Wednesday, April 29, 2009

Ek Kaam Choor Aaya Hoon

Hawa K Waastay Ek Kaam Choor Aaya Hoon
Main Diya Jaala K Sar-E-Shaam Choor Aaya Hoon
Aamanatay Shahar-O-Shaam Choor Aaya Hoon
Main Kahin Chiraagh Kahin Jaam Choor Aaya Hoon
Kabhi Naseeb Ho Agar Fursat Tu Ussay Parh Lena
Woh Ek Khat Jo Terey Naam Choor Aaya Hoon
K Koi Chiraagh Sar-E-Rehguzar Nahin Na Sahi
Main Naksh-E-Paak Hargaam Choor Aaya Hoon
Abhi Tu Aur Bhi Buhat Us Par Tafsiray Hoon Gi
Main Guftaghu Main Jo Ibhaam Choor Aaya Hoon
Ab Wahan Say Qadam Bhi Na Barh Sakain Gay Aghay
Main Jahan Gardish-E-Aayaam Choor Aaya Hoon
K Chain Say Jee Sakon Qabar Main Kaza Aanay K Baad
Terey Ishq Ki Manzilain Nakaam Choor Aaya Hoon
Mujhay Jo Dhoondhna Chaahay Woh Dhoondh Lay Jaaye
Apnay Koochay Ab Main Gumnaam Choor Aaya Hoon

No comments:

Post a Comment