Waqt ki adaalat saji hay yahaan
Aur sadioon say aik mukadama liyay
Aik mujrim ki soorat khari hoon yahaan
Binte-Hawaa hoon yehi hay mera kusoor
Aur us ki saza mil rahi hay mujhay
Lamha ba Lamha aur nasal dar nasal
Meri rudaad kya hay suno gay usay To suno
Mera kisa hay yeh Mainay jub aankh khooli to
jaana yeh dunya hay zindaan aur us ki kaidi hoon main
Mera hay jurm yeh aik aurat hoon main
Aur us ki saza sada paayi yahaan
Nasl-e-Adam ki tum nay mujhay maan kaha
Aur apnay hi qadmoon main raundaa mujhay
Mayray payroon kay neechay to jannat rakhi
Zindagi bhar jahannum kiyun baksha mujhay
Jhootay lafzoon say tum nay buna aik jaal
Par kaatay aur us main tum nay rukh diya mujhay
Apnay lafzoon say day ker mujh ko fareb
Tum nay marium ki soorat main daikha mujhay
Aik pathar ko daivi ki soorat bhi di
Meri taqdees ki meri tazeem ki
Mujh ko pooja gaya
mujh ko chaha gaya
Per jub tumhain meray lahu ki zaroorat pari
To shah nay apni ana kay liyay
aik mard nay apni khudi kay liyay
Pass-e diwaar bhi mujhay chunwa diya
Kaisay munsif ho tum
Kaisay hakim ho tum
Be zarf , be zameer tum nay harf ka taqadus to majruh kiya
mujh ko ruswa kiya
mujh ko ruswa kiya
Aur aaj ki aakhri aurat hoon main
is gunah ki saza bhi suna do mujhay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment