Wednesday, April 29, 2009

Gham Sey Na Dil Ko

Gham sey na dil ko kabhi hamkanar karna
Main phir aaon ga palat ker mera intizar karna

Mujhey darr hai merey ansoo teri ankhon sey na chalkain
Zara soch ker samajh ker mujhey sogwar karna

Ussey dhond sab sey pehley jo nahi mila hai tujh ko
Yeh sitarey aasman kai kabhi phir shumar karna

Yehi reh gia madawa meri badgumaniyon ka
Tera muskura kar milna ' mera aitbaar karna

Badnaseeb sohail teri zindagi hi kia hai
Na kisi sey dil lagana ' na kisi sey piyar karna

Kabhi iqtidaar bakhshay jo Khuda Qateel tujh ko
Jo rawish hai qatloon ki woh na ikhtiyar karna.

No comments:

Post a Comment