Be-zubaan, Be-jaan Say Khandharon Ka Ye Jungle Hai 
Yahan Har Gharri Main Na Jaaney Kya Dhoondhta Hoon 
 
Bheerr Mein Bhi Jahan Har Shaksh Akeila Sa Hota Hai 
Wahan Ekk Hum Saaya, Ekk Humsafar, Dhoondhta Hoon 
 
Subah Say Shaam Hoti, Shaam Say Subah Hoti Hai 
Yaadon Ke Sahareu Say Koi Apna Sa Dhoondhta Hoon 
 
Raah Par Karwaan To Hazaar Nazar Hotey Hain 
Karwaan Mein Koi Chehra Pehchana Dhoondta Hoon 
 
Parchaaiyan Mandlaati Si Aas Paas Nazar Aati Hain 
Badley Huwey Chehro Mein Pehchana Dhoondhta Hoon 
 
Be-shak Nigaahon Ka Maila Har Taraf Hai, 
Nazar Nazar Mein, Main Pyar Dhoondhta Hoon 
 
Sooraj Bhi Dhalney Ko, Moonh Bhi Kahin Khoya Hai 
Apney Khayalon Mein Koi Chandni Dhoondhta Hoon 
 
 
Bujhi Huyi Si Ekk Zindagi Paas Mairey Baithi Hai 
Roshan Ussey Karney Ke Liye Chiraag Dhoondhta Hoon….
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment