samander per sukoo'n hai per kinaray shor kertay hain
meray atraaf bas rangee'n nazaray shor kertay hain
aur ab to chandni raatein mujay achi nahi lagtein
sukoo'n say so nahi sakta k taray shor kertay han
mein jab khamosh rehta hon to sab khamosh rehtay han
agar ik lafz bhi bolon to saray shor kertay han
bohat muddat hoe jab tum meray kochay say guzray thay
pa'kadmon k nishaa'n ab tak tumharay shor kertay hain
koe bhi baat yaksooe say ab sochi nahi jati
k meray zahen mein kuch ista'aray shor kertay han
mera ghar jal raha hai, mein kisi say kuch nahi kehta
magar aye doost ye shulay shararay shor kertay hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment