Monday, April 13, 2009

Majbori

Tumain asi bhi kiya majbori thi
Kyun dil ka mere tu ne khoon kiya
Aaj aik mahina guzar gaya
Koy khat likha na telephone kiya

Yeh kasi teri mohabbat thi
Tu ne koy na mokha aware kiya
Na tu ne mujhey koy taar deya
Aur na hi mujhey e-mail kiya

Jo dil teri chah main duuba tha
Kyun tu ne usse yun tukhraya
Aur pyaar main zakham deye tu ne
Mujhey itna bata tu ne kiya paya

Main to zinda teri khatir tha
par tu ne mujhey barbad kiya
Jo yaad main teri dharakta tha
Is dil ko bohot nashad kiya

Tere wahdoon pe hum jite rahe
Aur tu ne wahda toor deya
Phir akhir wohi kiya tu ne humain
Beech bhanwar main choor deya

No comments:

Post a Comment