Hansi laboun pe sajaye udaas rehta hai
Ye kaun hay jo mery ghar ke pass rehta hai
Ya aur baat ke milta nahee koi us se
Magar woh shakhs srapa pasa rehta hai
Jehan pe doob gaya meri aas ka suraj
Usi jaga woh sitara shanas rehta hai
Likhi hai kis ne ya tehreer rag-e-sahil per
Bohat dinoun se samandar udaas rehta hai
Guzar raha houn soda garoun ki basti sai
Badan pay dekhiya kab tak libaas rehata hai
Mein wehshaton kai safar mein bhi kahan tanha
Yahi gumaan hai koi aas pass rehta hai
Mein guftugo kai her andaz ko samhajta houn
Ke meri zaat mein lehja- shanas rehta hai
Wo faaslon mein bhi rakhta hai rang milan ka
Nazar se duur sahi, dil kai pass rehta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment