Tuesday, April 28, 2009

Zara Tum Shaam Honay Do

main titli ko sula doon ga zara tum shaam honay do!
main jugnoo ko jaga doon ga zara tum shaam honay do!
kahan aghaz hota hai, kahan anjaam hota hai,
huner saray sikha doon ga zara tum shaam honay do!
mujhay itni maharat hai k main saada say lafzon main,
tumhain dilkash bana doon ga zara tum shaam honay do!
meri namnaak nazron ko na dekho tum haqarat say,
main tum ko bhi rula doon ga zara tum shaam honay do

No comments:

Post a Comment