mujhe jo kuch bhi likhna tha
abhi main likh nahi paya
meri tahreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya
abhi wo dard likhna hai
jo anso khoon ke laye
abhi ruswai likhni hai
jo humra Sang bhi laye
abhi wo neend likhni hai
jo sulli per bhi na aye
abhi wo shaam likhni hai
jise koi chura laye
abhi wo shokhi likhni hai
gulabi gaal ker jaye
abhi 2 pal bhi likhny hain
jo tere sang thy bettaye
abhi wo loog likhny hain
jo mujh ko kho ke pachtaye
abhi wo shakhas likhna hai
jo mujh ko khooj ke laye
mujhe wo sab hi likha hai
jo tum se kah nahi paye
mujhe wo sab hi likha hai
jo koi seh nahi paye
mujhe wo sab hi likhna hai
keh teri ankh bher aye
batao kya likhain phir hum
jo tere mann ko bhaa jaye
chalo kuch bhi nahi likhty
kah tera bherm rah jaye.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment