Bahout Acha bhi lagta hay ,
Achanuk iss terha dil ka doobara mubtalla hona
Mohabbat Ashna hona,
Magar jub dekhta hoon,
Waqt kitna ja chuka hay
Rastoon ki dhool
Qadmoon aur siroon per kis terha say jum chuki hay
Aur,
Hum Tum,
Apni Apni zindagee k dairoon main
Apni Apni gardishoon main
Iss terha uljhay huway hain
jis terha dast e falak main sath chaltay,
doo sitaray
Jo bazahir pass lagtay hain
mager un ki rafaqat main
karooroon meal ki tanhai ka derya bhi hota hay
Yeah derya parr keasay hoo
Na tum ho uss kinaray per
Na hum hain iss kinaray per
Soo Behter hay
Hum apnay apnay diaroon k iss khalla main ghoomtay jaeain
sitaroon ki terha
Ik sath chamkain aur damkain tou sahi lakin
Yeah apnay beach main jo fasloon ka surkh derya hay
Issay tasleem he ker lain
Keh iss bay pull k derya main
na tum he tair saktay hoo
Na hum he tair saktay hain!
Bahout acha tou lagta hay
Achanuk iss terha dil ka mohabbat ashna hoona
Doobara mubtalla hona!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment