sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar la mere haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mere saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur mann kii tarah
sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tareeqa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah
KhwahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne laga, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment