Sunday, May 3, 2009

Arz-E-Niyaz-E-Ishq K Qabil Nahi Raha

arz-e-niyaz- e-ishq k qabil nahi raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha


jata hun dag-e-hasrat- e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha


marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main
shayan-e-dast- o-bazu-e- qatil nahi raha


ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai
yan imtiaz-e-nakis- o-qamil nahi rahaa


wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab- e-husn
gair az nigah ab koi hail nahi raha


go main raha rahin-e-sitam haye rozgar
lekin tere khayal se gafil nahi raha


dil se hawa-e-kisht- e-wafa mit k wan
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha


bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha.

No comments:

Post a Comment