Wednesday, April 15, 2009

Bhoolna ChahTa HOon

Duniya sey Muje piyar Tha,
Sab Bhoolna chahTa hOon,

ik shakhs mera yaar Tha,
Sab Bhoolna chahTa hOon

Wo Hijar ki Raton k sulagtey Huey Lamhe,
Ankhon Pe koi Bhar Tha
sab Bhoolna chahTa hOon,

Haan meari khata Thee k Tujhe Toot k Chaha,
Han Mein he Gunahgar Tha
sab Bhoolna chahTa hOon

Yeh kis Ne Mujhe Dhoop ka ik Roop Diya hai,
Mein saya-e-Deewar Tha
Sab bhoolna chahTa hOon

Ab ghum mujhe Deemak ki Tarah chaat Rahe Hein,
Mein khushiyon Sey sershar Tha
Sab bhoolna chahTa hOon

Bakhshi Hai muje Piyar k Badle mein Judaii
jo bhi Tera kirdar Tha
Sab Bhoolna chahTa hOon

Ankhein Shab e Furqat mein raha Kerti Thein Pur Nam
Mein Tera Talab Gar Tha
Sab Bhoolna chahTa hOon

Bas itna mujhe yad hai ik Wasal ki shab Thee
ikrar tha inkar Tha
Sab bhoolna chahTa hOon

Sach Maan k ab kuch Bhi Yad nahi hai mujh ko
Tu kis ka Tarafdar Tha
Sab Bhoolna chahTa hOon

ik shaks ne Pagal sa Bana Rakha Hai wasiF
Mein kitna Samajhdar Tha
Sab Bhoolna chahTa hOon

Duniya sey Mujhe Piyar tha
ik shaks Mera Yaar tha
Sab Bhoolna chahTa hOon...........

No comments:

Post a Comment