kathin hai raahguzar thoRii duur saath chalo
bahut karra hai safar thoRii duur saath chaalo
tamaam umr kahaan ko’ii saath detaa hai
main jaantaa hoon magar thoRii duur saath chalo
nashe mein chuur huun main bhii, tumhein bhii hosh nahiin
bara mazaa ho agar thoRii duur saath chalo
ye ek shab kii mulaaqaat bhii ghaneemat hai
kisay hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo
abhii to jaag rahe hain chiraagh raahon ke
abhii hai duur sahar, thoRii duur saath chalo
tawaf-e-manzil-e-jana hamein bhii karnaa hai
“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment