Tuesday, July 28, 2009

Muhabbat Phool Jaisi Hai

Main Sun K Uss Ki Sab Batain

December K Hasee'n Din Thaay

December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main

Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha

Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni

Berhi Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai

Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ussay Akhir Pighalna Tha

Ussay Tou Mitt He Jaana Tha...!!!

Filhaal.........????????

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.........

Muhabat kiss ko kehtay hain

Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main khoya thay
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main soyay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian palay
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain.......

Ajab Din Thay Mohabbat K

Ajab Din Thay Mohabbat K
Ajab Mousam Thay Chahat K

Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu Palkoon Pay Istaray Jhimilatay Hain...
Kisi Ki yaad Main Jaagna Maamool Tha Apna....

Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu Hum Yeh Sooch Letey Thay.....
Abhi Tu Humaray Wastay Rooya Nahin Ho Ga

Abhi Sooya Nahin Ho Ga
Abhi Hum Nahin Rootay

Abhi Hum Nahin Sootay
So Phir Hum Jagtay Aur Us Ko Yaad Kartay Thay

Akelay Beth Kar Weeraan Dil Aabaad Kartay Thay
Humaray Samnay Taaroon Ki Jhurmat Main Akela Chaand Hota Tha....

Jo Is K Husn K Aagay Buhat Hi Maand Hota Tha.......
Falak Pay Raks Kartay Unginat Roshan Sitaaroon Ko Jo Hum Tarteeb Detey Thay

Tu Us Ka Naam Banta Tha
Hum Aglay Rooz Jab Miltay Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka Zikar Kartay Thay

Har Ek Qissa Sunatay Thay........
Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan Say

Dil Dharka Batatay Thay........ ..
Main Jab Kehta Keh "Jaana" Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal Nahin Sooya

Tu WOh Khamoosh Rehti Thi
Par Us Ki Neend Main Doobi Huey Do Jheel Si Aankhain

Achanak Bool Uthti Theen....... ...
Main Jab Us Ko Batata Tha Keh Main Nay Raat Roshan Sitaaroon Main Tumhara Naam Dekha Hai......... .

Tu Woh Kehti Thi K Tum Jhoot Kehtay Ho........
Sitaaray Main Nay Dekhay Hain Aur In Roshan SItaaroon Main Tumhara Naam Likha Tha......... ..

Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray Mil Hi Jayein Gain
Magar Us Ko Khabar Kia Thi

Kinaaray Mil Nahin Saktay
Mohabbat Ki Kahani Main

Mohabbat Karnay Walay K
Sitaaray Mil Nahin Saktay......

محبت ذات ہوتی ہے

محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
کوئی جنگل میں جا ٹہرے
کسی بستی میں بس جائے
محبت ساتھ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت خوشبوؤں کی لے
محبت موسموں کی دھن
محبت آبشاروں کے بہتے پانیوں کا من
محبت جنگلوں میں رقص کرتی مورنی کا تن
محبت برف پڑتی سردیوں میں دھوپ بنتی ہے
محبت چلچلاتے گرم صحراؤں میں ٹھنڈی چھاؤں کی مانند
محبت اجنبی دنیا میں اپنےگاؤں کی مانند
محبت دل۔۔۔۔۔۔۔۔۔!
محبت جاں۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت روح کا درماں۔۔۔
محبت مورتی ہے۔
اور کبھی جو دل کے مندر میں کہیں پر ٹوٹ جائے تو؟؟؟؟؟؟
محبت کانچ کی گڑیا
فٍضاؤں میں کسی کے ہاتھ سے گر چھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت آبلہ ہے کرب کا
اور پھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت روگ ہوتی ہے ۔۔۔۔۔
محبت سوگ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت شام ہوتی ہے ۔۔۔
محبت رات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
محبت جھلملاتی رات میں برسات ہوتی ہے!!!!!
محبت نیند کی رت میں حسیں خوابوں کے رستوں پر
سلگتے، جاں کو آتے ،رتجگوں کی گھات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔
محبت جیت ہوتی ہے؟؟؟
محبت مات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔
محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Wo Aksar Bhool Jatii Hai

Wo Aksar Bhool Jatii Hai
Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
Kisi Din Taiz Baarish Mein
Kabhi Darya Key Dhaarey Par
Kabhi Sehra Kinaarey Par
Wo Mera Naam Likhtii Hai
Kabhii Likh Kar Mitatii Hai
Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
Mita Kar Hasney Lagtii Hai
Kisi Din Shaam Sey Pehley
Mitaana Bhool Jatii Ha
To Saari Raat Rotii Hai ......

December Aanay Wala Hay

Suna Hay Jana ......
December Aanay Wala Hay

Tum Us Say Kehna..
Ab Keh Udaas Nahi Hona
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain
Ab Tu Hamari Saansay ...
Ak Dosray Ki Saanso Say Chalti Hain
Hamaray Dil Tu Ab Jaana
Ak Doojay Kay Seenay Main Dharaktay Hain

Usay Kehna -----------------

Main Nay Apnay Sab Sapnay
Teri Aankhon Main Bou Diye Hain
Ab Hamari Neenday
Hamaray Rat-Jagay Bhi Sanjhay Hain
Ham Ak Saath Ab
Ak Jesay Khowabo Main Utartay Hain

Usay Kehna --------------------

Ager-chy ...
Chaar-so Nazro Kay Hazaro Pehray Hain
Lakin ...
Ham Ak Doojay Main Magan Esay Keh
Ham Ab Zamanay Say Nahi Dartay Hain Jaana

Usay Kehna --------------------

Ham Mohabbat Kay Samandar
Main Ab Ak Saath Utar-tay Hain
Mohabbat Kay Geet Gaatay Hain
Wafa Kay Phool Chumtay Hain
Ham Akelay Bhi Hon Tu
Kabhi Tanha Nahi Hotay
Ab Tu Hijar Main Bhi
Wisaal Ka Sama Rehta Hay

Jaana Ab Kay
Tum DECEMBER Say Kehna
Ab Kay Udaas Nahi Hona..
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain ------!!!!!!

MeRe HuMsAfAr

mere hamsafar
mere hamnashen
main ne rab se manga to kuch nahin
main ne jab bhi mangi koi dua
nahin manga kuch bhi tere siwa
ye talab kiya ke mera khuda
sabhi rahtein
sabhi cyahtein
wo ata kare tujhe manzilen
ye talab kiya ke mera khuda
tujhe bakht de
tujhe taj de
tujhe takht de
mere hamsafar
mere chara gar
ye hai dosti ka kathan safar
mere saath chalna zara soch kar
zara dekh to mera hosla
mere paas jo bhi wo hai tera
nahin aur kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri bebasi
meri khamoshi
mera ilam bhi
mera naam bhi
ke meri subhu
meri shaam bhi
ke jo mil saken mere daam bhi
wo sabhi kuch tujhe ata kare
mere hamsafar
to yaqeen to kar
mujhe mangna to na asaka
main ne phir bhi mangi yehi dua
ke gawahi de ga mera khuda
main ne jab bhi us se talab kia
nahin manga kuch bhi
teri khushi ke siwa......!!!

Tumhara Chand Sa Chehra

mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra

keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra

falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra

main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra

andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra

hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan.....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day
ujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.....!!

Nahin Karna :(

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna .....!!

Wohi Izhar Kafi Tha

Jany Ye Kon Chala Aya Hai

Hai Muhabbat Tu Iss Qadar Kyun Hai

Apna???

Friday, July 24, 2009

Faqt Itni Si Khawahish

Dil

Chand ko Chand Se Barh Kar

Bay Parwa

Barish !!!!!!

Ayadat

Ary A Dil-E-Nadan

Apna??

Ansoo !!!!

Agar Tum Mujh Ko Mil Jate

آخری خواہش

مرے ساتھی
مری یہ روح میرے جسم سے پرواز کر جائے
تو لوٹ آنا
مری بے خواب راتوں کے عذابوں پر
سسکتے شہر میں تم بھی
ذرا سی دیر کو رکنا
مرے بے نور ہونٹوں کی دعاؤں پر
تم اپنی سرد پیشانی کا پتھر رکھ کے رو دینا
بس اتنی بات کہہ دینا
مجھے تم سے محبت ہے

تم سے کچھ نہیں کہنا

ہم نے سوچ رکھا ہے
چاہے دل کی ہر خواہش
زندگی کی آنکھوں سے اشک بن کے
بہہ جائے
چاہے اب مکینوں پر
گھر کی ساری دیواریں چھت سمیت گر جائیں
اور بے مقدر ہم
اس بدن کے ملبے میں خود ہی کیوں نہ دب جائیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
کیسی نیند تھی اپنی،کیسے خواب تھے اپنے
اور اب گلابوں پر
نیند والی آنکھوں پر
نرم خو سے خوابوں پر
کیوں عذاب ٹوٹے ہیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
گھر گئے ہیں راتوں میں
بے لباس باتوں میں
اس طرح کی راتوں میں
کب چراغ جلتے ہیں،کب عذاب ٹلتے ہیں
اب تو ان عذابوں سے بچ کے بھی نکلنے کا راستہ نہیں جاناں!
جس طرح تمہیں سچ کے لازوال لمحوں سے واسطہ نہیں جاناں!
ہم نے سوچ رکھا ہے
تم سے کچھ نہیں کہنا

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا
ہم یاد رکھتے ہیں
تری باتوں سے اس دل کو
بہت آباد رکھتے ہیں

کبھی دل کے صحیفے پر
تجھے تصویر کرتے ہیں
کبھی پلکوں کی چھاؤں میں
تجھے زنجیر کرتے ہیں
کبھی خوابیدہ شاموں میں
کبھی بارش کی راتوں میں

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا
ہم یاد رکھتے ہیں

تری باتوں سے اس دل کو
بہت آباد رکھتے ہیں

YE ZINDAGEE AJEEB Si

YE ZINDAGEE AJEEB Si

KABHI GULZAAR Si

KABHI BAIZAAR Si

KABHI KHUSHI HAMARAY SATH SATH

KABHI GHAMON KI BARSAAT Si

YE ZINDAGEE BARI AJEEB Si

KABHI TOOFAN MAIN BHI HAIN RAASTAY

KABHI MANZILON KA PATA NEHE

KABHI DO QADAM PAY HAY ZINDAGEE

KABHI SADIONKA INTIZAAR Si

KABHI HAR PAL IMTIHAAN HAY

KABHI BIN MAANGAY INAAM HAY

KABHI KUCH Nahi

KABHI SAB KUCH HAY

YE ZINDAGEE AJEEB Si

KABHI GULZAAR Si

KABHI BAIZAAR Si

YE ZINDAGI AJEEB Si!!!!

MERI BEBASI MERI MAUT HAI

MERI BEBASI MERI MAUT HAI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

HER WADA HAI WAFA YAHAN
YE DIL HAI TERA SHEHER NAHI

HAN TU KEON LOT KAR AYE GA
IK KAFLA HUN MEIN MANZIL NAHI
JAHAN KHUSBO HO CHARON AUR
YE WO CHAMAN NAHI GULISTAN NAHI

AB HAR TARAF IK SANATA IK KHAMSHI CHAI HAI
IK MELA THA JAHAN YEA WO SHEHAR NAHI
YE TERAY HI QADMON KI CHAP HAI SHAYED
MAGAR YE MERI GALI NAHI MERA MAKAN NAHI

MERI BEBASI MERI MAUT NAHI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

Ab KOI WADA NAHI WAFA YAHAN
YEA GAUR HAI.. DIL NAHI.. TERA SHEHER NAHI..

Tujhye Kiya Khabar

Mere hamsafar tujhye kiya khabar

In rahoon main

Koy humnashen koy dil ruba

Mere sath tha in rahoon main

Ratoon ki gharayi main

khwabon ki tanhayi main

Kab tak main tanha rahoon

Tanhayi k dukh sahoun

Huwa tu juda to mujhye laga

Main naheen raha in rahoon main

Jis ko main ne chaha tha

Woh sapnon jaisa tha

Jalte bujhte yeh diye

Rakhe hain kis k liye

Woh qadam qadam mere sath tha

Meri aas tha in rahoon main...

مجھے لکھنے کی خواہش ہے

مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔
مگر لکھا نہیں جاتا
میرے الفاظ دل کی آہنی دیوار سے سر پھوڑتے ہیں
اور انہیں اظہار کا رستہ نہیں ملتا
میری آنکھیں جنھیں دِل میں چھپے جذبات کو اشکوں کی بولی میں
بتا دینے پہ قدرت تھی
وہ اب کچھ بھی نہیں کہتیں
میرے یہ لب !
جو دل کی ان کہی باتوں کو کہنے سے نہ ڈرتے تھے
وہ لب کچھ بھی نہیں کہتے
میرے یہ اُنگلیاں !
جو دل میں چُھپے جذبات کو اظہار کا رستہ بتاتی تھیں
وہ اب کچھ بھی نہیں لکھتیں
میری آنکھیں، یہ لب، یہ اُنگلیاں مجھ سے کہتے ہیں
کہ اب جذبات کو اظہار کا رستہ نہیں دینا
کہ یہ منہ زور ہوتے ہیں
فقط رستے کے ملنے سے
انہیں منزل تلک جانے کی حاجت ہی نہیں رہتی
نئے رستے پہ جاتے ہیں
نئی راہیں بناتے ہیں
مگر پھر واپسی کے سب نشاں یہ بھول جاتے ہیں
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
وگرنہ خوں رُلائیں گے
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
مجھے لکھنے کی خواہش ہے
مگر لکھا نہیں جاتا

Usay kehna

Usay kehna,
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai
Abhi tak meri ye ankhain
Soohanay khawab bunti hain
Meray hontoon ki junbish main
Tumhara naam rehta hia
Abhi barish ki bondoon main
Tumhara piyar baqi hai
Usay ye bhi bata daina
Abhi izhaar baqi hia
Abhi yaadon k kantoon say
Mera daman ulajhta hai
Tumhara piyar seenay main
Kahin ab bhi dharakhta hai
Hawa ab bhi mawaqif hia
Humaray saath chaltii hia
Usay kehna...!!
Judai ka abhi mousam nahi aaya
Mohab'bat ki kahani main
Kahin par ghum nhai aaya
Magar sub kuch badalnay main
Bhala kai dair lagti hai
Naya sooraj nikalnay main
Bhala kai dair lagtii hai
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar lay
Naiee rastoon pay chalnay main
Bhala kia dair lagtii hai ............!!

Chand Sa Chehra

mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra

keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra

falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra

main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra

andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra

hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day
ujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.....

Nahin Karna .....!!

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna .....!!

MERE SAATHI..

MOHABBAT KAM NAHI KARNA..

HAMARI JAAN LE LENA, SUBAH KO SHAM KEH DENA,

KISI KAMZOR LAMHE MAIN, KABHI MAJBOOR HO JAO,

JO THAK KE CHUR HO JAO, TO SHAMA GUL NAHI KARNA,

MOHABBAT KAM NAHI KARNA..

HUM KANTO PE REH LAIN GE, TERA PYAR MAANGE GE,

BESHUMAR MAANGE GE, SAFAR KI JUSTUJU KARNA,

ZAMANE SE NAHI DARNA, MOHABBAT KAM NAHI KARNA.......

IK PAGAL PAGAL C LADKI.....,

ik pagal pagal c ladki
dil torne se darti thi
har pal ,har lamha,
khud se wo jhagarti thi
ansoo kun aay kisi ankh mein
mujrim khud ko samjti thi
ghut ghut k jeeti rehti thi
har saans ulajti rehti thi-
so baar kaha a nnadaan ladki
duniya ko dekhna chorr de
khud se uljhna chorr de
pal pal bikharna chorr de
yahan hasaas dil to koi nhi
yahan nazuki se kaam na le
yahan pathar ban na parta hai
yahan rehm dili se kaam na le
so baar kaha
par kesi na samj thi
duniya ko hi sab samjti thi
phir wohi huwa jo hona tha
dil toota uss ka
jis ka usse rona tha
bharose ki diwaar giri
sard lehje har baar mile
phir simt gai apni zaat mein
tamaam dukhon ko samete anchal mein
ankhon mein jazbaat nhi
pehle se halaat nhi
farq sirf itna huwa
khud apni zaat ko torr diya
tanhaiyon se rishta jorr liya
phir tanha tanha rehne lagi
phir khud ko pathar kehne lagi....
ik pagal pagal c ladki
jo dil torr ne se darti thi

Rootha Nahi Kertay

Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty.

Accha Bhi Lagta Hai

Bahout Acha bhi lagta hay ,
Achanuk iss terha dil ka doobara mubtalla hona
Mohabbat Ashna hona,

Magar jub dekhta hoon,
Waqt kitna ja chuka hay
Rastoon ki dhool
Qadmoon aur siroon per kis terha say jum chuki hay

Aur,

Hum Tum,

Apni Apni zindagee k dairoon main
Apni Apni gardishoon main
Iss terha uljhay huway hain
jis terha dast e falak main sath chaltay,
doo sitaray
Jo bazahir pass lagtay hain
mager un ki rafaqat main
karooroon meal ki tanhai ka derya bhi hota hay


Yeah derya parr keasay hoo
Na tum ho uss kinaray per
Na hum hain iss kinaray per


Soo Behter hay
Hum apnay apnay diaroon k iss khalla main ghoomtay jaeain
sitaroon ki terha
Ik sath chamkain aur damkain tou sahi lakin
Yeah apnay beach main jo fasloon ka surkh derya hay
Issay tasleem he ker lain
Keh iss bay pull k derya main
na tum he tair saktay hoo
Na hum he tair saktay hain!

Bahout acha tou lagta hay
Achanuk iss terha dil ka mohabbat ashna hoona
Doobara mubtalla hona!

Tera Husn ho , Mera Ishq ho

Tera Husn ho,
Mera Ishq ho.
Tou phr Husn-o-Ishq ki baat ho.

Kbi Main miloon, kbi Tu mile,

Kbi hum milen Mulaqat ho,

Kbi Tu ho chup,
Kbi MaiN hoon chup

Kbi donoN Hum chup chap hon,

Kbi guftagu,
Kbi Tazkre,

koi zikr ho,
Koi baat ho

Kbi wisl ho tou Din ko ho,

Kbi Hijr ho,
tou wo raat ho

Kbi main Tera' Kbi Tu meri,
kbi ek dujey k hum rahen

Kbi sath Main,
Kbi sath Tu

Kbi ek dujey ka sath ho

Kbi Sohbaten,
kbi Ranjishen

Kbi Do0riyan,
kbi Qurabaten
Kbi Ulfaten,
Kbi Nafraten

Kbi jeet ho,
kbi Maat ho

Kbi phool ho,
Kbi dhool ho

Kbi yaad ho,
Kbi bhool ho

Na Nashaib hon,
Na Faraz hon

Rahen Muskurate pyar me,
Khilen phool ban k Bahar me

Na zameen koi,
Na falaq koi

Na wajood ho,
na he zaat ho

"S I R F"
Tera Husan ho,
Mera Ishq ho.

Tumhain Mujh Se Becharna Ho

Kbi jo waqt phir jaye,
tmhain mujhse bicharna ho,
tmhain waaday se phirna ho,
to beshak dair mat karna,
mujhe naraz kar dena,
tm apna rukh badal lena,
tm apni simt chal dena,
mgr jb laut k aana,
tmhain mitti k teelay par,
main shayad na dikhaai doon,
mgr hairaan mat hona,
wahin do chaar qadmo'n par,
mazaar e bekra'an hoga,
wahaan ik phool rakh dena,
ik shamma jala dena,
aur apna rukh badal lena,
aur apni simt chal dena...

Thursday, July 23, 2009

"NASIHAT"

Mere humdam zara

Tum Tawajo kro

Or sunno Goor se

Ye koi qissa ya koi kahani nahi

Jhooti baat b tum ko batani nahi

Baat ye hy k tum abhi Na'Daan ho

Hijar ki soabatton se tum anjan ho

Meri Maano agar

To khuda k liye

Khawb Mat Dekhna

Tum nahi jantey

khawbon ki neend se jab b jaago k Tum

Taabir en khawbon ki jab na pao ge Tum

Toot jaye ga Dil Aas mit jaye gi

zindagi kitney tukaroon may bat jaye gi

Meri baaton pe tum ko bharosa hy gar

Dil lagana nahi

Apne Dil may kisi ko basana nahi

Tum nahi jantey

Jab b Dil may kisi ko basao ge tum

Phir kabhi usko na bhool pao ge tum

Wo chala jaye ga Tera Dil tor ker

kaisay tanha kaho phir kat'tey ga safar

Meri Maano

Meri Jaan samajh jao Tum

Es rastey se wapas palat aao Tum

khawb Dekho nahi

Dil Lagao nahi

Apni Aankhoo may sapne sajao nahi...!!!

Mujhy Pyar Do

Yonhi ajnabi na bna kro

kbi muskra k mila kro,

Kbi sun to lo mera hal-e-dil

kbi muj se koi gila kro,

Teri ik nazr teri ik ada

mere dil ko kr diya la-pta

Mere dosto,

mere ham-nawa

mere dil ka koi pta kro,

Yeh tareeq-e-ishq hai kuch to ho

ya wafa kro,

ya jafa kro

Koi faisla mere mehrban

koi rasm tum B ada kro,

Na hi zeest ka koi rasta

na hi khud-kushi ka hai hosla

Muje payar do,

muje maar do

koi kaam tum bhi kiya kro...!

Hawa K Rukh Per Charag-e-Ulfat

Main Pal Do Pal Ka Shair

Gulabon Se Mehki Larri Ho Gae

Wednesday, July 22, 2009

Kya Mila Tum Ko

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein

Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein...

Falak Pe

Ye Meri Muhabbat Hai

Teri khatir Jo rota hun to ye meri MUHABAT hy,
Jo moti Rol deta hun to ye meri MUHABAT hy,
Tumhari YAD ki kirno ko Aksar ANKH me rakh ker,
Main apni neend jo khota hun to ye meri MUHABAT hy,
Hua Ehsas khusbo chandni ko Dehkh kar aksar,
Tujhe MEHSOS karta hun to ye meri MUHABAT hy,
Falak pe chand taron k hasin jhurmat k manzar me,
Tere chehre ko takta hun to ye meri MUHABAT hy,
Main apni zindgi k sare jazbon ko,
Tumhare nam karta hun to ye meri MUHABAT hy...

Mujhe Roshni ki talab bhi thi

Mujhe Roshni ki talab bhi thi...
Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
Mujhe Raasto ki khabar bhi thi...
Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
Mere Dil mein rang bikhairti hue
Khawahisho ka Hajoom bhi tha
Meri Zindagi ki Khalaoo mein
Kai teeirtey hue Khawaab the
Mujhe maangne ka shaoor tha
Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
Mein Bashar jo tha...
Mujhe Roshni ki Talab to thi
Mujhe Raasto ki khabar to thi
Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
Tu ne phir bhi kaise samajh liya
Koi Aarzoo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
Kabhi Iss taraf se guzar hua
To nazar bacha ke Ye dekhna
TERE baad jitni basar hue
Issey UMER kehna Durust hai.....???

Sula raha tha na bedar

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe...

hum Iss Dunia Ko Choor Chaly

Agar Wo Mehraban Hoti

Pagal Larki

Muhabbat Marr Nahi Sakti

Meri Qasam

Na Main Pass Uss Ko Bula Saka

Tum Ny Tu Keh Diya

Tuesday, July 21, 2009

Sunday, July 19, 2009

Sunday, May 3, 2009

Mere pagal Piya

Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar
Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar
Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar...
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi
Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai
Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho
Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya essi khawaesh na kar
Mein woh sapna hun jo ke sach na ho
Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey
Mein woh rasta hun jiski na manzil miley
Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge
Mere pagal Piya esse raste pe na chal
Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai
Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley
Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai
Mere pagal Piya mera picha na kar
Mein to woh shaam hun jo ke dhal jaye gi
Main who rat hunjis kasawera na ho
Mai tu woh Aaghon jo ke dehekti rahe
Na mere pass tu aa tu bhi jal jaye ga
Mere pagal piya lout jaa
Mere piya mere chaht na kar
Mujhe dekh kar mujhe socha na kar.........
Mere pagal piya........

ISHQ

Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega

Deewaroon se takraogay jab ishq tumay ho jayega

Her baat gawara karlogay mannat bhi utaara karlogay

Thaaweezein bhi bhandwaogay jab ishq tumay ho jayega

Tanhai k jhoolay jhoologay ar baat puraani bhoologay

Aaine se gabraogay jab ishq tumay ho jayega

Jab suraj bhi kho jayega aur chaand kahin so jayega

Tum bhi ghar der se aaogay jab ishq tumay ho jayega

Becheni jab bar jayegi aur yaad Kisi ki aayegi

Tum meri ghazlein gaaogay jab ishq tumay ho jayega.

Meri Tehreer Key Ansoo

suna hoga bohat tum ne ....
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka...
parha hoga bohat tumne ....
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka...
magar tum ne kabhi humdam ...
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??...! !
mujhe teri judaai ne ...
yehi mairaaj bakhshi hai...
ke main jo lafz likhta hooN ...
woh saray lafz rotay hain


ke main jo harf bunta hooN ...woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main ... mere alfaz martay hain


sabhi tareef kartay hain ...
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta ... mere alfaz ki siski...
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil ... usi taseer ke aansoo...
kabhi daikho mere humdam...
meri tehreer ke aansoo..

Arz-E-Niyaz-E-Ishq K Qabil Nahi Raha

arz-e-niyaz- e-ishq k qabil nahi raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha


jata hun dag-e-hasrat- e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha


marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main
shayan-e-dast- o-bazu-e- qatil nahi raha


ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai
yan imtiaz-e-nakis- o-qamil nahi rahaa


wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab- e-husn
gair az nigah ab koi hail nahi raha


go main raha rahin-e-sitam haye rozgar
lekin tere khayal se gafil nahi raha


dil se hawa-e-kisht- e-wafa mit k wan
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha


bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha.

Koshish To Karo

Kitni Khubsurat hai yeh zindagi
Meri nazar say dekhnay ki koshish to karo


Dhalti shaam k Andheray main Akelay Bethi
Tum kyun itni gumsum ho

Gham-o-Khushi, Muhabbat-o-Dosti or Dokha
Yeh sab to Zindagi k Rang hain

In Rango'n ko milanay ki koshish to karo
Dekho! kitna DiLfareb yeh manzer hai

Bal Khaati Lehro'n k pichay woh Ghroob-e-Aftaab
Or diL mein Anjani si Hulchul

Yeh Bheega Mausam or Lehlahatay pHool
Or Mitti ki bheeni bheeni KhushbU

ZindaGi ko Jeenay ki koshish to karo
Kiya Gham hay TUmhein Zindagi mein

In Ghamo ko bhuLaa ker
MuSkuraanay ki koshish to karo

Mango na kisi say Muhabbato'n ki bheek
Bus! Dua ko Hath uthao or Ankh num karlo

Dua ko Ursh tak pohchanay ki koshish to karo
Kitni Khubsurat yeh Zindagi hay

Meri nazar se dekhnay ki koshish to karo...!!

BUS WO IK SHAKS HAMARA HOTA

Sham ko parindoon ki tarah lout aatay hum
muntazir agar koi hamara hota



chand taaroon ki talab kisay thi
bus roshni kay liyay ik sitara hota

hami main shahid koi kumi thi warna
zrur koi tarafdaar hamara hota

duniya kay logo ki tamana kisay thi
hum nay chaha....bus woh ik SHAKS hamara hota.

Kismat Sa Larnay Ki

Kismat sa larnay ki
kabhi justuju nahi kartay


muqadar jub mukhalif ho
duain be-asar jain

sabhi manzar bikhar jain
too aisay main baghawat ki

kbhi koshish nahi kartay
kisi k sath chalnay ki

kisi k dil main busnay ki
kabhi khawahish nahi kartay

kisi ek shaks ki khatir
subhi sa dour ho jana

kahan ki ye muhabat ha???
muhabat ye nahi hoti

muhabat aks ha RUB ka
kubhi ye mar nahi sakti

hamesha ye sath rahti ha
hamesha sath chalti ha

milay jo humsafar tum ko
usi k sath chalna tum

usay dharkan bana lena
usay dil main basa lena

magar kismat sa larnay ki
lakiron sa ulajhnay ki

kabhi koshish nahi karna...!

Saturday, May 2, 2009

Tujhse Door

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho






Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye




Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye






Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye



Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

Ek Baar

Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko
Main Hanste huye Acha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon Yaad Main Kar Ke
Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon

Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha Tha Us Ne
In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
Tum Se Pyaar Main Karta Hoon

Har Pal Mere Sath Hote Ho
Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
Woh Dour Suhane Sapnon Ka
Sab Jhoot Par Mabni Nikla Tha
Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon

Tum Mere The Tum Mere Ho
Ab Sab Se Yahi Kehta Hoon.

Taqdeer K Hathon

Taqdeer k hathon main khilona hay admi
Duniya hay tamashayi tamasha hay aadmi

Ghum hay kisi ko mera na tera malal hay
Har kisi ko apni fikar hay apna khayal hay
Is pataron ki duniya main jina muhaal hay
Hallat k sitam ka nishana hay aadmi

Aankhon main khuwab jab bhi khushi k sajaye hain
Ghum hi har aik gareeb k hise main aye hain
Aye dil gilah na kar yahan apne paraye hain
Rishtoon k is hajuum main tanha hay aadmi !!!

Waqt

waqt ne sikhaya hai
Waqt k samandar main
dukh k sub jazeroun par
sare karway lamhoun main
umar jub gozaro gay
tum bhe seekh jaao gay
dhoondhna nahi aasan
khoodna zarori hai
bhaid-bharay logoun ko
soochna zarori hai
khoojna zarori hai
tum bhe seekh jaao gay
waqt aisa aaya tu.

Abhi Jab Lout Kar Phir TUM Hamare Dar Pe Aye Ho

Ye TUM se keh diya kis ne,


k TUM bin reh nahi sakte,


k ye dukh seh nahi sakte,


Chalo ye maan laitey hein,


k TUM bin HUM bohat roye,


kai ratoon ko na soye,


Magar ek baat hai JANA,


K TUM nakaam louto ge,


Ager TUM jan-na chaho,


k aisa kion kiya HUM ne,


To sun lo ghour se JANA,


Purani ik riwayat tor di HUM ne,



"MOHABBAT chor di HUM ne"



"MOHABBAT chor di HUM ne.

Peghaam

Aahat pay uski chounk sa jata hoon
Na chahate huway bhi usko bhool jana chahata hoon

Najane kiun uski yadon may gum ho jata hoon
May uski yadoon say bhi nikal jana chahata hoon

May ne uski muhabbat ka khaya hay dhoka
Ab may muhabbat k is dhoke say nikal jana chahata hoon

Woh jo chehray pay dale baithe hain parda masoomyat ka
Un k chahray say woh parda uthana chahata hoon

Husn parasti nay kia hay hum ko barbad
Husn parstoon ko yah baat samjhana chahata hoon

Yeh aag hay is say mat khelo jal jao gay
Magar may woh Perwana hoon jo jal jana chahata hoon

Zindagi nay jis terha jhanjora hay mari zindagi ko
May ab us zindagi say nikal jana chahata hoon

Or jab kabhi hota hoon may tanha
To dil khool kar rona chahata hoon

Piyar muhabbat koun karta hay yahan par kissi ko
May yeh pegham aam karna chata hoon.

Aa Umer-E-Ravaan

Aa umer-e-ravaan
Aa paas mere
Ik raaz ki baat batani ha
Ik khowab sunana ha tujh ko
Ik dard ki tees si dil main ha
Ik rang dikhana ha tujh ko
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Yah neem shabi ki khamoshi
Yah neend ki palkain bojhal si
Ik khuff sa zahan-o-dil par ha
tanhai meri chupke se kahe
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Tujh se faqat kahna ha mujhe
Raftaar ko apni dheema rakh
Ik shaks se milna ha mujh ko
Milne ki ghari jo thahri ha
Do char saddi ya ab k baras
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere.

Agr Tum Pass Hotey To

Agr tom pas hotey to

karm ki intaha kartey

tomhain palkon pe rakhte ham

tomhain dil me bsatey ham

agr tom roth jatey tom

tomhain kitna mnatey ham

tomhari galtion ko bhi

hansi me urra detey

agr apni khata hoti to

khud ko he sza detry ham

Mgr yeh sab jabhihota

AGAR TOM PAS HOTEY.......

Mujhe Roshni K Jaziroon Say

Mujhe roshni k jaziroon say
is tarha milay ho tum
jaisay tareeq rahon main
koi diya ho madham sa
jis ki roshni main khud ko
dekh to sakta hoon
magar

yeh roshni ka safar
shayad mera humsafar na ho
shayad ki tera milna kabhi bhi
meri zindagi ka muqaddar na ho
to aaj inhi lamhon main
louta dein jitni chahatain hain
mere dil ke nehaan kano mein
jitni unkahi batein hain
phir kal fursat milay na milay
jis tarha saji hai aaj apni yeh mehfil
phir yeh bazm sajay na sajay
kyun ki main janta hoon ye ki……………
merr naatamam kwhahishon mein ab
tumhe bhi shamil hona hai
aaj paya hai tumhe jis tarah muqaddar se
kal isi tarha se khona bhi hai ….

Koi Kandha Nahin Deta

Mohabbat k safar mein koi raasta nahin deta,
zameen waqif nahin banti falak saya nahin deta,
udasi jis k dil mein ho us ki neend urti hai ,
kisi ko apni ankhon say koi sapna nahin deta,
uthana khud hi parta hai thaka toota badan apna,
k jab tak saans chalti hai koi kandha nahin deta.

Jab Kabhi Milein Fursatien

Jab kabhi milein fursatien,
mere dil se bhooj utar du,
main bahut dinno se uddas hoon,
mujhe koi shaam udhaar du!



Mujhe apne roop ki dhoop du,
ke chamak sakein mere haal-o-hadd,
mujhe apne rang mein rang du,
mere sare zang utaar du!



Kisi aur ko mere haal se...
na gharaz hai na wasta,
main bikhar gaya hoon sameet lu,
main bigar gaya hoon sanvaar du!



Meri vehshatoon ko barha diya hai,
judaiioon ke azab ne....
mere dil pe haath rakhu zara,
meri dharkhnoon ko qarrar du!



Tumhein subah kiyssi lagi kahu,
meri khwahishoon ke dayar mein
jo bhali lagi tu yahien rahu,
isse chahtoon se nikhaar du!



Wahaan ghar mein kon hai muntazir,
ke hu fikar deer saweer ki
bari mukhtaser si yeh raat hai
issi chandni mein guzaar du!

Mujhay Tum Say Muhabbat Hay

muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo'n say tari hay
magar janaa'n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee'n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee'n kerna
waerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee
nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa'n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo.

Kuch Log Baddal gaye HAin

Is raat ki.. Tanhaeeyo ke
Sab rang badal Gaye hain

Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hain

Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal Gaye hain

Manzile to abb bhi WO hi hain
Kuch rastay badal Gaye hain

Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr Gaye hain

Dakhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal Gaye hain

Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj WO hi mukarr Gaye hain

Ais tutay huye dil kay saray..
Jazbaat badal Gaye hain

Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat

Bas rona hai yahi......
Kuch Loog Baddal Gaye Hain.

Koi Baat Bhi Uss Ko Yaad Nahi

Ek shakhs ne uss ko chaha tha
woh zaat bhi uss ko yaad nahi




Jab shab ko bejli chamki thi
aur badal toot ke barsa tha



Hum duno jis mein bhigy the
woh barsat bhi uss ko yad nahi



Wo sahil darya phool hawa
aur wada sath nibhane ka



Aur shab bhar chand ko dekha tha
woh raat bhi uss ko yaad nahi



Wo kehta tha main sunti thi
main kehti thi woh sunta tha



Unn lakhon baaton mein

koi..,
eik baat bhi uss ko yaad nahi.

YAAD HAI TUM KO??

YAAD HA TUM KO??

IK LARKI THE SEDI SADI

APNAY AP MEIN REHNAY WALI

ISHAQ MOHABAT AUR JANOON KO

SIRF HAMAQT KEHNAY WALI

HAR IK DUKH KO CHUPKY CHUPKY

APNAY DIL PAY SEHNAY WALI...

YAAD AYA??

US NAY TUM SAY PIYAAR KIA THA

APNI KUSHIYAN DIL AUR JEWAN

SAB KUCH TUM PAY WAAR DIA THA!

LOGUN KI BATON MEIN AA KAR..

TUM NAY US K DIL KO TOR DIA THA

ISHAQ KI MANZAL PAR LANAY SAY PEHLY

TUM NAY USS KO CHOR DIA THA..

AB JO WO TUM KO YAAD ATI HA...

TOU AB PACHTANY SAY KIA HASIL

AB WO MOSAM GUZAR GYA..

AUR CHAHT KA MOSAM DASTAK DAY KAR GUZAR JAYE TOU....

DIL B KHALI REH JATY HEIN...

SACHY PYAR KO KOHNAY WALY KHALI HATH REH JATY HEIN.

Askh Apna K Tumhara

Askh Apna K Tumhara Nahin Dekha Jata
Abar Ki Zad Main Sitara Nahin Dekha Jata

Apni Sheh-Rag Ka Lahoo Tan Main Rawan Hai Ab Tak
Zair-E-Khanjar Koi Piyara Nahin Dekha Jata

Moj Dar Moj Ulajhnay Ki Hawas Be-Mani
Doobna Ho Tu Kinara Nahin Dekha Jata

Terey Chehray Ki Kashish Thi K Palat Kar Dekha
Warna Sooraj Tu Dobara Nahin Dekha Jata

Aag Ki Zid Pay Na Ja Phir Say Bharrak Sakti Hai
Raakh Ki Teh Main Shrarah Nahin Dekha Jata

Zakhm Ankhon K Bhi Sehtay Thay Kabhi Dil Walay
Ab Tu Abroo Ka Ishara Nahin Dekha Jata

Kya Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai Mohsin
Dil Pay Us Ka Bhi Ajara Nahin Dekha Jata.

Samajh Jana Keh Wo Hoon Main

Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main

Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana keh wo hoon main

Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana keh woh hoon main

Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana keh wo hoon main

Jo zeeyada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi ayee
Samaj jana keh wo hoon main

Agar tum bholnaa chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana keh wo hoon main.....!!

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain.

Bhula Dijiyey Mujhay

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash'heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay.

To Acha Hai

Tumeh jana ijazat hai
K in tareek rahon per
Thakan si khud mein pao to
Andheron se kabhi dil dol jai
Thak si jao to
Mre jalte hoi lamhon
Mre kangaal haathon se chura k apne haathon ko
Fiza ki naghmagi se tum nai geeton ko chun lena
Haseen palkon ki nokon per nai kuch khuwab bun lena
Koi gar pooch le mra to is se zikr mat karna
Mre jeewan ki jalti dupeher se be-gharaz hokar
Tum apni chandni raton mein jugno paalti rehna
Mri tanhaayon ki, wehshaton ki fikar mat karna
Tumeh is ki ijazat he
Mre sab khat jala dena
Mre tohfon ko darya mein bahana ya daba dena
Mri har yaad ko dil se khurchna or mita dena
Tumeh bilkul ijazat he
K jab chaho bhula dena
Magar itni guzarish he
Agar aisa na ho jana
To acha hai………

Suno Tum Laut Aao Na

Suno tum laut aao na

Woh dekho chand nikla hai

Sitarey jagmagaye hain

Hamari muntazir aankhein

Duaein mangti aankhein

Tumhain hi sochti aankhein

Tumhain hi dhondti aankhein

Tumhain wapis bulatin hain

Yeh dil jab bhi dharakta hai

Tumahara naam leta hai

Yeh aansoo jab bhi behtein hain

Tumahrey dukh mein behtein hain

Ke barish jab bhi hoti hai

Tumhe hi yaad kartein hain

Khushi koi jo aayey bhi

Tumharey bin adhori hai

Suno tum laut aao na

Suno tum laut aao na.

Use Bewafa Kehte Nahi Hain Hum

Ro ro ke hum ne jo aansu hai bahaye
Us ke bina hum kabhi reh nahi paaye
Dil ko bohat samjhaya hum ne mager
Dil ki dhadkan ko sambhaal nahi paaye

Jee karta hai khatam kerlein zindagi apni
Us ke dedaar ke liye apni zindagi mita nahi paaye

Us ne to thukradiya bedardi se hamein
Humein mohabbat thi us se jo use thukra nahi paaye

Kya tha us mein jo laakh chah ker bhi
Hum use dil se nikaal nahi paaye

Use Bewafa kehte nahi hain hum
Jis ke bina hum kabhi reh nahi paaye

Dil mein lagayi thi jo aag us ne hamare
Us aag ko hum kabhi bujha nahi paaye

Wo hum se door chalagaya aye KaBir
Per uska chehra hum ankhoun se hata nahi paaye.

MeiN Us KeY BaRaY mEiN SaDa SoChTi RaHi

Mein Us Key Baray Mein Sada,Sochti Rahi
Woh Hai Key Chal Diya Mein Khari,Souchti Rahi

Woh Meri Wafaoon Ko Jafa,Souchta Raha
Mein Un Ki Jafaaon Ko Wafa,Souchti Rahi
Yadoon Mein Us Ki Umaar Guzari Hai Is Liye
Ab Souchti Hoon Dostoo!Kia,Souchti Rahi
Woh Jo Pareendha Habaass Key Zindaan Mein Qaid Tha
Ay Gi Kis Taraf Sey Hawa, Souchti Rahi
Ankheen Gazal Tu Laab Pey Mohabbat Ki Mehak
Zulfoon Ko Tere Kali Ghata,Souchti Rahi
Ek Nay Rastay Pey Tujhe aa Key
Barsoon Talak Hi Bethi Rahi,Souchti Rahi.

Ye Tum Bhi Gawara Kar Layna

Ye Hum Bhi Gawara Kartay Hain.
Ye Tum Bhi Gawara Kar Layna.

Ro Ro K Guzarii Hai Humne.
Tum Hans k Guzara Kar Layna.

Betaabii Had Se Barh Jaye..
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko.

To Doob K Meri Yadoon Main..
Duniya Say Kinara Kar Layna..

Jis Waqt Janaza Guzray Ga,
us Shaks Ka Teray Koochay Say.

Jazbaat Pe Kaboo Kar Layna.
Khirki Se Nazara Kar Layna..

Agar ho sakay tu meri kaber par
Aa k zara sa ro lena.

Faryad

Main Tu Insaan K Ziada Kareeb Hoon
Tu.......... . Sun Mere Maalik !


Meri Qismat Ki Siyaa Bakhtii Par

Tere Karam Ki Baarish Kab Hogi

Meri Tu Sirf Itni Faryaad Hai
K..........Aaj Ki Shab..


Ya Meri Manzil Ka Pata Bata
Ya Phir Hamesha K Liay Faryaad Karne Wali

Zabaan Khamoosh Karde
Kion K..........

Ab Asi Hayat Ki Mujhay Aarzoo Nahin
Jis Main Mohabbat Meri Manzil Na Ho.

Mery Naam Bhi Koi Shaam Kar

KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,


AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,

MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,

YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,

KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,


AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,

MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,

YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,

KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,


AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,

MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,

YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,

KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.

Mil Ker Jana Bhool Geya,

Apni yaadein apni baatein ley ker jana bhool geya,

jane wala jaldi mein tha, mil ker jana bhool geya,

Mur mur ker dekha tha usne aadhe raste mein,

Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool geya,

Waqt-e-rukhsat meri aankhein poonch raha tha aanchal se,

Usko gham tha itna ziada khud wo rona bhool geya.

Mujhay Tum Yaad Aatay Ho

Ajab sa lutf aata hai
Taree ankhon mein rahnay ka
Kabhi mein kuch ubhartee hon
Kabhi mein doob jatee hon
Kabhi tu jeet hotee hai
Kabhi mein haar jatee hon
Kabhi tum shadaan ho kar
Khushee k geet gatay ho
mujhay tum yaad aatay ho

Kabhi shab bhar nahin sona
Kabhi din bhar ye he rona
K dil k zakhm gahray hain
magar ye bhool jatay ho
mujhay tum yaad aatay ho

Kabhi ankhon k lahjay mein
Azaan-e-dil sunatay ho
Kabhi jo toot jatee hon
mujhay tum phir banaatay ho
mujhay tum yaad aatay ho

Kabhi tum zindage saay ho
Kabhi hai zindagee tum say
mein jab bhi roothh jatee hon
mujhay tum khud manatay ho
mujhay tum yaad aatay ho

Tumhain jab chout lagtee hhai
mujhay bhi dard hota hai
mujhay afsoorda patay ho
magar tum muskaraty ho
mujhay tum yaad atay ho

Tumharee ulfatain janaa
Mein ab tak bhool na paa'e
Khayalon mein mujhay ab bhi
Brabar kyun satatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho...
Mujhay tum yaad aatay ho.....

Mujhe Beqrar Rehne De

Logon ne mere gum ka tamasha bana diya,

Mere chaman k saath mera dil bhi jala diya!

Apno ne mere pyaar ka kuch yun sila diya,

Ulfat badley khoon k ansu rula diya



Yunhi faslon ko sajae rakh,

yunhi intezar rehne de

~Mere zehn-o-dil k sukoon par,

Mera ikhtyar rehne de



~Teri chahton me jo dard he,

ye sab khushi se qabul he

~Meri chashm-e-nam ka guman na kar,

Mujhe ashk baar rehne de

~Teri bebasi baja sahi,

Meri khush fehmi bi ghalat nahi

~Tujhe har qadam pe khushi mile,

Mujhe sogwar rehne de

~Meri guftgu me jo dard he,

wohi dard Mera nasib he

~Me bhula chuke hun qarar ko,

Mujhe beqrar rehne de.

Ek Lafz Mohabbat Hai

ek lafz mohabbat hai isey kar key dekho tum



barbad na ho jao to mera naam badal dena



ek lafz muqadar hai is se larkar dekho tum



haar na jao tum to mera naam badal dena



ek lafz wafa hai zamaney mein nahin milta



kahin se dhondh kar lao to mera naam badal dena



ek lafz ansoo hai isey dil mein chuppa kar dekho tum



ankhon se na beh jaye to mera naam badal dena



ek lafz judai hai isey seh kar dekho tum



toot kar na bekher jao to mera naam badal dena.

Woh Piyaar Bhi Karta Hai

WO PYAR BHI KARTA HAI OR IZHAR BHI NAHI KARTA

JO POCHLE KOI US SE TO IQRAR BHI NAHI KARTA

WO AISA SAADA DIL HAI K MUJHSE MILNE KI DUAIN BHI MANGE
JAB SAMNE AJAON TOU DEDAR BHI NAHI KARTA

AGAR US SE DOOOR JAON ME TOU SAANS RUK JAE USKI
OR KOI MAANG LE MUJHE US SE TOU INKAAR BHI NAHI KARTA

APNE QAREEB AANE SE WO ROOK DETA HAI MUJHKO
OR RAAH ME HAAYIL KOI DEWAR BHI NAHI KARTA.

MERE DIL KE DARWAZE PER WO DASTAK BHI DETA HAI "KANWAL"
OR WO DARWAZA KHULL JANE KA INTIZAAR BHI NAHI KARTA.

KHUDA HAFIZ

Tumhen main apna dost kaehta tha

Tumhain apna samjhta tha

Ajeeb eik khush gumani si

Mujeh din raat rahti thi

K...........

Tum bhi dost ho mere

Mujeh apna samjhte ho.....

Mere hone ya na hone se

tumhen bhi farq padhta hai

MAGR

Main aaj yeh samjha hon

K....aesa rabt hi kab tha !!

Bahut talkh hai.....lekin

Mujeh yeh baat kahni hai

Tumhen yeh ilam hi kab hai

Sach bahut hi talkh hota hai

K.....gham berukhi ka

Har gham se badha gham hai




Mujeh tum se yeh kahna hai

Tumhara aur mera sath....bas

Itna hi tha......shaeyd !

Tumhare sath guzre howe waqt ko

Main yaad rakhon ga

Ksi baat se meri...agr

Tumhara dil dukha ho to

Mujeh maaf kardena

Acha....

ab....... main chalta hoon


KHUDA HAFIZ !!

Mohabbat Ka Irada Hai

Kisi pathar ki moorat se mohabbat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Jo dil ki dharkanein samjhe na ankho ki zuban samjhe
Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
Ushi ke samne us ki shikayat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

ye socha hai ke dil ki bat us ke robaru keh dein
Natija kuch bhi nikle aaj apni arzoo keh dein
Har ik be ja takalluf se baghawat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Mohabbat be rukhi se aur bharrke gi wo kya jane
Tabbiat is ada se aur pharrke gi wo kya jane
Wo kya jane ke apna kis qayamat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai.

Darr lagta hai‏

yaroo say ab hath milatay huy darr lagta hai

aur ik naya dhoka kahtay huy darr lagta hai

jab koi rag hi naye cheer raha ho

bhola sa ik nagma gatay huy darr lagta hai

wo to chorr gaya ik morr p la k laikin

hum ko tanha agay jatay huy darr lagta hai

ye bhi nhi k rasta bhool gaye hain

dair hui hai itni k jatay huy darr lagta hai

ye to sach hai k dhoka kah baithy hain

pr dil ko ye samjhtay huy darr lagta hai.

Friday, May 1, 2009

Dil apne aap DhaDakta Hai

Dil Apney Aap Dhadakta Hai, Dharkaya Nahi Jata
Yeh Raaz-E-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi Jata

Agar Ehsaas Ho Tho, Mohabat Ko Kar Lo Mehsoos
Yeh woh Jazba Hai Jo Lafzoon Mein Samjhaya Nahi Jata

Dosti Ke Liye Mohabat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jata

Bohat Kam Hai Log Jho Dil Mein Uter Jhate hai
Her Rah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jata

Koshish Se Badal Jhati Hai TaQdeerein
Dekar Ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya nahI.

Duaon Me Kisi Ka Har Ghari Hona MOHABBAT HY

Duaon Me Kisi Ka Har Ghari Hona MOHABBAT HY

Kisi ki Yaad Ki Chadar Tale Sona MOHABBAT HY

Kabi Rangen Raton Me Ashk Barsana MOHABBAT HY

Kabi Bhulae Hoe Ka Loat Kar Aana MOHABBAT HY

Kisi Ka Khoon Ban K Jism Me Behna MOHABBAT HY

Or Is Jevan Ka Sab Se Qeemti Gehna MOHABBAT HY.

Guzre Dino ki Yaad

Guzre Dino ki Yaad Barasati Ghataa lage
Guzroon jo us Gali se to Thandi Hawa lage

Mehamaan banke aaye kisi Roz agar wo Shakhs
Us Roz bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa lage

Mai is liye Manata nahi Wasl ki Khushi
Mere Raqeeb ki na Mujhe bad-Duaa lage

Wo Qehat Dosti ka para hai k, in Dino
Jo Muskura ke Baat kare Aashnaa lage

Tark-e-Wafa ke baad ye us ki adaa 'Qateel'
Mujh ko Sataye koi to us ko Buraa lage.

Tum Yaad Aye

kal halki halki barish thi,,
kal sard hawa ka raks b tha..
kal phool b nikhray nikhray the,
kal un me apka aks b tha..
kal badal kaale gehre the,
kal chand pe lakhon pehrey the..
kuch tukray apki yadon ke,
badi deir se dil me thehre the..
kal yadein uljhi uljhi thin,
or kal tak ye na suljhi thin..
kal yaad bohat tum aye the,
kal yaad bohat tum aye the.

Hum Nazuk Nazuk Dil Wale

Hum Nazuk Nazuk Dil wale
Bas aise hi to hote hain...
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain



Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian,
Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain,
Kabi Geet Labon per latey hian



Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,
Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain,
Kabi Lambi Taan ker sotey hain



Hum Nazuk Nazuk Dil wale
Bas aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain.

Umeed

Kisi ki yaad dil mai ha koi ehsas baqi ha
Badaltey mosomon k darmiyan ek raaz baqi ha

Abhi ma safar ma hu milegi manzil mujhey
Magar in raaston k darmiyan ek sath baqi ha

Kahi pe sham dhalti ha kahi raat hoti ha
Abhi to chand nikla ha, chandni raat baqi ha

Chaley aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
Hamara jism murda ha hamagar ek saans baqi ha

Ummed ha phir bhi wo milega ek din
Apney aap pe bharosa ha aur yehi aas baqi ha.

Thursday, April 30, 2009

Shikayat Na Karta Zamane Se Koi

Kisi pathar ki moorat se mohabbat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Jo dil ki dharkanein samjhe na ankho ki zuban samjhe
Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
Ushi ke samne us ki shikayat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

ye socha hai ke dil ki bat us ke robaru keh dein
Natija kuch bhi nikle aaj apni arzoo keh dein
Har ik be ja takalluf se baghawat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai

Mohabbat be rukhi se aur bharrke gi wo kya jane
Tabbiat is ada se aur pharrke gi wo kya jane
Wo kya jane ke apna kis qayamat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai.

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Main Royi Sari Raat Bohat

Her Ghum tha Zamany ka lekin

May Tanha thi Us Raat Bohat

Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa

Jab Seher Hui to Khiyal Aya

Wo Badal Kitna Tanha Tha

Jo Barsa Sari Raat Bohat.

MalaaL

Waqt Guzra Tu Yah Malaal Howa




Khatam Ak Zindage Ka Saal Howa




Kitne Shiddat Say Koee Yaad Aaya




Aaj Jeena Bara Mahaal Howa




Soch Ke Jheel Main Gira Pather




Bay Sabab Muntashir Khayal Howa




Log Dekhay Bohat Mager Jana




Koee Teri Kaha Mesaal Howa.

Usse Takleef Mat Dena

Mohabbat jis se ho jaye usse takleef mat dena,
Wo chahey dukh hazaron de usse takleef mat dena,

Kabhi tum chand se kehna kabhi taaron se apna gham,
Agar wo sun nahi paye, usse takleef mat dena,

Tumein us shakhs ki galiyon me chahey mout ajaye,
Wo milne se jo katraye usse takleef mat dena....

Ek Baat Kehni Thi Tujhse

Ek baat kehni thi tujhse
Jo khudh se bhi na keh paaya
teri mohabbat ek saza hai
yeh aaj samajh main aaya

Kyun main tujhe khudh se
Juda nahi kar paata
Kyun teri yaadein ab
Dil se door nahi jaati

Kyun meri hansi ab
Labon pe khatum ho jaati
Kyun har umeed mujhe
Teri orr kheench laati

Pyar ki yeh kaisi keemat
Tu mujh se le rahi hai
Kya mujh se itni nafrat
Jo har lamha gham de rahi hai

Ab tu hi bataa
Ke mera kasoor kya hai
Tujh se mohabbat kar ke
Maine kya jurm kiya hai.

Sath Rota Tha Mere Sath Hansa Krta

Sath rota tha mere sath hansa krta tha,

Wo hi ik tha jo mere dil me basa krta tha,

Meri chaht ka talbgar tha wo is darja,

K wo namazo mein dua kiya krta tha

Ik lamhe ka bichrna b gawara na tha ussay

Rote rote wo mujse yehi kha krta tha,

Rog dil ko jo laga betha tha anjane mein,

Meri agosh mei marne ki dua krta tha,

Baat kismat ki thi k dur ho gae hum,

Warna wo to muje tqdeer kha krta tha.

Chand, Ghulaab, Aur Main

Jo kehta tha aksar mujh ko



Chand ghulaab aur tera chehra



Teenoon aik se lagte hein,



Shayad usse khoob khaber thi


Chand bana hai shab ka hissa


Aur ghulaab ke sar par patjher


Mujh ko dard-e-hijer mila hai!

Ye Jamal Kiya

ye jamal kiya..
ye jalal kiya..
ye aruj kiya..
ye zawal kiya..
wo jo lamha lamha bikhar gaya..
wo jo apni hadd se guzzar gaya....
ussay fiqar-e-sham- o-sehar kiya....
wo jo be-niaaz sa ho gaya..
wo jo aik razz sa ho gaya..
jissay kuch gharaz hi nahi rahi...
ussay dast-e-harf- e-sawal kiya...
howa raiza raiza jo dill tera..
ussay jorr jorr k matt dikha..
wo jo apnay husan mai mast hai...
ussay aiynay ka khayal kiya...
kabhi uss ny mujh ko jala diya...
kabhi us ny mujh ko bhuja diya...
main charagh tha tu hawa ny bhi....
mujhy ik tamasha bana diya...

Aaj Phir Mein Roi Hoon

mein alkeli thi tanha thi

bezari aur laachari mein

jabhi nikli bahir ghar se mein

thandi hawa ne mujhe galay lagaya

merey chehrey se balon ko hataya

phir garjay badal meri ahoon pe

aur ro dia asman bebassi pe meri

paani ki girti bondon ne

merey aanson ko saf kia

phir mein akeli kabh thi

kuch sokhey pattey pass the

jo merey gird bikhrey the

woh bhi tu kitney the babnaseeb

bichar gaye the pae'roon se

aur haath charey the fizaon ke

mein un sokhe patton sang

kharri thi tanha barish mein

aur keh rahi thi behtey paani se

kion ponch rahe ho yeh aanso?

jabh rota har par dil hai mera

kion nahi baha ley jatey tum

ghum merey yeh dukh merey

maat poncho in aansoon ko

mujh pe ik ehsaan karo

baha lejao badnaseebi meri

baha lejao meri yeh tarap

aur kar dalo azzad mujhe

bigri taqdeer ki zanjeeron se

bakhsh do mujhe woh zindagi

mussarat jiska naam hai

haan mein barish mein

tanha khari roi hoon

phir aaj sabhse chup chup ke

apni qismatt per roi hoon

haan aaj per mein roi hoon.

Wo Tum Na Thi Ik Khayal Tha

Wo tum na thi ik khayal tha
meri sooch ka hi kamaal tha
wo muhabbatain wo chahatain
meri uljanoon ka hi jaal tha
mery dil mein thin jo ronqain
wo tera hi husn-o-jamaal tha
jawab jis ka milla nahi
wo aisa hi ik sawal tha
wo ajj milla to yon laga
yahi to hai wo jiska intezar tha
ussy yaad kaisy na koi kary
ussy boolna to mohaal tha
ab us ki kia main missal doon
wo to apni missal ap tha.

Woh...................................

Wo mujh sy besabab uljha nahi tha.

Wo pehlay to kbhi aesa nahi tha,,,,,



Bohat aala tha us ka zarf liken?

Wo meri zaat ko samjha nahi tha.



Wo jis bey rukhi sy chal diya tha,,

Main itna bhi giya guzra nahi tha.



Usay main kiyon bura theraon yaro.

Bohat acha tha, fqat mera nahi tha.

Kabhi Main

kabhi mein gun guaoon to tum mujhy yad aaty ho
kabhi jo muskooraoun to tum mujhy yad aaty ho.

khuli aankhoun mein teri yad k hi deep jalty hein
ager palkein jhukaoon to mujhy tum hi yad aaty ho

ager batoon hi batoon mein wafa ka zeker aajy
to mein soochoon mein kho jaou mujhy tum hi yad aaty ho

kesi ki aankh se aansoo lahuu ban k tapkty hein
ager daman churaoun to tum mujhy yad aaty ho

kabhi ujry howe shehre mohbat mein ujaly ko
deaa koe mein jalaoon to tum hi yad aaty ho

tujhy dil se bhulany ko mein apny aap ko bhool jati houn
mein khod ko bhool jaoun to tum mujhy hi yad aaty ho

meri her aik khoushi tum se hei mansoob ay dost
koe bhi zaqam paooun to tum mujhy yad aaty ho.

Suno Ae Chaand C Larki

Suno ae chaand c larki
Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti
Chalo mana k yeh such hai
Magar ae chaand c lerki
Mujhe itna batao tum
K jub mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiun muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho
Mujhe awaaz deti ho
Suno ae chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jub naam leta hai
To phir kiun chonk jaati ho
Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota
Mera dawa hay chahat main
Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar ye dekha hai
Agar kuch waqt kut jaye
Samay ki dhool chat jaye
To wehshat bhaag jati hai
Muhubbat jaag jati hay.... !!!!

Tumhain Jana Zarori Hay

chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
ju jana hay tu phir is main
morrawat kee zaroorat kya
muhabbat ab nahe tumko
takkalof kee zaroorat kya
naya sathi ju dhondha hay
tu phir mairee zaroorat kya.........

Ek Khawab Hay

Is khawab main khona bhi naheen hay

Tahbir k dhage main prona bhi nahen hay

Lipta hay mere dil se kisi khawab ki surat

Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahen hay

Rakhna hay sar_e_chashm ise sakat_o_jamd

Pani main magar chand bhagona bhi nahen hay

Har chand tere naksh_e_kaf pa main hay lekin

Yeh dil kisi bache ka khilona bhi nahen hay

Wabasta hay muj se k tu hay bhi k nahen hay

Gar tu nahen muj main, tera hona bhi nahen hay

Yeh ishq_o_mohabbat ki rawayat bhi ajab hay

Paya nahen jis ko,use khona bhi nahen hay

Jis shakhs ki khatir tera yeh haal hay

Is ne tere mar jane pe rona bhi nahen hay.

Anjan Ban Jana

Tum jao hum say door to ek kam kar jana
Kuch Pal Apne hamare nam kar jana

Agar ajaye mot hamain tere anay se pehlay
To akar hamaray janazay ka ahtram kar jana

Na rona isqadar kay takleef ho hamain
Mout ko bhi Mazak samajh kar Anjan ban jana

Main ek din so jaon gi sada kai liye
Phir mujhay be wafa keh kar badnam kar jana

Jo guzro meri qabar sai to nazrain na pherna
Mehman hi ban kay dua salam kar jana.

NA Umeedain Rakhtay

Na Umeedin Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Ietbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota


Sabaq Deta Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko Samjhtey To Acha Hota


Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota


Sochtey They Ietbar Andha Ho Ga Dewawa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Dekhtey To Acha Hota


Na Chahtey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Kisi Ko Lagtey To Acha Hota


Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota.

Meri Akhari Tahrer Samjhna

Muj ko ghamain hallat ki tasver samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Afsana ghamain dil ka tujhe kaise sunaon
Tuuta jo sitam dil pe tujhe kaise bataoun

Is pyaar ko bighari huyi taqdeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Mana k judayi ka bohut zakham hay ghera
Main chup hoon k lab par hay riawayat ka pahra

Jo tuut naheen sakti woh zanjeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna

Chaha tha bohut main ne tera sath na chute
Hathon se kabhi tere mera haath na chute

Is khuwab ki kismat naheen tahber samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna.

Khamosh Mohabbat

Khamosh Mohabbat
Meri khamosh mohabbat ka
Itna to sila diya hota,
Kabhi ik nazar chahat se
Dekh hee liya hota.
Hum bhi tujhay ishq-0-mohabbat
Se aashna kartay,
Bas ik baar apnay dil mein
Aanay to diya hota.
Kia jata tumhara bas
Hamein hee dil se khushi milti,
Apni zindagi ki kitaab mein
Naam hamara bhi likh liya hota.
Dekh letay zara ghor se shayad,
Tumharay haath ki lakiron mein
Hamarai kismat ka bhi diya hota.

Yadou Kay Darechou Ko Zara Khol kay Daykho

Yadou kay Darechou ko Zara Khol kay Daykho

Hum Loogh Wohi hay kay Nahi , Ghoor say Daykho




Hum Ooss Kay Katray hay Kay Bikhray Howay Moti

Dokha Nazar Aayain Tu Hamain Roull Kay Daykho



Kanou May Bari Dayr Talak Gounj Rahay Gi

Khamoosh Chattano Say Kabhi bol Kay Daykho




Zarray Hain Magar Kam Nahi Paou Gay Kisi Say

Phir Janch Kay Daykhoo Hamain , Phir Toul Kay Daykho.

Wednesday, April 29, 2009

Meri Mohabbatein Shumar Kr K Dekhna

Aahat Aahat Intazaar Kr K Dekhna

kabhi Kisi Se Pyar Kr K Dekhna




Toot Jate Hain Khoon K Rishte Bhi

Ghaltian Do-Char Kr K Dekhna




Agar Zendagi Ka Falsafa Smajhna Ho

Barish Main Kachi Dewar Khari Kr K Dekhna




Kaee zamane Beet Jayen Ge Jana !

Kabhi Meri Mohabbatein Shumar Kr K Dekhna....

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi ilzam Rakh Diya

Duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya
ham ne muqabil us k tera nam rakh diya

ik khas had pe a gai jab teri berukhi
nam us ka ham ne gardish-e-ayyam rakh diya

main larkhara raha hun tujhe dekh-dekh kar
tune to mere samne ik jam rakh diya

kitna sitamzarif hai wo sahib-e-jamal
us ne diya jala k lab-e-bam rakh diya

insan aur dekhe bagair us ko man le
ik khauf ka bashar ne Khuda nam rakh diya

ab jis k ji mein aye wahi paye raushani
ham ne to dil jala k sar-e-am rakh diya

kya maslahatshanas tha wo adami 'Qateel'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya.

Kuch Chiriyan

Kuch chiriyan hain jo

Aankhain mond-e rehti hain

Choti c is dunia main

Sapny sajay rakhti hain

Sapnon ki barat main un k

Na koi badal hai, na koi saya hai

Sara manzr un ka apna man bhaya hai

Is liay wo kehti hain

Hum sapno ki saij main rehti hain.

Dukh Kiyaa Hota Hai

tum ne poocha k,

dukh kia hota hai,

too sunoo,

aisa kerna,

kabhee kisi ko chahna,

orr chahtey hee rehna,

din bher iss ko sochtey hee rehna,

jagtee ankhoon se iss k sapne

deekhte hee rehna,

apne hathoon ki lakeroon mein iss ka

naam tarashte hee rehna,

orr jaab kabhee wo,

inn riazatoon ka hisab mangne ko,

samne aay too,

tum ana ka hath tham lena,

agar wo kuch kahay too,

muskura ker anjan ban jana,

orr jaab wo mayoos ho ker loot jay too

apne ander jhankna,

orr khud se poochna,

tub tumhara dil

tumhain bata day ga k,

dukh kise kehte hain,

dukh kia hota hai...

Tumhara Naam Likh Likh Ker

Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon
Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon
Boht si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain
Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon
Tumhare baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai
Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon
Mai her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga
Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon..

Jane Wale Teri Tasvir Bhi

jane wale teri tasvir bhi ley jaa mujhse
lut raha hon tou yeh jagir bhi ley ja mujhse


lout ker phir kabhi awaz na dena mujhko
pyar kerne ka yeh andaaz na dena mujhko
hath mei toota hua saaz na dena mujhko
tere khat teri yeh tahreer bhi leja mujhse

ab mera or meri manzil ka thikana kia hei
mujhse maat pooch ke jeene ka bahana kiya hei
tu nahi hei tou zamane ko dikhana kia hei
cheen ker ab meri taqdeer bhi ley ja mujhse

jane kal kia ho teri aas rahe ya na rahe
dil mei yeh dolat e ahsaas rahe ya na rahe
zindagi meri mere pas rahe ya na rahe
khwaab toota hei tou tabeer bhi ley jaa mujhse

jane wale teri tasvir bhi ley ja mujhse
lut raha hon tou yeh jageer bhi ley jaa mujhse.

Mera Bojh Khud Uthana

mera bojh khud uthana merey daeray main rehna
mujhey apney dil main rakhna merey hafzey main rehna

merey manzaron main basna meri guftagu main hona
merey lams main samana merey zaieqey main rehna

mera hukam khud sunana meri mohar khud lagana
merey mashwarey main hona merey faisley main rehna

kabhi dhoop kai nagar main mera saath chore dena
kabhi mera aks ban kar merey aaieney main rehna

kabhi manzilon ki surat meri dastars sey bahar
kabhi sang-e-meel ban kar merey rastey main rehna

merey haath ki lakerain tera naam ban kar chamkein
meri khwahishon ki khushbu, merey zaiechey main rehna.

Gham Sey Na Dil Ko

Gham sey na dil ko kabhi hamkanar karna
Main phir aaon ga palat ker mera intizar karna

Mujhey darr hai merey ansoo teri ankhon sey na chalkain
Zara soch ker samajh ker mujhey sogwar karna

Ussey dhond sab sey pehley jo nahi mila hai tujh ko
Yeh sitarey aasman kai kabhi phir shumar karna

Yehi reh gia madawa meri badgumaniyon ka
Tera muskura kar milna ' mera aitbaar karna

Badnaseeb sohail teri zindagi hi kia hai
Na kisi sey dil lagana ' na kisi sey piyar karna

Kabhi iqtidaar bakhshay jo Khuda Qateel tujh ko
Jo rawish hai qatloon ki woh na ikhtiyar karna.

Patthar tha Magar

Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha



Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha



Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha


Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha


Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha.

Hum Yunhi

Hum yunhi humsafar ban k chalte raheen

Hum na badleen kabhi din badalte raheen

Sath apne hay jab pyar ki roshani

Har andhre ab hum guzar jayeen ge

Humqadam ban k tum sath chalte raho

Jitne kante hain sab phool ban jayeen ge

Manzileen apne qadmon main ati raheen

Khawab sare haqeqat main dhalte raheen

Chaye ab gham mile chaye aye khushi

Kam na ho gi hamari mohabbat kabhi

Jaan_o_dil donoon main ne tujhye de deye

Likh chuka main tere naam yeh zindagi

Pyar k geet honton pe ate raheen

Aik sene main do dil machalte raheen.

Pehle Se Ab Who Din Hain Na Pehli Si Raat Hay

pehle se ab who din hain

na pehli si raat hay

shayad hamare baich

kahin koi baat hay

kiya baat hay jo ab TU hume daikta nahi

kiss haal main hain kaise hain kuch poochta nahi

laghta hay koi wahan TERE ass pass hay

shayad hamary baich kahin koi baat hay

jane kahan se raah main ye mour a giya

seenay main dabe poun koi aur a giya

jab ke har aik kadam pe

TU hi mere saath hay

shayad hamary baich

kahin koi baat hay

pehle se ab who din hain

na pehli si raat hay.

Sukoon

samander per sukoo'n hai per kinaray shor kertay hain
meray atraaf bas rangee'n nazaray shor kertay hain



aur ab to chandni raatein mujay achi nahi lagtein
sukoo'n say so nahi sakta k taray shor kertay han



mein jab khamosh rehta hon to sab khamosh rehtay han
agar ik lafz bhi bolon to saray shor kertay han



bohat muddat hoe jab tum meray kochay say guzray thay
pa'kadmon k nishaa'n ab tak tumharay shor kertay hain



koe bhi baat yaksooe say ab sochi nahi jati
k meray zahen mein kuch ista'aray shor kertay han



mera ghar jal raha hai, mein kisi say kuch nahi kehta
magar aye doost ye shulay shararay shor kertay hain.

Aik Baar

wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa


aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa


jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa


weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa


manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa


naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa


kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa.

Ankhon Ka Samandhar

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...


ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...


baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...


mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...


regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...


Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

HAAL-E- DIL MERA JAANTI HAI WOH

Tujh ko her lamha chahta hoon main

tujh ko her lamha poojta hoon main




apni tanhaiyon se ghabra ker

tere baare main sochta hoon main






raat ke peechle pehar utth utth ker

bas tujhe hi to maangta hoon main





apne honton se kuch nahi kehta

aankhon aankhon se chahta hoon main






neend mujh ko zara bhi nahi aati

raat bhar yun hi jaagta hoon main





jo bhi kahoon woh kuch nahi kehti

meri her baat maanti hai woh



haal-e- Dil kya usse sunaoon main

haal-e-Dil mera jaanati hai woh.

HAMARA MAAN RAKH LO

HAMAY AFSOS HAI BEHAD
HAMARY PYAR KI KHATIR
ZAMANAY SE LARAY HO TUM
DAURAHAY PER KHARAY HO TUM
MAGAR WO DEWARAIN JO DUNYA NE BANAI HAIN
NA TOOTAINGI.....
NA SAR PHORO
TUMHARI HAR KOSHISH
RAIGAN HOGI
SAFAR HAI
ZEEST KA
LAMBA HAI
KISI KO SATH ME LE LO
TUMHARA SUKH JO DAKHAINGAY
HUM APNA GHUM BHI BHOOLANGAY
JAHAN TUM NE ITNA KYA HAI
WAHAN IK EHSAN AUR KARLO
HAMARA MAAN BHI RAKH LO.