Kisi pathar ki moorat se mohabbat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
Jo dil ki dharkanein samjhe na ankho ki zuban samjhe
Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
Ushi ke samne us ki shikayat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
ye socha hai ke dil ki bat us ke robaru keh dein
Natija kuch bhi nikle aaj apni arzoo keh dein
Har ik be ja takalluf se baghawat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
Mohabbat be rukhi se aur bharrke gi wo kya jane
Tabbiat is ada se aur pharrke gi wo kya jane
Wo kya jane ke apna kis qayamat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment