kabhi tujhey is nager dekhna
kabhi us nager dekhna
kabhi raat bhar tujhey sochna
kabhi raat bhar tujhey dhund na
mujhey ja-baja teri jostoju
tujhey dhundta hoon main koba-ko
kahan khul saka terey robaro
mera is qadar tujhey dhund na
mera khuwab tha woh ya khayal tha
kabhi arsh par tujhey dekh na
kabhi farsh par dhund na
yahaan har kissi sey hi bair hey
tera shaher qariya gheer hey
yahaan sehal bhi tu nahi koi
merey bekhabar tujhey dhund na
teri yaad aai tu ro diya
jo mil gai tujhey khu diya
merey silsiley bhi ajeeb hein
yeh meri ghazal ka kamal hey
k teri nazer ka jamal hey
tujhey shair shair mein soch na
sar-e-baam-u-dar tujhey dhund na
kabhi tujhey is nager dekhna
kabhi us nager dekhna,
kabhi raat bhar tujhey sochna
kabhi raat bhar tujhey dhund na..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment