Wednesday, April 29, 2009

Tera Andaaz-E-Masihaai Mujhey Maar Na Dey‏

Tera andaaz-e-masihaai mujhey maar na dey
ye tera husn-e-rang araai mujhey maar na dey

terey hathon mein ab mera muqaddar hey
ye tera dast-e-hinaai mujhey maar na dey

hoon char din ki rafaqat mein be-qarar bohat
ye tera tarz-e-shanasai mujhey maar na dey

ye tera husn ye khushboo ye chandni sa badan
aur tera rang-e-pazeeraai mujhey maar na dey

kahein ye khuab ye hasrat na rehy jajb-e-wafa
tu dey key zehr-e-judaai mujhey mar na dey

kabhi khatam nahi kerna mohabbaton ka safar
ke khaof-e-hijr- e-dil nawaai mujhey maar na dey

bas tera saath merey hamsafar hasb-e-hal rahey
dar nahi fart-e-ghum kushai mujhey maar na dey

ab merey saath sabat jo bhi ho kisey parwah
nahi ye ghum key khudaai mujhey maar na dey.

No comments:

Post a Comment