Thursday, April 30, 2009

Aaj Phir Mein Roi Hoon

mein alkeli thi tanha thi

bezari aur laachari mein

jabhi nikli bahir ghar se mein

thandi hawa ne mujhe galay lagaya

merey chehrey se balon ko hataya

phir garjay badal meri ahoon pe

aur ro dia asman bebassi pe meri

paani ki girti bondon ne

merey aanson ko saf kia

phir mein akeli kabh thi

kuch sokhey pattey pass the

jo merey gird bikhrey the

woh bhi tu kitney the babnaseeb

bichar gaye the pae'roon se

aur haath charey the fizaon ke

mein un sokhe patton sang

kharri thi tanha barish mein

aur keh rahi thi behtey paani se

kion ponch rahe ho yeh aanso?

jabh rota har par dil hai mera

kion nahi baha ley jatey tum

ghum merey yeh dukh merey

maat poncho in aansoon ko

mujh pe ik ehsaan karo

baha lejao badnaseebi meri

baha lejao meri yeh tarap

aur kar dalo azzad mujhe

bigri taqdeer ki zanjeeron se

bakhsh do mujhe woh zindagi

mussarat jiska naam hai

haan mein barish mein

tanha khari roi hoon

phir aaj sabhse chup chup ke

apni qismatt per roi hoon

haan aaj per mein roi hoon.

No comments:

Post a Comment