ye jo khoye khoye se log hain...
Inhe dekh kr na hansa kro
Ye Dua hay Rabekarim se,
Teri tazgi ko khizan na ho,
Ye bahar tm se jala kre,
Sada muskurate rha kro...!!!

Koi Apna Nahin Banta

koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...!

Dheere Dheere

Bhool jayeinge hum tumhein aye Bewafa sanam Dheere Dheere
Kiye hain jo MOHABBAT mein tu ne sitam hum par
Hans ke saheinge hum unhein Dheere Dheere



Dhaaga jo jurda tha tum se hamari wafaoun ka
Wo dhaaga tu ne tordiya aye bedard Dheere Dheere



Tanha choord gaya tu mujhe is duniya ki mehfil mein
Waade saare chahat ke tord gaya tu channd lamhon mein
Nibhai hai hum ne phir bhi Rasm-e-MOHABBAT Dheere Dheere


Jab gaye tum tord ke Aashiyana mere dil ka
Toote dil se nikalti thi aahein
Ke is dil ko tu ne diye Kai zakm Dheere Dheere


Sochte hain Kyoun diya hum ne ye dil us paththar dil ko
Jo nahi jaanta dil ki ehmiyat kya hai
Ab to is dard bhare dil mein jagah na milegi khushiyoun ko
Har gham saheinge tere liye hum sanam Dheere Dheere


Rahe tu khush sadaa ye NAAZ ki dua hai
De ager KHUDA tujhe koi gham to wo mile mujh
ko Dheere Dheere


Rahe tu khush sadaa ye NAAZ ki dua hai
De ager KHUDA tujhe koi gham to wo mile mujh
ko Dheere Dheere.

Ishq Ka Matlab

Uss Ny Khat Main
Ishq Ka Matlab Pooch Liya Hy
Mein Ny Likha Hy
Jab Koi Chahra
Dhiyaan Mein Akar
Maan Angan Mein Phool Khila Daay
Jab Koi Naam Labon Koo Chhoo Kar
Dharkano Ki Tarteeb Bhula Daay
Jab Koi Jazba Kar-E-Junoon Sy
Atish Koo Gulzar Bana Daay
Laikin Itna Dhiyaan Mein Rakhna
Koi Siraat-E-Ishq Sy Guzray Tab Khulta Hy
Ishq Sy Pehlly Ishq Ka Matlab Kab Khulta Hy.

Tammana

Abb Iss Dil Mein Koi Tammana Nahin Rahi
Zinda Hoon Lekin Zindagi Ki Zaroorat Nahin Rahi

Iss Qadar Talkhiyon Ne Kar Liya Baseira
Ke Baab-e-Zindagani Mein Zarafat Nahin Rahi

Cheen Lii Mairi Zabaan Aur Kaat Liye Par
Main Kya Karoon Bagawat Ki Himmat Nahin Rahi

Aik Dour Tha Chalkey Thay Hansi Ke Jaam Dost
Ye Waqt Hai Ke Tabiyat Mein Shararat Nahin Rahi ...

Mohabbat Thair Jaati Hai‏

Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
Mohabbat Thair Jati Hai
Mohabbat Kam Nahe Hoti.

Tum Bhi Khafa Ho

Tum bhi khafa ho loog bhi burhum he

teri bataain hi sunanay aa'e

dost bhi dil hi dokhanay aa'e

phool khilte hein tu hum sochtae hein

teray aanay ke zamaanay aa'e

aisi kuch chup si lagi hai jaise

hum tujhe haal sunanay aa'e

ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum

kaun yeh boojH uthanay aa'e

ajnabi dost humein dekh keh hum

kuch tujhe yaad dilaanay aa'e

dil dharakta hai safr ke hungaam

kaash phir koi bulanay aa'e

ab tu rounay se bhi dil dukhta hai

shaid ab hosh thikanay aa'e

kya kahein phir koi busti ujri

laug kyooN jashun mananay aa'e

so raho maut ke pahloo mein Faraz

nind kis waqt na janay aa'e.

Sochaaa Nahin Acha Buraa‏

Sochaaa nahin acha buraa dekhaaa sunaa kuchh bhi nahin...
mangaa khudaa se raat din tere sivaa kuchh bhi nahin...

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
merii Khataa meri wafaa teri Khataa kuchh bhi nahin...

jis par hamari aankh ne moti bichhaaye raat bhar
bhejaa wahi kaagaz usey hamne likhaa kuchh bhi nahin...

ik shaam ki dahleez par baithe rahe wo dair tak
aankhon se ki baatein bahut muunh se kahaa kuchh bhii nahin

do chaar din ki baat hai dil Khaak mein so jaayegaa
jab aag par kaaGaz rakhaa baaki bachaa kuchh bhi nahin...

ehsaas ki Khushbuu kahan, aavaaz ke jugnuu kahaan
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar mein rahaa kuchh bhi nahin.

Kiss Qadar Kaam Barha Deti Hain Yaadein Usski‏

Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko deewaana bana deti hain yaadein usski

Main bukalatta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nigahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaqat ka
Faasle aur barha deti hain yaadein usski.

Kaisi Ye Mohabbat

Kaisi ye Mohabbat ki shrowat hui hai
Khud mujh se juda aaj meri zaat hui hai

Jata hai usi simat meri soch ka dhara
Jis Shakhs ke hathon se mujhey maat hui hai

Pholon ki "Mohabat" ne mujhe din yeh dekhaye
Kanton ki chuban shamil-e-halat hui hai

JAB SAAMNE TUM

dekh k tum ko hosh main aana
bhool gaye,yaad rahe tum or zamana
bhool gaye
jab samne tum aajate hoo
kia janiye kia hojata hai
kuch mil jata hai kuch khoo jata
hai kia janiye kia hojata hai
chaha tha ye kahein ge soocha tha wo kahein ge
aaye wo samne to kuch bhi na keh sake bas
dekha kiye unhein hum
dekh ker tum ko yakeen hota hai
koi itna bhi haseen hota hai
dekh pate hain kahan hum tum ko
dil kahien hosh kahien hota hata hai
aaker chale na jana aese nahi satana
de ker hansi laboon ko aankhoon ko mat rulana
dildena na bekarari ka karar ban k
yadoon main khoo na jana tum intazaar ban k
sabhool ker tum ko na ji pain ge
ath tum hoge jahan jaein ge
hum koi waqt nahi hain humdum
jab bulao ge chale aaein ge
jab samne tum aajate hoo
kia janiye kia hojata hai
kuch mil jata hai kuch khoo jata hai
kia janiye kia hojata hai.

Ek Sitem Hai Jo Piyar Se Mansoob Kiya Jata Hai

Ek sitem hai jo piyar se mansoob kiya jata hai...



Iss rah ke musafir ko maghloob kiya jata hai ...



Do chaar he dunya mei hum jese rahay hon ge ...



Huq rah pe jinhein naist-o nabood kiya jata hai ...



Rehta tha kabhi dil mei Muslim ke Kuda her dam...



Dunya ko mager deen per mehboob kiya jata hai ...



Aalamgeer hai Islam or Allah - O Akber ...



America ko mager super manzoor kiya jata hai...



Wehshat ho bari jiski to maano use dehshatgerd. ..



Muslim ko is ohhde pe kiun mamoor kiya jata hai ...



Aalam pe huwa kerti thi Islam ki dehshat ...



Ulta mager ab saraa dastoor kiya jata hai.

Mujse Mat Pooch Ki Kyun Aankh Jhuka Li Maine

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,


har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,


ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li.


Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.

Baat Thi Muhabbat Ki

Baat thi muhabbat ki, umr bhar ki chahat ki
Bher mai zamane ki sath sath chalna tha...

Imteha'n bhi anay they, zindagi s sab hi pal
Sath hi betanay they, janay tum ne kya socha

Bas 1 pal mai he, bat khatm kar dali,
Zindagi jo pori thi, woh adhori kar dali,

Par kon tum ko samjhae,muhabat k mausam bhi roz nahi atay,
Yun zindagi mai apno ko chorr to nahi jatey.

Dena Hai Tohfa To Jfayen Naa Do Mujhe‏

Dena hai tohfa to Jfayen naa do mujhe
gin gin ke apne sar kii blayen naa do mujhe,

brasey gii ye to bhraye gii dil ki pyaas
ashqon ki gram gram ghatayen naa do mujhe,

ae mere dost mein to mussafir hun subha kaa
bekaif[bikhri] sham-e-gum kii fizayen naa do mujhe

nabz-e-hayat dub chuki ae mere huzoor
jeena hai ab mohal, duwayen na do mujhe,

jeenay se jee to bhar hi chukaa hai
iss jahan mein ab zindagi ki aur duwayen naa do mujhe,

ujrey huye chaman kaa hun phool mein gazal
isko kucchal ke aur szayen naa do muhe...

Ajab Mere Ishq Ka Haal Hai‏

Ajab Mere Ishq Ka Haal Hai


Pr Ajj Dil Main Aik Malaal Hai


Ye Kese Khushbo Hai Mere Char Soo


Shayad Bister Pe Teraa Romaal Hai

Apni Qismat Pe Yaqin Ha Lakin


Teri Aik â€Å“Haan” Ka Bhi Sawal Hai


Tum Tanha Chor Gae Ho Mujhko


Aur Dil Main Ab Bhi Tera Khayal Hai


Yaqin Nahin Tu Thek Hai…. Lakin!


Manlo Mera Ishq Lazawal Hai

Kanta na hota, toh


phool ki hefazath na hoti,


Andhera na hota,to


roshini ki zarurath na hoti,


Agar mil jati har khushi duniya me,


Toh dil ki mulaqath dard se na hoti.

Shab e Tanhai‏

usy wo jo bade sukh main hai
usy kahna
keh raat ka pichla paher hai
aur hum jagty hain
humari ankhon se neend kosoon duur hai
humare lab pe abhi tak us k naghmay gungunaty hain
humara zahan ab bhi us ki batain sochta hai
to
hum kabhi hans dety hain
kabhi ji bhir k roo dety hain
shab e tanhai ki yukh busta hawaoo
usy kahna
hum abhi bhi bawazu ho ker us ka naam laty hain
usy kahna
ya apna naqsh dhoo jaye
ya phir se mera ho jaye.

Ek Khaahish

Jab Gulaboon Ka Aaks
Terey Rukhsaaroon Par Timtimanay Lagay
Aur Suraj Ki Ziya
Terey Haseen Paishani Pay Chamkay
Jab Teri Gehri Aankhon Main
Kaiye Suhaanay Khaab Utrain
Aur Tera Badan Khushbo Ban Jaye
Tu Thaam Kar Aroos Bahaar Ka Haath
La Zawaal Musarraton Ki Kehkashan Par Chal Raha Ho
Tu Aisey Main Khahish Hai Meri
K Aaroos-E- Bahaar K Chehray Main
Kaash Tu Aaks Mera Hi Dekhay
Aur Us K Rangeen Badan Main
Lums Mera Hi Mehsoos Ho.

Chupa K Lehjay Main

Koi Tu Phool Khilaye Dowa K Lehjay Main
Ajeeb Tarhan Ki Ghuttan Hai Hawa K Lehjay Main
Yeh Waqt Kis Ki Ra'aonat Pay Khaak Daal Gaya
Yeh Koun Bool Raha Hai Khuda K Lehjay Main
Na Jaanay Khalq-E-Khuda Koun Say Aazaab Main Hai
Hawain Cheekh Pareen Iltijaa K Lehjay Main
Khula Faraib Mohabbat Dekhai Deta Hai
Aajab Kamaal Hai Us Bewafa K Lehjay Main
Yeh Hi Hai Maslehat Jabar Ehtiyaat Tu Phir
Hum Apna Haal Kahain Gayein Chupa K Lehjay Main.

Kisi Ko Alwida Kehna

Kisi Ko Alwida Kehna
Bohat Takleef Deta Hay

Umaeedain Toot Jati Hain
Yaqeen Pe Beyaqeeni Ki Kuhar Kuch Aisey Chhati Hay
Dikhai Kuch Nahi Deta
Sunai Kuch Nahi Deta
Dua K Lafz Honton Pe
Musalsal Kapkapaatay Hain
Kisi Khahish K Andeshay
Zehan Main Dour Jatay Hain
Gumaan Kuch Aisey Hota Hay
K Jaisey Mil Na Paen Gay
Yeh Gehray Zakhm Furqat K
Kisi Se Sil Na Paain Gay

Judai Aik Pal Ki Ho
Tou Koi Khud Ko Samjhaye
Judai Char Pal Ki Ho
Tou Koi Khud Ko Samjhaye
Judai Umer Bhar Ki Ho
Tou Kiya Chaara Karay Koi
K Ik Milnay Ki Chahat Main
Bhala Kab Tak Jiye Koi

Magar

Aisa Na Ho Ya Rab
Tu Duaa’in Maan Leta Hay
Diloon Ko Jaan Leta Hay

Aisa Na Ho Ya Rab

Tu Koi Mojza Kar De
Tu Aisa Kar Bhee Sakta Hay
Merey Haathon Ki Jaanib Dekh
Inhain Tu Bhar Bhee Sakta Hay

Kisi Ko Alwida Kehna …….

Aao Mohabbat Karty Hain

Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aankhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain.

Her Qadam Per Milli Ruswai Zamanay Bhar K‏i

Her qadam per milli ruswai zamanay bhar ki
Her ruswai main aai saada, her saada main tera naam…….
Dil iqrar ko tarasta raha…tarapta raha

per laboon per na aaiya tera naam….
Qiyamat kay thay woh lamhay jag hasai kay

per gawara na kiya laina tera naam…..
Ankhoon nay bahai ashkoon ki lari

lari kay her moti per tha tera naam……
Apnay huwiay gair aur dee tanhai

per tanhai main bhi goonja tera hi naam…..
Nadaan hain jo bethain mujh per pehray

Kaisa pehra jab rooh per hi likha ho tera naam….
Muqadar main likha hai kiya..kissi ko kiya maloom

hum to baas yaad rakhay hain teran naam…..
keh do yeh un pehray daroon say…..
Ta dum merg manind tasbeh perhna hai tera naam

Yeh Zindagi Tumhari Hai

Yeh Dil Tumhara Hai, Yeh Zindagi Tumhari Hai
Hamaray Paas Faqat Har Shay Amanat Tumhari Hai

Woh Purwaqar Hijaab Woh Jheel Si Gehri Aankhain
Hamari Nazroon Main Ab Soorat Sirf Tumhari Hai

Jis Ko Sunnay K Liey Hotay Thay Hum Baitaab
Hum Tu Har Lamha Khayalon Main Awaz Tumhari Hai

Saamnay Baith Kar Tum Ko Taktay Rehtay Thay Hum
Jab K Na Yeh Aadat Hamari Na Yeh Aadat Tumhari Hai

Woh Har Waqt Har Lamha Tumhay Hi Sochtay Rehna
Ab Hamari Sochoon Main Soch Sirf Tumhari Hai

Jo Keh Na Saqa MOHSIN, Woh Khoobsoorat Alfaaz
Kabhi Woh Hi Keh Day K Woh Sirf Tumhari Hai

Kuch Naheen Mila

Duniyan main hum ko

Gham k siwa kuch naheen mila

Chere badal k dekh liya

Kuch naheen mila



Apne laho se hum ko

Mili hain tabahiyan

Nas nas main rach gayi hain

Jahan ki buraiyan

Sab kuch luta k dekh liya

Kuch naheen mila



Jaisa banaya ban gaya

Main beqasoor houn

Manzil k paas rah k bhi

Manzil se duur houn

Manzil pe ja k dekh liya

Kuch naheen mila



Surat wohi rahi meri

Sirat badal gayi

Jitni bhi zindagi thi

Woh sagar main dhal gayi

Sagar main bhar k zahir piya

Kuch naheen mila

Intizar‏

Aankhon say behtay askq nahi
khoon-e-jigar rawani hai
kuch teri bewafaii ki
kuch wafa ki meri kahani hai


aankhon main jyoti nahi, tum samaye baithe ho
dil main dharkan nahi, tum ghar banaye baithe ho


ab bhi tu haseen hai, is baat say inkaar nahi
magar ab is dil ko tera intezaar nahi


machli paani main doob gaye
hum ishq main doob gaye
usay to zindagi mili
hum jeena hi bhool gaye


mujhko udaas dekh ker, zamany nay yeh sawal kiya
woh kaun hai zalim, jisnay tera yeh haal kiya
maine kaha woh mohabbat hai, jo muri unkay saath hai
woh nikli bewafa zalim, bus itni si baat hai


gaanay walay ko kaho, aaj is tarah gayain
her dil ko lagay chott, her aankh bhar aayain


kuch ker kay dikha dain, ki kaam bohot hain
is jahan main jeetnay walay muqaam bohot hain
mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay
roz marha mitnay walay naam bohot hain


tujhe dekhna chaahta hoon her pal
shayad tujhse bohot pyar karta hoon
kal tak to tujhe jaanta bhi na tha
aaj tera intezaar karta hoon

Naam Likh Likh K Hathon Pe‏

Naam likh likh k hathon pe mera mitata hai koi
Bahane bahane se mujhe satata hai koi
Mujhe tou yoon kabhi bhi jeene ki khuwahish nahi rahi
Jane kyun zindagi k roop mein mujhe milne ata hai koi
Baad-e-saba kabhi tou meherbaan hoke bataye tujhko
Ke hijr mein tere aansoo bahata hai koi
Tera milna na milna muqaddar ki baat sahi
Tujhe har roz khuda se mangta hai koi
Yeh kaisi andheri nagri hai mere khudaTu saamne hai mager tujhe dhoondta hai koi
Chalo accha hai zamane ko mouzoon tou milgaya
Humein sata kar kitna muskurata hai koi
Ab ke humari haar bhi jeet ki manind hai 'AAJ'
Humein haar ke bhi aksar pukaarta hai koi

DIL KA QARAAR

Baatein teri uttarti hain Dil main Qaraar ban ke
Pyaar tera barasta hai mujh par phuwaar ban ke



Duniya sitam kare mujh par parwaah nahi mujhe
Pyaar tera rehta hai mere gird hisaar ban ke



Jazbe sache the jo mil gaye hum dono
Duniya laakh aayi darmiyaan dewaar ban ke



Zor koi Dil per apna ab chalta nahi hai
Pyaar main tere reh gaye be ikhteyaar ban ke

Yohn Koi Choor Diya Karta Hai

Yohn Koi Choor Diya Karta Hai Apna Kar K
Tum Nay Tu Maar Diya Hai Mujhay Tanha Kar K
Aik Nazar Daal Kabhi Merey Maseeha Mujh Par
Tera Kia Jaaye Ga Bemaar Ko Achha Kar K
Aaye Mohabbat K Maraahil Say Ghuzarnay Walay
Tu Nay Aansoon Kabhi Dekha Hai Sitaara Kar K
Main Buhat Jald Bhanwar Main Tujhay Yaad Aaon Ga
Itna Khush Baash Na Reh Mujh Say Kinaara Kar K

Ek Kaam Choor Aaya Hoon

Hawa K Waastay Ek Kaam Choor Aaya Hoon
Main Diya Jaala K Sar-E-Shaam Choor Aaya Hoon
Aamanatay Shahar-O-Shaam Choor Aaya Hoon
Main Kahin Chiraagh Kahin Jaam Choor Aaya Hoon
Kabhi Naseeb Ho Agar Fursat Tu Ussay Parh Lena
Woh Ek Khat Jo Terey Naam Choor Aaya Hoon
K Koi Chiraagh Sar-E-Rehguzar Nahin Na Sahi
Main Naksh-E-Paak Hargaam Choor Aaya Hoon
Abhi Tu Aur Bhi Buhat Us Par Tafsiray Hoon Gi
Main Guftaghu Main Jo Ibhaam Choor Aaya Hoon
Ab Wahan Say Qadam Bhi Na Barh Sakain Gay Aghay
Main Jahan Gardish-E-Aayaam Choor Aaya Hoon
K Chain Say Jee Sakon Qabar Main Kaza Aanay K Baad
Terey Ishq Ki Manzilain Nakaam Choor Aaya Hoon
Mujhay Jo Dhoondhna Chaahay Woh Dhoondh Lay Jaaye
Apnay Koochay Ab Main Gumnaam Choor Aaya Hoon

Tum Kisi Aur Ko Chaaho Gi To Mushkil Ho Gi

Tum Agar Mujh Ko Na Chaaho To Koi Baat NahiN
Tum Kisi Aur Ko Chaaho Gi To Mushkil Ho Gi

Abb Agar Mail Nahin Hai To Judaai Bhi Nahin

Baat Torri Bhi Nahin Tum Ne Banaai Bhi Nahin

Ye Sahara Hi Bohat Hai Mairey Jeeney Ke Liye

Tum Agar Mairi Nahin Ho To Paraai Bhi Nahin

Mairey Dil Ko Na Saraaho To Koi Baat Nahin

Gair Ke Dil Ko Saraaho Gi To Mushkil Ho Gi

Tum Haseen Ho Tumhein Sab Pyar Bhi Kartey Hon Gey

Main Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Martey Hon Gey

Sab Ki AankhoN Mein Issi Shokh Ka Toofan Ho Ga

Sab Ke Seeney Mein Yehi Dard Ubhartey Hon Gey

Mairey Gham Mein Na Karaaho To Koi Baat Nahin

Aur Ke Gham Mein Karaaho Gi To Mushkil Ho Gi

Tum Kisi Aur Ko Chaaho Gi To Mushkil Ho Gi….

Tuesday, April 28, 2009

Ye Itna Dard Ka Ehshaas Kyun Ho Raha Hai

Ye itna dard ka ehshaas kyo ho raha hai..
apne zakhmo ko mai see raha hoo sayad..

Aankho me mere samandar rehta tha..
Us Samandar ko khud hee pee raha hoo sayad..

Abhi abhi maine ek dhadkan ki aawaz suni hai..
Zinda hoo mai, jee raha hoo sayad..

Aisa nahi ki wo bhula dege humko...
Mai hee hoo jo jyada ummeed kar raha hoo sayad..

Wo ye bhee kehte the, ki humse bicahad ke wo mar jayege..
Mai hee bewafa hoo jo abhi tak jee raha hoo shayad.

Agar Main Dur Ho Jao‏

agar main dur ho jao,,
to palko ko jhapak daina,,
agar ansu kkoi giraay,,
samajh jana kkk wo ho main,,

hatali smanay rakhna,,
k ssab aansuu giraay us main,,
jo ruk jaye ga hounto per,,
smajh jana k woho main,,

kabhi jo chand ko daiakhko,,
to tum youn muskura dna,,
k phirr badal bhi ajayee ,,
smajh jana k wo ho main,,

jo chal jayee hawa thandi,,
to ankhaay band ker lainaa,,
jo jhonkkaa ttaiz ho ssab say,,
samajh jana k wo ho maiin,,

jo zeeyada yaad aao main,,
to tum ro laina jee bher ker,,
agar hichki kkoi ayee,,
samaj jana k wo ho main,,

agar tum bholnaa chaho,,
mujhay shayad bhula do tumm,,
magar jab saans aye gii,,
smajh jana k wo ho main..

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uske Shaher Mein Kuch Din Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Ki Dard Ki Gahak Hai ChasmENaaz Uski
So Hum Bhi Uski Ghali Se Guzar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se
So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai SherOShairi Se Sharaf
So Hum Bhi Mozize Apne Hunar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jhadte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Kozugnu Thaher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Hasr Hain Uski Ghzaal Si Aankhein
Suna Hai Usko Hiran Dast Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
To Usko Surma Farosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Aeena Tamsaal Hai Jabeen Us Kee,
Joo Sada Dil Hai Usay Ban Sawer K Dekhtay Hain

Suna Hai Us K Laboon Say Gulaab Jaltay Hain,
So Hum Bahaar Pay Ilzaam Dher K Dekhtay Hain

Suna Hai Us K Badan Kee Taraash Asi Hai,
Ki Phool Apni Qabaaeein Quter K Dekhtay Hain

Rokay To Gerdeshain Us Ka Tawaaf Kertee Hain,
Chalay To Us Ko Zamanay Thaher K Dekhtay Hain

Mubalgein Hi Sahi Sab Kahaniyan Hi Sahi
Agar Woh Khawab Hai Tabeer Kar Ke Dekhte Hain

Ab Us K Shaher May Thahray K Koooch Ker Jaaeein,
Faraaz Aaoo Sitaray Safer K Dekhtay Hain

Mujhe Jo Kuch Bhi Kehna Tha

mujhe jo kuch bhi kehna tha
abhi me keh nahi paya


Meri Tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya



abhi to Qarab likhna hai
jissay mehsoos karta hon
abhi wo khawab likhnay hain
jo ankhon me paltay hain
mujhay un ko bhi likhna hai
jinhain me dhoondh na paya


abhi wo log likhnay hain
jo khoo kar haath maltay hain


abhi wo ashk likhnay hain
kabhi jo beh nahi paye



mere tehreer ki zad me
abhi bhi kuch nahi aya



abhi to mausmon ki
shokhyan tehreer karni hain


abhi Jo phool kaliyan aur
sehe-e-shabnam bhi likhni hai


Uthaanay hain abhi darya say
mujh ko pyaas k pehray


abhi to khushk pairon pe
mujhay rim jhim bhi likhni hai


kahin pe dhoop likhni hai
kahin pa teergi chaaya



mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya



abhi to mujh ko likhni hai
kisi ki reshmi zulfain
kisi ki surmagii palkain
kisi ki ankh ka kajal
kisi ka tootta badal
kisi ki pyar ki qasmain
kisi ki unkahi batain


macha dain dil me jo hulchul
abhi woh sub likhna hai
jo mera ishq keh laye



mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya



abhi to wo safar likhna hai
jo darpaish hai mujho
abhi to tum ko apni
pyass ka sehra dikhana hai
abhi to hijr ki likhni hain
sari matamii Ratain
abhi to aisay lamhon ka bhi
tum ko lutf sunana hai
keh jin say ashk ankhon me
magar iss dil ko beh laye



mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya

Sagar Se Lab

Sagar Se Lab Laga Ke Bahut Khush Hai Zindagi
sahan-e-chaman men aake bahut Khush hai zindagi

Aa jao aur bhi zara nazadik jan-e-man
Tum ko qarib paake bahut Khush hai zindagi

Hota koi mahal bhi to kya puchate ho phir
Be-vajah muskura ke bahut Khush hai zindagi

Sahil pe bhi to itani shagufata ravish na thi
Tufan ke bich aake bahut Khush hai zindagi

Viran dil hai aur zindagi kaa raqs
Jangal men ghar banake bahut Khush hai zindagi

Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade‏

Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pare
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pare

Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pare

Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pare

Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pare

Dil Udaas Hai Bahut Koi Peghaam He Likh Do‏

Dil udaas hai bahut koi peghaam he likh do

Tum apna naam na likho, gumnaam he likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin

Tamaam umer na likho magar ik shaam he likh do

Zaroori nahin ke mil jaye sakun har kisi ko

Sar-e-bazam na ao magar benaam he likh do

Yeh jaanta hun ke umer bhar tanha mujh ko rehna hai

Magar pal do pal, ghari do ghari, mere naam he likh do

Chalo hum maan letay hain ke saza ke mustahiq thehray hum

Koi in'aam na likho koi ilzaam he likh do

Muhabbat Ka Erada Ab

Muhabbat Ka Erada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hay
Tumhain Khona Bhi Mushkil Hay Tumhain Pana Bhi Mushkil Hay

Udasi Teray Cheray Ki Gawara Bhi Nahi Lekin
Teray Khatir Sitaray Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hay

Zara Si Bat Par Ankhain Bhigo Kar Beth Jatay Ho
Tumhain Tu Apnay Dil Ka Haal Batlana Bhi Mushkil Hay

Kaash Kabhi Hota Yeh Meray Ikhtiar Mai‏

Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main

main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo
tu khud ko bhool jati meray aitbaar main

tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye
be-chain ho k phirti meray intizar main

main dair say jo aata naaraaz ho ke tum
har baat ka jawab deeti inkaar main

tu jo kisi baat par mujh se rooth jati
main tujhay manata bare israar main

maan kar tu mujh se sirf yehi kehti
hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main

kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
main rang deta janan tujhe apnay peyar main

Sab Gilee Mita Doungi

Jo Suni Nahi Kabhi To Nay Woh Baat Suna Doungi

To Ek Baar To Mil Mujh Say Sab Gilee Mita Doungi


Meri Khamosh Nigahoun Ko Yu Herat Se Na Dekh

Main Roo Pari To Diloun Kay Tabaq Hila Doungi


Main Younhi Udaas Rahi Tou To Dekhna Ek Din

Tanhayan Apni Tamam Shehar Main Bicha Doungi


Bhulaoun Gi, Miloun Gi Na Koi Khat Likhoun Gi Tujhe

Teri Khushi Ki Khatir Khud Ko Aesi Saza Doungi

Ab Likhnay Ko Kiya Baqi Hai

Ab kya likhain kaghaz par
Ab likhne ko kya baqi hai


Ek dil tha wo bhi toot gya
Ab tootne ko kya baqi hai

ik shakhs ko ham ne chaha tha
ik rait pe naqsh bnaya tha

Wo rait to kab ki bikhar gai
Wo naqsh kahan ab baqi hai

Hum jin ko apni nazmon ka
Unwan bnaya karte the

Lafzon ka bana k taj mehal
Kaghaz pe sjaya karte the

Wo hum ko akela chhorr gya
Sab rishton se moonh morr gya

Ab raste saray soonay hain
Wo pyar kahan ab baqi hai

Ab kya likhain kaghaz par
Ab likhne ko kya baqi hai

Mohabat Mar Bhi Sakti Hay

jisey tum chaho
tumhien wo roog kehta hu
k jis nay kudh chahat say tumhara haath thama hu
wo appney dil k darwasey
tumhien par band kar dey tu
mohabat maar bhi sakti hai
tumhey sangsaar karney ko sang baantey loogon mien
saba ko rookney ko qufal daley dariechon pay
kar k band ghar k darwasey
saba par pehrey lagaey tu
mohabat maar bhi sakti hai
ye kis nae keh dia tum say
mohabat maar nahi sakti
k jab koi tumhien jan say guzar janey ko kehta hu
aadhi rah mien kudh hi murr jaey
wo apni bewafaiey ka kudh hi aitaraf karey tu
mohabat maar bhi sakti hai

Kabhi Khamosh Betho Gay

kabhi khamosh betho gay,kabhi kuch gun gunow gay
main itna yaad awoga mujhy jitna bhulow gay
koi jab poch bethy ga khamoshi ka sabab tumsay
bahut samjhana chaho gay magar samjha na powgay
kabhi duniya mukamal ban k ayegi nighahon main
kabhi meri kami duniya ki her sheh main powgay
kahin per bhi rahain hum or tum mohabbat phir mohabbat hay
tumhain hum yaad ayain gay hamain tum yaad awogay

Pukara Nahi Karte...

Yun Dill Ko Her Ek Shakhs Pe Wara Nahi Karte
Ankhon Mein Her Ek Aks Utara Nahi Karte

Honi Hai To ik Bar Hi Ho Jaey Muhabat
Ye Bhool Hai Aisi Ke Dobara Nahi Karte

Acha Huwa Meine Hi Faqat Dekha Magar Yun
Mehfil Mein Kisi Ko Bhi ishara Nahi Karte

Mil Jaey Sar-e-Rah Jo Bichra Huwa Koi
Chup chap hi Takte Hain Pukara Nahi Karte

Kiyun Piyar Ki Bazi Se Ho is Darja Gurezan
Kihte Hain Ke Dill Har Ke Bhi Hara Nahi Karte

Kajal Se Bhi Ab Kaam Koi Le Na Saheli
Yun Dard Se Ankhon Ko Sanwara Nahi Karte

Nazar Se Duur Sahi

Hansi laboun pe sajaye udaas rehta hai

Ye kaun hay jo mery ghar ke pass rehta hai



Ya aur baat ke milta nahee koi us se

Magar woh shakhs srapa pasa rehta hai



Jehan pe doob gaya meri aas ka suraj

Usi jaga woh sitara shanas rehta hai



Likhi hai kis ne ya tehreer rag-e-sahil per

Bohat dinoun se samandar udaas rehta hai



Guzar raha houn soda garoun ki basti sai

Badan pay dekhiya kab tak libaas rehata hai



Mein wehshaton kai safar mein bhi kahan tanha

Yahi gumaan hai koi aas pass rehta hai



Mein guftugo kai her andaz ko samhajta houn

Ke meri zaat mein lehja- shanas rehta hai



Wo faaslon mein bhi rakhta hai rang milan ka

Nazar se duur sahi, dil kai pass rehta hai

Khaber Rakhte Hain

Aap mein gum hain magar sab ki Khaber rakhte hain
Ghar mein baithe hain zamane peh nazar rakhate haiin
Nuktachenian dekhiye kis kis peh nazar rakhate hain
Ham bhi aie didavaro aib-o-hunar rakhate hain
Ham se ab aie garadish-e-dauraan tumhein kya lena hai
Ek hi dil hai so voh zer-o-zabar rakhate hain
Jis ne in tiiraa ujaalon kaa bharam rakha hai
Apne seene mein voh nadidah sahar rakhate hain
Rahnumaa kho gaye manzil to bulati hai hamein
Paaion zakhmi hain to kya, zauq-e-safar rakhate hain
Woh andheron ke payambar hain to kyaaGam hai "Jamil"
Ham bhi aankhon mein kaii shams-o-qamar rakhate hain

Dukh K Kante

Us se mile yun
Mil kar us se

Duniya sari bhul gaye
Dukh k kante phool bane
Aur gham ka suraj duub gaya
Pyaar ki mithii chandni le kar
Chaand sunehra pheel gaya

Dard k aansu
Aankh se beh kar
Shabnam main tabdeel huwe
Us se mile yun
Mil kar us se
Duniya sari bhul gaye

Lekin Asal Haqeeqat

Ek lamhe ko bichar k

Us se

Ayse laga tha

Dil ki dharkan ruk jaye gi

Sanseen barham ho jayeen gi

Mout ki baheen meri janib

dhire dhire barh ayi hain

Ek lamhe ko ayesa laga tha

Lekin

Asal haqeqat yeh thi

Us ko apne ghar jana tha

Muj ko lout k ghar ana tha

Who Raat

Woh Raat Be-Pannah Thi Aur Mai Ghareeb Tha
Woh Jis Nai Yai Charagh Jalaya Ajeeb Tha

Woh Roshni Kai Aankh Uthaee Nahi Gayee
Kal Mujh Sai Mera Chaand Bohot Hi Kareeb Tha

Daikha Mujhe To Tab'Aan Rawwa Ho Gyaee Meri
Woh Muskura Diya To Mai Shayer Adeeb Tha

Rakhta Na Kiyoo Mai Rooh-o-Badden Kai Saamney
Woh Yoo Bhi Tha Tabeeb Woh Yoo Bhi Tabeeb Tha

Har Silsela Tha Uss Ka Khuda Sai Milla Huwa
Chup Ho Kai Lab-Kusha Ho Balla Ka Khateeb Ho

Mojein Nishaa To Seh Lein Gham-e-Jaan Thi Aik Saath
Gulshan Mai Naghma Sanj Ajjeb An-Daleep Tha

Mai Bhi Raha Khilawat-e-Jaana Mai Aik Shaam
Yai Khuwab Hai Ya Waqayee Mai Khush-Naseeb Tha

Harf-e-Duwa- o-Dast-e- Sakhawat Kai Baagh Mai
Khud Mera Tajurba Hai Woh Be-Hadd Najeeb Tha

Daikha Hai Uss Ko Khilwat-o-Jalwat Mai Bar-Ha
Woh Aadmi Bohot Hi Ajeeb-o-Ghareeb Tha

Likhoo Tumaam Umer Mager Phir Bhi Tum Aleem ~
Uss Ko Dikha Na Paye Woh Aisa Habeeb Tha.

Tum Mujh Ko Achay Lagtay Ho

Ek baat kahoon ger suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho

Kuch chanchal se kuch chup chup se
Kuch pagal pagal lagtay ho


Hain chahnay walay aur bohat
Per tum mein hai ek baat bohat


Tum apne apne lagtay ho
Ek baat kahoon ger suntay ho


Yeh baat baat pe kho jana
Kuch kehte kehte ruk jana


Yeh kis uljhan mein lagtay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho

Bohat Dino Ki Baat Thi

Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
Bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee

meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee

magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee...............

Kahoon Kaisay

Ghazal To Likhi Hai Per Kahon Kaisay
Kisi Ki Baat Kisi Se Kahon Kaisay
Teri Baat Per Chup Ek Zamana Hai
Teri Baat Par Baat Phir Kahon Kaisay
Suna Hai Woh Khushiyon K Dais Se Lota Hai
Ussay Gham K Fasanay Phir Kahon Kaisay
Na Jaan Saki Teray Dil Ki Baat Ab Tak
Tujh Se Apnay Dil Ki Baat Phir Kahon Kaisay Yaad ...
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy....... .
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....

KIS KO BATAO GE

Kabhi jo hum nahi hon ge
Kaho kis ko batao ge
Woh apni uljhanein saari
Who bechaini mein doobe pal
Woh aankhon mein chhupe aanso
Kisse phir tum dikhao ge
Bohat bechain ho ge tum
Bohat tanha reh jao ge
Abhi bhi tum nahi samjhe
Humari unkahi baatein
Magar jab yaad aayen gi
Bohat tum ko rulayen gi
Bohat Chaho ge phir bhi tum
Humein na dhoond pao ge
Kabhi jo hum nahi hon ge
Kaho kis ko batao ge..

Zara Tum Shaam Honay Do

main titli ko sula doon ga zara tum shaam honay do!
main jugnoo ko jaga doon ga zara tum shaam honay do!
kahan aghaz hota hai, kahan anjaam hota hai,
huner saray sikha doon ga zara tum shaam honay do!
mujhay itni maharat hai k main saada say lafzon main,
tumhain dilkash bana doon ga zara tum shaam honay do!
meri namnaak nazron ko na dekho tum haqarat say,
main tum ko bhi rula doon ga zara tum shaam honay do

Jab Main Doob Kay

Jab Main doob Kay Likhti Hoon
Sab Log Mujh Se Yeh Kehtay Hain
Nazmon se Ishq Khuda Jaisa
Ghazlon Main Kaif Udasi Ka
Kis dost Ne Tum Ko Chor Diya
Mera Ik Jawab Hemesha hai
Ik Shaks Jo Sheher Mai Aya Tha
Kuch Roz Woh Mere sath Raha Tha
Mujhe Lehjay Ki Umrat Ras Main
Us Main Kuch Aisa Rang Diya
Phir Soch Kay Tanay Banay Main
Uljha Kar Mujh Ko Chor Diya
Kuch Din Us Ki Yaad Yunhi
Is Dil Pay Dastak Deti Hai
Aur Paon Main Zanjeer Parhi
Kab Hum Ko Janay Deti Hai
Kab Dil Main Us ki Aas Nahi
Yeh Baat Alag Woh Pass Nahiii

Phir Chale Jana

Phir chale Jana
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana

Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana.