Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondhtey hain
Mehekti bahaarain, chaihektey nazaaray,
Chamakti shafaq or damaktey sitaaray
Yeh nadiya ka pani, yeh rim jhim sa saawan
Papihey ki pihu yeh koyal ki koo koo
Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondhtey hain
Ghani vaadiyon main gungunatey yeh jharney
Umadti ghataaein , mehekti fizaaein
Yeh Shabnam kay moti , yeh Phoolon kay jhurmat
vo Bhanwray ki mohabbat, or Titli ki chahat
Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondtey hain
Dhanak rung saarey tumhi ko pukaarain
Pahaar asman ko galey say lagaalain
Shaafaq ki dhanak or ujaalon ka chaana
Parindon ka apney ashyaano ko jana
Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhondhtey hain
Farhaad ka teesha or sohni ki ghariya,
Majnu ka sehrayee mohabbat ka derya
Ho Maihel Shahjahan ka, ya Waris ka qissa
Tumhain dhoondhtey hain
Kyun tumhain dhoondtey hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment