Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar
Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar
Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar...
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi
Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai
Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho
Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya essi khawaesh na kar
Mein woh sapna hun jo ke sach na ho
Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey
Mein woh rasta hun jiski na manzil miley
Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge
Mere pagal Piya esse raste pe na chal
Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai
Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley
Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai
Mere pagal Piya mera picha na kar
Mein to woh shaam hun jo ke dhal jaye gi
Main who rat hunjis kasawera na ho
Mai tu woh Aaghon jo ke dehekti rahe
Na mere pass tu aa tu bhi jal jaye ga
Mere pagal piya lout jaa
Mere piya mere chaht na kar
Mujhe dekh kar mujhe socha na kar.........
Mere pagal piya........
Sunday, May 3, 2009
ISHQ
Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega
Deewaroon se takraogay jab ishq tumay ho jayega
Her baat gawara karlogay mannat bhi utaara karlogay
Thaaweezein bhi bhandwaogay jab ishq tumay ho jayega
Tanhai k jhoolay jhoologay ar baat puraani bhoologay
Aaine se gabraogay jab ishq tumay ho jayega
Jab suraj bhi kho jayega aur chaand kahin so jayega
Tum bhi ghar der se aaogay jab ishq tumay ho jayega
Becheni jab bar jayegi aur yaad Kisi ki aayegi
Tum meri ghazlein gaaogay jab ishq tumay ho jayega.

Meri Tehreer Key Ansoo
suna hoga bohat tum ne ....
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka...
parha hoga bohat tumne ....
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka...
magar tum ne kabhi humdam ...
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??...! !
mujhe teri judaai ne ...
yehi mairaaj bakhshi hai...
ke main jo lafz likhta hooN ...
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN ...woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main ... mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain ...
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta ... mere alfaz ki siski...
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil ... usi taseer ke aansoo...
kabhi daikho mere humdam...
meri tehreer ke aansoo..

Arz-E-Niyaz-E-Ishq K Qabil Nahi Raha
arz-e-niyaz- e-ishq k qabil nahi raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha
jata hun dag-e-hasrat- e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha
marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main
shayan-e-dast- o-bazu-e- qatil nahi raha
ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai
yan imtiaz-e-nakis- o-qamil nahi rahaa
wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab- e-husn
gair az nigah ab koi hail nahi raha
go main raha rahin-e-sitam haye rozgar
lekin tere khayal se gafil nahi raha
dil se hawa-e-kisht- e-wafa mit k wan
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha
bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha.

Koshish To Karo
Kitni Khubsurat hai yeh zindagi
Meri nazar say dekhnay ki koshish to karo
Dhalti shaam k Andheray main Akelay Bethi
Tum kyun itni gumsum ho
Gham-o-Khushi, Muhabbat-o-Dosti or Dokha
Yeh sab to Zindagi k Rang hain
In Rango'n ko milanay ki koshish to karo
Dekho! kitna DiLfareb yeh manzer hai
Bal Khaati Lehro'n k pichay woh Ghroob-e-Aftaab
Or diL mein Anjani si Hulchul
Yeh Bheega Mausam or Lehlahatay pHool
Or Mitti ki bheeni bheeni KhushbU
ZindaGi ko Jeenay ki koshish to karo
Kiya Gham hay TUmhein Zindagi mein
In Ghamo ko bhuLaa ker
MuSkuraanay ki koshish to karo
Mango na kisi say Muhabbato'n ki bheek
Bus! Dua ko Hath uthao or Ankh num karlo
Dua ko Ursh tak pohchanay ki koshish to karo
Kitni Khubsurat yeh Zindagi hay
Meri nazar se dekhnay ki koshish to karo...!!

BUS WO IK SHAKS HAMARA HOTA
Sham ko parindoon ki tarah lout aatay hum
muntazir agar koi hamara hota
chand taaroon ki talab kisay thi
bus roshni kay liyay ik sitara hota
hami main shahid koi kumi thi warna
zrur koi tarafdaar hamara hota
duniya kay logo ki tamana kisay thi
hum nay chaha....bus woh ik SHAKS hamara hota.

Kismat Sa Larnay Ki
Kismat sa larnay ki
kabhi justuju nahi kartay
muqadar jub mukhalif ho
duain be-asar jain
sabhi manzar bikhar jain
too aisay main baghawat ki
kbhi koshish nahi kartay
kisi k sath chalnay ki
kisi k dil main busnay ki
kabhi khawahish nahi kartay
kisi ek shaks ki khatir
subhi sa dour ho jana
kahan ki ye muhabat ha???
muhabat ye nahi hoti
muhabat aks ha RUB ka
kubhi ye mar nahi sakti
hamesha ye sath rahti ha
hamesha sath chalti ha
milay jo humsafar tum ko
usi k sath chalna tum
usay dharkan bana lena
usay dil main basa lena
magar kismat sa larnay ki
lakiron sa ulajhnay ki
kabhi koshish nahi karna...!
kabhi justuju nahi kartay
muqadar jub mukhalif ho
duain be-asar jain
sabhi manzar bikhar jain
too aisay main baghawat ki
kbhi koshish nahi kartay
kisi k sath chalnay ki
kisi k dil main busnay ki
kabhi khawahish nahi kartay
kisi ek shaks ki khatir
subhi sa dour ho jana
kahan ki ye muhabat ha???
muhabat ye nahi hoti
muhabat aks ha RUB ka
kubhi ye mar nahi sakti
hamesha ye sath rahti ha
hamesha sath chalti ha
milay jo humsafar tum ko
usi k sath chalna tum
usay dharkan bana lena
usay dil main basa lena
magar kismat sa larnay ki
lakiron sa ulajhnay ki
kabhi koshish nahi karna...!
Saturday, May 2, 2009
Tujhse Door
Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho
Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye
Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye
Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye
Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

Ek Baar
Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko
Main Hanste huye Acha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon Yaad Main Kar Ke
Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon
Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha Tha Us Ne
In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
Tum Se Pyaar Main Karta Hoon
Har Pal Mere Sath Hote Ho
Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
Woh Dour Suhane Sapnon Ka
Sab Jhoot Par Mabni Nikla Tha
Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon
Tum Mere The Tum Mere Ho
Ab Sab Se Yahi Kehta Hoon.
Main Hanste huye Acha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon Yaad Main Kar Ke
Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon
Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha Tha Us Ne
In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
Tum Se Pyaar Main Karta Hoon
Har Pal Mere Sath Hote Ho
Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
Woh Dour Suhane Sapnon Ka
Sab Jhoot Par Mabni Nikla Tha
Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon
Tum Mere The Tum Mere Ho
Ab Sab Se Yahi Kehta Hoon.
Taqdeer K Hathon
Taqdeer k hathon main khilona hay admi
Duniya hay tamashayi tamasha hay aadmi
Ghum hay kisi ko mera na tera malal hay
Har kisi ko apni fikar hay apna khayal hay
Is pataron ki duniya main jina muhaal hay
Hallat k sitam ka nishana hay aadmi
Aankhon main khuwab jab bhi khushi k sajaye hain
Ghum hi har aik gareeb k hise main aye hain
Aye dil gilah na kar yahan apne paraye hain
Rishtoon k is hajuum main tanha hay aadmi !!!

Waqt
waqt ne sikhaya hai
Waqt k samandar main
dukh k sub jazeroun par
sare karway lamhoun main
umar jub gozaro gay
tum bhe seekh jaao gay
dhoondhna nahi aasan
khoodna zarori hai
bhaid-bharay logoun ko
soochna zarori hai
khoojna zarori hai
tum bhe seekh jaao gay
waqt aisa aaya tu.
Waqt k samandar main
dukh k sub jazeroun par
sare karway lamhoun main
umar jub gozaro gay
tum bhe seekh jaao gay
dhoondhna nahi aasan
khoodna zarori hai
bhaid-bharay logoun ko
soochna zarori hai
khoojna zarori hai
tum bhe seekh jaao gay
waqt aisa aaya tu.
Abhi Jab Lout Kar Phir TUM Hamare Dar Pe Aye Ho
Ye TUM se keh diya kis ne,
k TUM bin reh nahi sakte,
k ye dukh seh nahi sakte,
Chalo ye maan laitey hein,
k TUM bin HUM bohat roye,
kai ratoon ko na soye,
Magar ek baat hai JANA,
K TUM nakaam louto ge,
Ager TUM jan-na chaho,
k aisa kion kiya HUM ne,
To sun lo ghour se JANA,
Purani ik riwayat tor di HUM ne,
"MOHABBAT chor di HUM ne"
"MOHABBAT chor di HUM ne.
k TUM bin reh nahi sakte,
k ye dukh seh nahi sakte,
Chalo ye maan laitey hein,
k TUM bin HUM bohat roye,
kai ratoon ko na soye,
Magar ek baat hai JANA,
K TUM nakaam louto ge,
Ager TUM jan-na chaho,
k aisa kion kiya HUM ne,
To sun lo ghour se JANA,
Purani ik riwayat tor di HUM ne,
"MOHABBAT chor di HUM ne"
"MOHABBAT chor di HUM ne.
Peghaam
Aahat pay uski chounk sa jata hoon
Na chahate huway bhi usko bhool jana chahata hoon
Najane kiun uski yadon may gum ho jata hoon
May uski yadoon say bhi nikal jana chahata hoon
May ne uski muhabbat ka khaya hay dhoka
Ab may muhabbat k is dhoke say nikal jana chahata hoon
Woh jo chehray pay dale baithe hain parda masoomyat ka
Un k chahray say woh parda uthana chahata hoon
Husn parasti nay kia hay hum ko barbad
Husn parstoon ko yah baat samjhana chahata hoon
Yeh aag hay is say mat khelo jal jao gay
Magar may woh Perwana hoon jo jal jana chahata hoon
Zindagi nay jis terha jhanjora hay mari zindagi ko
May ab us zindagi say nikal jana chahata hoon
Or jab kabhi hota hoon may tanha
To dil khool kar rona chahata hoon
Piyar muhabbat koun karta hay yahan par kissi ko
May yeh pegham aam karna chata hoon.

Aa Umer-E-Ravaan
Aa umer-e-ravaan
Aa paas mere
Ik raaz ki baat batani ha
Ik khowab sunana ha tujh ko
Ik dard ki tees si dil main ha
Ik rang dikhana ha tujh ko
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Yah neem shabi ki khamoshi
Yah neend ki palkain bojhal si
Ik khuff sa zahan-o-dil par ha
tanhai meri chupke se kahe
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Tujh se faqat kahna ha mujhe
Raftaar ko apni dheema rakh
Ik shaks se milna ha mujh ko
Milne ki ghari jo thahri ha
Do char saddi ya ab k baras
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere.
Aa paas mere
Ik raaz ki baat batani ha
Ik khowab sunana ha tujh ko
Ik dard ki tees si dil main ha
Ik rang dikhana ha tujh ko
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Yah neem shabi ki khamoshi
Yah neend ki palkain bojhal si
Ik khuff sa zahan-o-dil par ha
tanhai meri chupke se kahe
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere
Tujh se faqat kahna ha mujhe
Raftaar ko apni dheema rakh
Ik shaks se milna ha mujh ko
Milne ki ghari jo thahri ha
Do char saddi ya ab k baras
Aa umer-e-ravaan
Aa pass mere.
Agr Tum Pass Hotey To
Agr tom pas hotey to
karm ki intaha kartey
tomhain palkon pe rakhte ham
tomhain dil me bsatey ham
agr tom roth jatey tom
tomhain kitna mnatey ham
tomhari galtion ko bhi
hansi me urra detey
agr apni khata hoti to
khud ko he sza detry ham
Mgr yeh sab jabhihota
AGAR TOM PAS HOTEY.......
karm ki intaha kartey
tomhain palkon pe rakhte ham
tomhain dil me bsatey ham
agr tom roth jatey tom
tomhain kitna mnatey ham
tomhari galtion ko bhi
hansi me urra detey
agr apni khata hoti to
khud ko he sza detry ham
Mgr yeh sab jabhihota
AGAR TOM PAS HOTEY.......
Mujhe Roshni K Jaziroon Say
Mujhe roshni k jaziroon say
is tarha milay ho tum
jaisay tareeq rahon main
koi diya ho madham sa
jis ki roshni main khud ko
dekh to sakta hoon
magar
yeh roshni ka safar
shayad mera humsafar na ho
shayad ki tera milna kabhi bhi
meri zindagi ka muqaddar na ho
to aaj inhi lamhon main
louta dein jitni chahatain hain
mere dil ke nehaan kano mein
jitni unkahi batein hain
phir kal fursat milay na milay
jis tarha saji hai aaj apni yeh mehfil
phir yeh bazm sajay na sajay
kyun ki main janta hoon ye ki……………
merr naatamam kwhahishon mein ab
tumhe bhi shamil hona hai
aaj paya hai tumhe jis tarah muqaddar se
kal isi tarha se khona bhi hai ….

Koi Kandha Nahin Deta
Mohabbat k safar mein koi raasta nahin deta,
zameen waqif nahin banti falak saya nahin deta,
udasi jis k dil mein ho us ki neend urti hai ,
kisi ko apni ankhon say koi sapna nahin deta,
uthana khud hi parta hai thaka toota badan apna,
k jab tak saans chalti hai koi kandha nahin deta.

Jab Kabhi Milein Fursatien
Jab kabhi milein fursatien,
mere dil se bhooj utar du,
main bahut dinno se uddas hoon,
mujhe koi shaam udhaar du!
Mujhe apne roop ki dhoop du,
ke chamak sakein mere haal-o-hadd,
mujhe apne rang mein rang du,
mere sare zang utaar du!
Kisi aur ko mere haal se...
na gharaz hai na wasta,
main bikhar gaya hoon sameet lu,
main bigar gaya hoon sanvaar du!
Meri vehshatoon ko barha diya hai,
judaiioon ke azab ne....
mere dil pe haath rakhu zara,
meri dharkhnoon ko qarrar du!
Tumhein subah kiyssi lagi kahu,
meri khwahishoon ke dayar mein
jo bhali lagi tu yahien rahu,
isse chahtoon se nikhaar du!
Wahaan ghar mein kon hai muntazir,
ke hu fikar deer saweer ki
bari mukhtaser si yeh raat hai
issi chandni mein guzaar du!
mere dil se bhooj utar du,
main bahut dinno se uddas hoon,
mujhe koi shaam udhaar du!
Mujhe apne roop ki dhoop du,
ke chamak sakein mere haal-o-hadd,
mujhe apne rang mein rang du,
mere sare zang utaar du!
Kisi aur ko mere haal se...
na gharaz hai na wasta,
main bikhar gaya hoon sameet lu,
main bigar gaya hoon sanvaar du!
Meri vehshatoon ko barha diya hai,
judaiioon ke azab ne....
mere dil pe haath rakhu zara,
meri dharkhnoon ko qarrar du!
Tumhein subah kiyssi lagi kahu,
meri khwahishoon ke dayar mein
jo bhali lagi tu yahien rahu,
isse chahtoon se nikhaar du!
Wahaan ghar mein kon hai muntazir,
ke hu fikar deer saweer ki
bari mukhtaser si yeh raat hai
issi chandni mein guzaar du!
Mujhay Tum Say Muhabbat Hay
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo'n say tari hay
magar janaa'n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee'n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee'n kerna
waerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee
nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa'n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo.

Kuch Log Baddal gaye HAin
Is raat ki.. Tanhaeeyo ke
Sab rang badal Gaye hain
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hain
Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal Gaye hain
Manzile to abb bhi WO hi hain
Kuch rastay badal Gaye hain
Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr Gaye hain
Dakhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal Gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj WO hi mukarr Gaye hain
Ais tutay huye dil kay saray..
Jazbaat badal Gaye hain
Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat
Bas rona hai yahi......
Kuch Loog Baddal Gaye Hain.
Sab rang badal Gaye hain
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hain
Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal Gaye hain
Manzile to abb bhi WO hi hain
Kuch rastay badal Gaye hain
Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr Gaye hain
Dakhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal Gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj WO hi mukarr Gaye hain
Ais tutay huye dil kay saray..
Jazbaat badal Gaye hain
Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat
Bas rona hai yahi......
Kuch Loog Baddal Gaye Hain.
Koi Baat Bhi Uss Ko Yaad Nahi
Ek shakhs ne uss ko chaha tha
woh zaat bhi uss ko yaad nahi
Jab shab ko bejli chamki thi
aur badal toot ke barsa tha
Hum duno jis mein bhigy the
woh barsat bhi uss ko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
aur wada sath nibhane ka
Aur shab bhar chand ko dekha tha
woh raat bhi uss ko yaad nahi
Wo kehta tha main sunti thi
main kehti thi woh sunta tha
Unn lakhon baaton mein
koi..,
eik baat bhi uss ko yaad nahi.
woh zaat bhi uss ko yaad nahi
Jab shab ko bejli chamki thi
aur badal toot ke barsa tha
Hum duno jis mein bhigy the
woh barsat bhi uss ko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
aur wada sath nibhane ka
Aur shab bhar chand ko dekha tha
woh raat bhi uss ko yaad nahi
Wo kehta tha main sunti thi
main kehti thi woh sunta tha
Unn lakhon baaton mein
koi..,
eik baat bhi uss ko yaad nahi.
YAAD HAI TUM KO??
YAAD HA TUM KO??
IK LARKI THE SEDI SADI
APNAY AP MEIN REHNAY WALI
ISHAQ MOHABAT AUR JANOON KO
SIRF HAMAQT KEHNAY WALI
HAR IK DUKH KO CHUPKY CHUPKY
APNAY DIL PAY SEHNAY WALI...
YAAD AYA??
US NAY TUM SAY PIYAAR KIA THA
APNI KUSHIYAN DIL AUR JEWAN
SAB KUCH TUM PAY WAAR DIA THA!
LOGUN KI BATON MEIN AA KAR..
TUM NAY US K DIL KO TOR DIA THA
ISHAQ KI MANZAL PAR LANAY SAY PEHLY
TUM NAY USS KO CHOR DIA THA..
AB JO WO TUM KO YAAD ATI HA...
TOU AB PACHTANY SAY KIA HASIL
AB WO MOSAM GUZAR GYA..
AUR CHAHT KA MOSAM DASTAK DAY KAR GUZAR JAYE TOU....
DIL B KHALI REH JATY HEIN...
SACHY PYAR KO KOHNAY WALY KHALI HATH REH JATY HEIN.

Askh Apna K Tumhara
Askh Apna K Tumhara Nahin Dekha Jata
Abar Ki Zad Main Sitara Nahin Dekha Jata
Apni Sheh-Rag Ka Lahoo Tan Main Rawan Hai Ab Tak
Zair-E-Khanjar Koi Piyara Nahin Dekha Jata
Moj Dar Moj Ulajhnay Ki Hawas Be-Mani
Doobna Ho Tu Kinara Nahin Dekha Jata
Terey Chehray Ki Kashish Thi K Palat Kar Dekha
Warna Sooraj Tu Dobara Nahin Dekha Jata
Aag Ki Zid Pay Na Ja Phir Say Bharrak Sakti Hai
Raakh Ki Teh Main Shrarah Nahin Dekha Jata
Zakhm Ankhon K Bhi Sehtay Thay Kabhi Dil Walay
Ab Tu Abroo Ka Ishara Nahin Dekha Jata
Kya Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai Mohsin
Dil Pay Us Ka Bhi Ajara Nahin Dekha Jata.

Samajh Jana Keh Wo Hoon Main
Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana keh wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana keh woh hoon main
Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana keh wo hoon main
Jo zeeyada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi ayee
Samaj jana keh wo hoon main
Agar tum bholnaa chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana keh wo hoon main.....!!
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana keh wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana keh woh hoon main
Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana keh wo hoon main
Jo zeeyada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi ayee
Samaj jana keh wo hoon main
Agar tum bholnaa chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana keh wo hoon main.....!!
Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain.

Bhula Dijiyey Mujhay
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay
Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay
Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay
Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay
Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash'heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay
Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay
Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay
Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay.

To Acha Hai
Tumeh jana ijazat hai
K in tareek rahon per
Thakan si khud mein pao to
Andheron se kabhi dil dol jai
Thak si jao to
Mre jalte hoi lamhon
Mre kangaal haathon se chura k apne haathon ko
Fiza ki naghmagi se tum nai geeton ko chun lena
Haseen palkon ki nokon per nai kuch khuwab bun lena
Koi gar pooch le mra to is se zikr mat karna
Mre jeewan ki jalti dupeher se be-gharaz hokar
Tum apni chandni raton mein jugno paalti rehna
Mri tanhaayon ki, wehshaton ki fikar mat karna
Tumeh is ki ijazat he
Mre sab khat jala dena
Mre tohfon ko darya mein bahana ya daba dena
Mri har yaad ko dil se khurchna or mita dena
Tumeh bilkul ijazat he
K jab chaho bhula dena
Magar itni guzarish he
Agar aisa na ho jana
To acha hai………

Suno Tum Laut Aao Na
Suno tum laut aao na
Woh dekho chand nikla hai
Sitarey jagmagaye hain
Hamari muntazir aankhein
Duaein mangti aankhein
Tumhain hi sochti aankhein
Tumhain hi dhondti aankhein
Tumhain wapis bulatin hain
Yeh dil jab bhi dharakta hai
Tumahara naam leta hai
Yeh aansoo jab bhi behtein hain
Tumahrey dukh mein behtein hain
Ke barish jab bhi hoti hai
Tumhe hi yaad kartein hain
Khushi koi jo aayey bhi
Tumharey bin adhori hai
Suno tum laut aao na
Suno tum laut aao na.
Woh dekho chand nikla hai
Sitarey jagmagaye hain
Hamari muntazir aankhein
Duaein mangti aankhein
Tumhain hi sochti aankhein
Tumhain hi dhondti aankhein
Tumhain wapis bulatin hain
Yeh dil jab bhi dharakta hai
Tumahara naam leta hai
Yeh aansoo jab bhi behtein hain
Tumahrey dukh mein behtein hain
Ke barish jab bhi hoti hai
Tumhe hi yaad kartein hain
Khushi koi jo aayey bhi
Tumharey bin adhori hai
Suno tum laut aao na
Suno tum laut aao na.
Use Bewafa Kehte Nahi Hain Hum
Ro ro ke hum ne jo aansu hai bahaye
Us ke bina hum kabhi reh nahi paaye
Dil ko bohat samjhaya hum ne mager
Dil ki dhadkan ko sambhaal nahi paaye
Jee karta hai khatam kerlein zindagi apni
Us ke dedaar ke liye apni zindagi mita nahi paaye
Us ne to thukradiya bedardi se hamein
Humein mohabbat thi us se jo use thukra nahi paaye
Kya tha us mein jo laakh chah ker bhi
Hum use dil se nikaal nahi paaye
Use Bewafa kehte nahi hain hum
Jis ke bina hum kabhi reh nahi paaye
Dil mein lagayi thi jo aag us ne hamare
Us aag ko hum kabhi bujha nahi paaye
Wo hum se door chalagaya aye KaBir
Per uska chehra hum ankhoun se hata nahi paaye.

MeiN Us KeY BaRaY mEiN SaDa SoChTi RaHi
Mein Us Key Baray Mein Sada,Sochti Rahi
Woh Hai Key Chal Diya Mein Khari,Souchti Rahi
Woh Meri Wafaoon Ko Jafa,Souchta Raha
Mein Un Ki Jafaaon Ko Wafa,Souchti Rahi
Yadoon Mein Us Ki Umaar Guzari Hai Is Liye
Ab Souchti Hoon Dostoo!Kia,Souchti Rahi
Woh Jo Pareendha Habaass Key Zindaan Mein Qaid Tha
Ay Gi Kis Taraf Sey Hawa, Souchti Rahi
Ankheen Gazal Tu Laab Pey Mohabbat Ki Mehak
Zulfoon Ko Tere Kali Ghata,Souchti Rahi
Ek Nay Rastay Pey Tujhe aa Key
Barsoon Talak Hi Bethi Rahi,Souchti Rahi.

Ye Tum Bhi Gawara Kar Layna
Ye Hum Bhi Gawara Kartay Hain.
Ye Tum Bhi Gawara Kar Layna.
Ro Ro K Guzarii Hai Humne.
Tum Hans k Guzara Kar Layna.
Betaabii Had Se Barh Jaye..
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko.
To Doob K Meri Yadoon Main..
Duniya Say Kinara Kar Layna..
Jis Waqt Janaza Guzray Ga,
us Shaks Ka Teray Koochay Say.
Jazbaat Pe Kaboo Kar Layna.
Khirki Se Nazara Kar Layna..
Agar ho sakay tu meri kaber par
Aa k zara sa ro lena.
Ye Tum Bhi Gawara Kar Layna.
Ro Ro K Guzarii Hai Humne.
Tum Hans k Guzara Kar Layna.
Betaabii Had Se Barh Jaye..
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko.
To Doob K Meri Yadoon Main..
Duniya Say Kinara Kar Layna..
Jis Waqt Janaza Guzray Ga,
us Shaks Ka Teray Koochay Say.
Jazbaat Pe Kaboo Kar Layna.
Khirki Se Nazara Kar Layna..
Agar ho sakay tu meri kaber par
Aa k zara sa ro lena.
Faryad
Main Tu Insaan K Ziada Kareeb Hoon
Tu.......... . Sun Mere Maalik !
Meri Qismat Ki Siyaa Bakhtii Par
Tere Karam Ki Baarish Kab Hogi
Meri Tu Sirf Itni Faryaad Hai
K..........Aaj Ki Shab..
Ya Meri Manzil Ka Pata Bata
Ya Phir Hamesha K Liay Faryaad Karne Wali
Zabaan Khamoosh Karde
Kion K..........
Ab Asi Hayat Ki Mujhay Aarzoo Nahin
Jis Main Mohabbat Meri Manzil Na Ho.

Mery Naam Bhi Koi Shaam Kar
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
KABHI IS TARHAN MERAY HUMSAFAR,
SABHI CHAHTAIN MERAY NAAM KAR,
AGAR HO SAKAY TO KABHI KAHIN,
MERAY NAAM BHI KOI SHAAM KAR,
MERAY DIL K SAAY MAIN AA ZARA,
MERI DARKANON MAIN QAYAM KAR,
YEH JO MERAY LAFZOON K PHOOL HAIN,
TERAY RAASTAY KI DHOOL HAIN,
KABHI IN SAY SUN MERI DASTAN,
KABHI IN K SATH QALAAM KAR.
Mil Ker Jana Bhool Geya,
Apni yaadein apni baatein ley ker jana bhool geya,
jane wala jaldi mein tha, mil ker jana bhool geya,
Mur mur ker dekha tha usne aadhe raste mein,
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool geya,
Waqt-e-rukhsat meri aankhein poonch raha tha aanchal se,
Usko gham tha itna ziada khud wo rona bhool geya.

Mujhay Tum Yaad Aatay Ho
Ajab sa lutf aata hai
Taree ankhon mein rahnay ka
Kabhi mein kuch ubhartee hon
Kabhi mein doob jatee hon
Kabhi tu jeet hotee hai
Kabhi mein haar jatee hon
Kabhi tum shadaan ho kar
Khushee k geet gatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi shab bhar nahin sona
Kabhi din bhar ye he rona
K dil k zakhm gahray hain
magar ye bhool jatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi ankhon k lahjay mein
Azaan-e-dil sunatay ho
Kabhi jo toot jatee hon
mujhay tum phir banaatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi tum zindage saay ho
Kabhi hai zindagee tum say
mein jab bhi roothh jatee hon
mujhay tum khud manatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Tumhain jab chout lagtee hhai
mujhay bhi dard hota hai
mujhay afsoorda patay ho
magar tum muskaraty ho
mujhay tum yaad atay ho
Tumharee ulfatain janaa
Mein ab tak bhool na paa'e
Khayalon mein mujhay ab bhi
Brabar kyun satatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho...
Mujhay tum yaad aatay ho.....
Taree ankhon mein rahnay ka
Kabhi mein kuch ubhartee hon
Kabhi mein doob jatee hon
Kabhi tu jeet hotee hai
Kabhi mein haar jatee hon
Kabhi tum shadaan ho kar
Khushee k geet gatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi shab bhar nahin sona
Kabhi din bhar ye he rona
K dil k zakhm gahray hain
magar ye bhool jatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi ankhon k lahjay mein
Azaan-e-dil sunatay ho
Kabhi jo toot jatee hon
mujhay tum phir banaatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Kabhi tum zindage saay ho
Kabhi hai zindagee tum say
mein jab bhi roothh jatee hon
mujhay tum khud manatay ho
mujhay tum yaad aatay ho
Tumhain jab chout lagtee hhai
mujhay bhi dard hota hai
mujhay afsoorda patay ho
magar tum muskaraty ho
mujhay tum yaad atay ho
Tumharee ulfatain janaa
Mein ab tak bhool na paa'e
Khayalon mein mujhay ab bhi
Brabar kyun satatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho...
Mujhay tum yaad aatay ho.....
Mujhe Beqrar Rehne De
Logon ne mere gum ka tamasha bana diya,
Mere chaman k saath mera dil bhi jala diya!
Apno ne mere pyaar ka kuch yun sila diya,
Ulfat badley khoon k ansu rula diya
Yunhi faslon ko sajae rakh,
yunhi intezar rehne de
~Mere zehn-o-dil k sukoon par,
Mera ikhtyar rehne de
~Teri chahton me jo dard he,
ye sab khushi se qabul he
~Meri chashm-e-nam ka guman na kar,
Mujhe ashk baar rehne de
~Teri bebasi baja sahi,
Meri khush fehmi bi ghalat nahi
~Tujhe har qadam pe khushi mile,
Mujhe sogwar rehne de
~Meri guftgu me jo dard he,
wohi dard Mera nasib he
~Me bhula chuke hun qarar ko,
Mujhe beqrar rehne de.

Ek Lafz Mohabbat Hai
ek lafz mohabbat hai isey kar key dekho tum
barbad na ho jao to mera naam badal dena
ek lafz muqadar hai is se larkar dekho tum
haar na jao tum to mera naam badal dena
ek lafz wafa hai zamaney mein nahin milta
kahin se dhondh kar lao to mera naam badal dena
ek lafz ansoo hai isey dil mein chuppa kar dekho tum
ankhon se na beh jaye to mera naam badal dena
ek lafz judai hai isey seh kar dekho tum
toot kar na bekher jao to mera naam badal dena.

Woh Piyaar Bhi Karta Hai
WO PYAR BHI KARTA HAI OR IZHAR BHI NAHI KARTA
JO POCHLE KOI US SE TO IQRAR BHI NAHI KARTA
WO AISA SAADA DIL HAI K MUJHSE MILNE KI DUAIN BHI MANGE
JAB SAMNE AJAON TOU DEDAR BHI NAHI KARTA
AGAR US SE DOOOR JAON ME TOU SAANS RUK JAE USKI
OR KOI MAANG LE MUJHE US SE TOU INKAAR BHI NAHI KARTA
APNE QAREEB AANE SE WO ROOK DETA HAI MUJHKO
OR RAAH ME HAAYIL KOI DEWAR BHI NAHI KARTA.
MERE DIL KE DARWAZE PER WO DASTAK BHI DETA HAI "KANWAL"
OR WO DARWAZA KHULL JANE KA INTIZAAR BHI NAHI KARTA.

KHUDA HAFIZ
Tumhen main apna dost kaehta tha
Tumhain apna samjhta tha
Ajeeb eik khush gumani si
Mujeh din raat rahti thi
K...........
Tum bhi dost ho mere
Mujeh apna samjhte ho.....
Mere hone ya na hone se
tumhen bhi farq padhta hai
MAGR
Main aaj yeh samjha hon
K....aesa rabt hi kab tha !!
Bahut talkh hai.....lekin
Mujeh yeh baat kahni hai
Tumhen yeh ilam hi kab hai
Sach bahut hi talkh hota hai
K.....gham berukhi ka
Har gham se badha gham hai
Mujeh tum se yeh kahna hai
Tumhara aur mera sath....bas
Itna hi tha......shaeyd !
Tumhare sath guzre howe waqt ko
Main yaad rakhon ga
Ksi baat se meri...agr
Tumhara dil dukha ho to
Mujeh maaf kardena
Acha....
ab....... main chalta hoon
KHUDA HAFIZ !!
Tumhain apna samjhta tha
Ajeeb eik khush gumani si
Mujeh din raat rahti thi
K...........
Tum bhi dost ho mere
Mujeh apna samjhte ho.....
Mere hone ya na hone se
tumhen bhi farq padhta hai
MAGR
Main aaj yeh samjha hon
K....aesa rabt hi kab tha !!
Bahut talkh hai.....lekin
Mujeh yeh baat kahni hai
Tumhen yeh ilam hi kab hai
Sach bahut hi talkh hota hai
K.....gham berukhi ka
Har gham se badha gham hai
Mujeh tum se yeh kahna hai
Tumhara aur mera sath....bas
Itna hi tha......shaeyd !
Tumhare sath guzre howe waqt ko
Main yaad rakhon ga
Ksi baat se meri...agr
Tumhara dil dukha ho to
Mujeh maaf kardena
Acha....
ab....... main chalta hoon
KHUDA HAFIZ !!
Mohabbat Ka Irada Hai
Kisi pathar ki moorat se mohabbat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
Jo dil ki dharkanein samjhe na ankho ki zuban samjhe
Nazar ki guftagu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
Ushi ke samne us ki shikayat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
ye socha hai ke dil ki bat us ke robaru keh dein
Natija kuch bhi nikle aaj apni arzoo keh dein
Har ik be ja takalluf se baghawat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai
Mohabbat be rukhi se aur bharrke gi wo kya jane
Tabbiat is ada se aur pharrke gi wo kya jane
Wo kya jane ke apna kis qayamat ka irada hai
Paristish ki tamanna hai ibadat ka irada hai.

Darr lagta hai
yaroo say ab hath milatay huy darr lagta hai
aur ik naya dhoka kahtay huy darr lagta hai
jab koi rag hi naye cheer raha ho
bhola sa ik nagma gatay huy darr lagta hai
wo to chorr gaya ik morr p la k laikin
hum ko tanha agay jatay huy darr lagta hai
ye bhi nhi k rasta bhool gaye hain
dair hui hai itni k jatay huy darr lagta hai
ye to sach hai k dhoka kah baithy hain
pr dil ko ye samjhtay huy darr lagta hai.

Friday, May 1, 2009
Dil apne aap DhaDakta Hai
Dil Apney Aap Dhadakta Hai, Dharkaya Nahi Jata
Yeh Raaz-E-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi Jata
Agar Ehsaas Ho Tho, Mohabat Ko Kar Lo Mehsoos
Yeh woh Jazba Hai Jo Lafzoon Mein Samjhaya Nahi Jata
Dosti Ke Liye Mohabat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jata
Bohat Kam Hai Log Jho Dil Mein Uter Jhate hai
Her Rah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jata
Koshish Se Badal Jhati Hai TaQdeerein
Dekar Ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya nahI.

Duaon Me Kisi Ka Har Ghari Hona MOHABBAT HY
Duaon Me Kisi Ka Har Ghari Hona MOHABBAT HY
Kisi ki Yaad Ki Chadar Tale Sona MOHABBAT HY
Kabi Rangen Raton Me Ashk Barsana MOHABBAT HY
Kabi Bhulae Hoe Ka Loat Kar Aana MOHABBAT HY
Kisi Ka Khoon Ban K Jism Me Behna MOHABBAT HY
Or Is Jevan Ka Sab Se Qeemti Gehna MOHABBAT HY.

Guzre Dino ki Yaad
Guzre Dino ki Yaad Barasati Ghataa lage
Guzroon jo us Gali se to Thandi Hawa lage
Mehamaan banke aaye kisi Roz agar wo Shakhs
Us Roz bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa lage
Mai is liye Manata nahi Wasl ki Khushi
Mere Raqeeb ki na Mujhe bad-Duaa lage
Wo Qehat Dosti ka para hai k, in Dino
Jo Muskura ke Baat kare Aashnaa lage
Tark-e-Wafa ke baad ye us ki adaa 'Qateel'
Mujh ko Sataye koi to us ko Buraa lage.

Tum Yaad Aye
kal halki halki barish thi,,
kal sard hawa ka raks b tha..
kal phool b nikhray nikhray the,
kal un me apka aks b tha..
kal badal kaale gehre the,
kal chand pe lakhon pehrey the..
kuch tukray apki yadon ke,
badi deir se dil me thehre the..
kal yadein uljhi uljhi thin,
or kal tak ye na suljhi thin..
kal yaad bohat tum aye the,
kal yaad bohat tum aye the.
kal sard hawa ka raks b tha..
kal phool b nikhray nikhray the,
kal un me apka aks b tha..
kal badal kaale gehre the,
kal chand pe lakhon pehrey the..
kuch tukray apki yadon ke,
badi deir se dil me thehre the..
kal yadein uljhi uljhi thin,
or kal tak ye na suljhi thin..
kal yaad bohat tum aye the,
kal yaad bohat tum aye the.
Hum Nazuk Nazuk Dil Wale
Hum Nazuk Nazuk Dil wale
Bas aise hi to hote hain...
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian,
Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain,
Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,
Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain,
Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale
Bas aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain.
Bas aise hi to hote hain...
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian,
Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain,
Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,
Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain,
Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale
Bas aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain
Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain.
Umeed
Kisi ki yaad dil mai ha koi ehsas baqi ha
Badaltey mosomon k darmiyan ek raaz baqi ha
Abhi ma safar ma hu milegi manzil mujhey
Magar in raaston k darmiyan ek sath baqi ha
Kahi pe sham dhalti ha kahi raat hoti ha
Abhi to chand nikla ha, chandni raat baqi ha
Chaley aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
Hamara jism murda ha hamagar ek saans baqi ha
Ummed ha phir bhi wo milega ek din
Apney aap pe bharosa ha aur yehi aas baqi ha.

Subscribe to:
Posts (Atom)