Gar chaho k ada kar sako tum kimat_e_dil
To tasawar k giraanqadar aiynon main basi
Ek khamosh si beylose ibarat parh lo
Jis ka mahfom agar samjo to behad sada hay
Har takhil ki bulandi par hay mahu parwaaz
Dil ki kimat na kabhi siimo joahir main mili
Na hi yeh bandish hallat zamana main mili
Kis ne dekha hay kisi phool ki khushbo ko kabhi
Koun choo sakta hay parbat ki sadaoun ko kabhi
Kiya kisi ki aankh se le sakte ho tum aansu ko kabhi
Kiya chura sakte ho taroon se un ki kirnon ko
Phir bhi chaho k ada kar sako tum kimat_e_dil
Pyaar ki aanch main jal gaye lamhey la do
Tumari yaad main chalakte hain jo aansu la do
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment