Wednesday, April 29, 2009

Mere Bachpan Ki Galiyaan

Ye mere bachpan ki galiyaan yehi mera ghar hai
Kho gaya tha jaha ye bachpan wahi ye angan hai

Aayee baad berson k ham en diwaaron se milne
gali gali main hai bachpan ki khushbo wayesa hi ab bhi sawan hai

Aaj bhi dhondti hai meri ankheion kiu meri Goriyaan
Aa Saheli tu bhi dekh Khoaya kaha woh bachpan hai

Gorion ki shadi ka khail aur woh barish ka pani
bheegty woh school ka jana ab bhi wahi anjuman hai

yaad aayi mujh ko meri saari saheliyaan o meri aami
lerty milty thy yehi ham wahi aks ka darpan hai

baad berson k en galion se ayi hai mere bachpan ki Mahek
aye diwaar gale laga lo enhi khushbo se mahekta aaj bhi woh chaman hai

main ne khoya tha jo kabhi Mudaton ne mujhe milaya
Aanso mery kehty hai yehi mera woh sacha jiwan hai

Main banati thi jaha mitti k gharonde woh mitti bhi hai yehi
titilioin k pichy hi guzer jata tha sara din hai

O khala tum batao kaha gayi meri Saheli zarina
O mamo tum batao kaha gayi meri Saheli Anisa
unko bolaona dekho fir se aya Sufi ka bachpan hai

Meri galion ki main thi rani aajaa saheli khailge bina fiker aur koi gham
ab jawani ki qalaq se aami ne kerdiya derwaza bandh hai

Koi Laota de mera bachpan aye kanwal kitna masoom tha woh
Meri Goriyaan meri Saheli dhonta bhut aaj mera man hai.

No comments:

Post a Comment