suna hoga bohat tum ne ....
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka...
parha hoga bohat tumne ....
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka...
magar tum ne kabhi humdam ...
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??...! !
mujhe teri judaai ne ...
yehi mairaaj bakhshi hai...
ke main jo lafz likhta hooN ...
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN ...woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main ... mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain ...
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta ... mere alfaz ki siski...
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil ... usi taseer ke aansoo...
kabhi daikho mere humdam...
meri tehreer ke aansoo..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment