mujhe jo kuch bhi kehna tha
abhi me keh nahi paya
Meri Tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to Qarab likhna hai
jissay mehsoos karta hon
abhi wo khawab likhnay hain
jo ankhon me paltay hain
mujhay un ko bhi likhna hai
jinhain me dhoondh na paya
abhi wo log likhnay hain
jo khoo kar haath maltay hain
abhi wo ashk likhnay hain
kabhi jo beh nahi paye
mere tehreer ki zad me
abhi bhi kuch nahi aya
abhi to mausmon ki
shokhyan tehreer karni hain
abhi Jo phool kaliyan aur
sehe-e-shabnam bhi likhni hai
Uthaanay hain abhi darya say
mujh ko pyaas k pehray
abhi to khushk pairon pe
mujhay rim jhim bhi likhni hai
kahin pe dhoop likhni hai
kahin pa teergi chaaya
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to mujh ko likhni hai
kisi ki reshmi zulfain
kisi ki surmagii palkain
kisi ki ankh ka kajal
kisi ka tootta badal
kisi ki pyar ki qasmain
kisi ki unkahi batain
macha dain dil me jo hulchul
abhi woh sub likhna hai
jo mera ishq keh laye
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to wo safar likhna hai
jo darpaish hai mujho
abhi to tum ko apni
pyass ka sehra dikhana hai
abhi to hijr ki likhni hain
sari matamii Ratain
abhi to aisay lamhon ka bhi
tum ko lutf sunana hai
keh jin say ashk ankhon me
magar iss dil ko beh laye
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment