Tuesday, July 28, 2009

Muhabbat Phool Jaisi Hai

Main Sun K Uss Ki Sab Batain

December K Hasee'n Din Thaay

December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main

Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha

Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni

Berhi Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai

Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ussay Akhir Pighalna Tha

Ussay Tou Mitt He Jaana Tha...!!!

Filhaal.........????????

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.........

Muhabat kiss ko kehtay hain

Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main khoya thay
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main soyay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian palay
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain.......

Ajab Din Thay Mohabbat K

Ajab Din Thay Mohabbat K
Ajab Mousam Thay Chahat K

Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu Palkoon Pay Istaray Jhimilatay Hain...
Kisi Ki yaad Main Jaagna Maamool Tha Apna....

Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu Hum Yeh Sooch Letey Thay.....
Abhi Tu Humaray Wastay Rooya Nahin Ho Ga

Abhi Sooya Nahin Ho Ga
Abhi Hum Nahin Rootay

Abhi Hum Nahin Sootay
So Phir Hum Jagtay Aur Us Ko Yaad Kartay Thay

Akelay Beth Kar Weeraan Dil Aabaad Kartay Thay
Humaray Samnay Taaroon Ki Jhurmat Main Akela Chaand Hota Tha....

Jo Is K Husn K Aagay Buhat Hi Maand Hota Tha.......
Falak Pay Raks Kartay Unginat Roshan Sitaaroon Ko Jo Hum Tarteeb Detey Thay

Tu Us Ka Naam Banta Tha
Hum Aglay Rooz Jab Miltay Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka Zikar Kartay Thay

Har Ek Qissa Sunatay Thay........
Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan Say

Dil Dharka Batatay Thay........ ..
Main Jab Kehta Keh "Jaana" Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal Nahin Sooya

Tu WOh Khamoosh Rehti Thi
Par Us Ki Neend Main Doobi Huey Do Jheel Si Aankhain

Achanak Bool Uthti Theen....... ...
Main Jab Us Ko Batata Tha Keh Main Nay Raat Roshan Sitaaroon Main Tumhara Naam Dekha Hai......... .

Tu Woh Kehti Thi K Tum Jhoot Kehtay Ho........
Sitaaray Main Nay Dekhay Hain Aur In Roshan SItaaroon Main Tumhara Naam Likha Tha......... ..

Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray Mil Hi Jayein Gain
Magar Us Ko Khabar Kia Thi

Kinaaray Mil Nahin Saktay
Mohabbat Ki Kahani Main

Mohabbat Karnay Walay K
Sitaaray Mil Nahin Saktay......

محبت ذات ہوتی ہے

محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
کوئی جنگل میں جا ٹہرے
کسی بستی میں بس جائے
محبت ساتھ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت خوشبوؤں کی لے
محبت موسموں کی دھن
محبت آبشاروں کے بہتے پانیوں کا من
محبت جنگلوں میں رقص کرتی مورنی کا تن
محبت برف پڑتی سردیوں میں دھوپ بنتی ہے
محبت چلچلاتے گرم صحراؤں میں ٹھنڈی چھاؤں کی مانند
محبت اجنبی دنیا میں اپنےگاؤں کی مانند
محبت دل۔۔۔۔۔۔۔۔۔!
محبت جاں۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت روح کا درماں۔۔۔
محبت مورتی ہے۔
اور کبھی جو دل کے مندر میں کہیں پر ٹوٹ جائے تو؟؟؟؟؟؟
محبت کانچ کی گڑیا
فٍضاؤں میں کسی کے ہاتھ سے گر چھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت آبلہ ہے کرب کا
اور پھوٹ جائے تو؟؟؟؟؟
محبت روگ ہوتی ہے ۔۔۔۔۔
محبت سوگ ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
محبت شام ہوتی ہے ۔۔۔
محبت رات ہوتی ہے۔۔۔۔۔
محبت جھلملاتی رات میں برسات ہوتی ہے!!!!!
محبت نیند کی رت میں حسیں خوابوں کے رستوں پر
سلگتے، جاں کو آتے ،رتجگوں کی گھات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔
محبت جیت ہوتی ہے؟؟؟
محبت مات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔
محبت ذات ہوتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Wo Aksar Bhool Jatii Hai

Wo Aksar Bhool Jatii Hai
Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
Kisi Din Taiz Baarish Mein
Kabhi Darya Key Dhaarey Par
Kabhi Sehra Kinaarey Par
Wo Mera Naam Likhtii Hai
Kabhii Likh Kar Mitatii Hai
Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
Mita Kar Hasney Lagtii Hai
Kisi Din Shaam Sey Pehley
Mitaana Bhool Jatii Ha
To Saari Raat Rotii Hai ......

December Aanay Wala Hay

Suna Hay Jana ......
December Aanay Wala Hay

Tum Us Say Kehna..
Ab Keh Udaas Nahi Hona
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain
Ab Tu Hamari Saansay ...
Ak Dosray Ki Saanso Say Chalti Hain
Hamaray Dil Tu Ab Jaana
Ak Doojay Kay Seenay Main Dharaktay Hain

Usay Kehna -----------------

Main Nay Apnay Sab Sapnay
Teri Aankhon Main Bou Diye Hain
Ab Hamari Neenday
Hamaray Rat-Jagay Bhi Sanjhay Hain
Ham Ak Saath Ab
Ak Jesay Khowabo Main Utartay Hain

Usay Kehna --------------------

Ager-chy ...
Chaar-so Nazro Kay Hazaro Pehray Hain
Lakin ...
Ham Ak Doojay Main Magan Esay Keh
Ham Ab Zamanay Say Nahi Dartay Hain Jaana

Usay Kehna --------------------

Ham Mohabbat Kay Samandar
Main Ab Ak Saath Utar-tay Hain
Mohabbat Kay Geet Gaatay Hain
Wafa Kay Phool Chumtay Hain
Ham Akelay Bhi Hon Tu
Kabhi Tanha Nahi Hotay
Ab Tu Hijar Main Bhi
Wisaal Ka Sama Rehta Hay

Jaana Ab Kay
Tum DECEMBER Say Kehna
Ab Kay Udaas Nahi Hona..
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain ------!!!!!!

MeRe HuMsAfAr

mere hamsafar
mere hamnashen
main ne rab se manga to kuch nahin
main ne jab bhi mangi koi dua
nahin manga kuch bhi tere siwa
ye talab kiya ke mera khuda
sabhi rahtein
sabhi cyahtein
wo ata kare tujhe manzilen
ye talab kiya ke mera khuda
tujhe bakht de
tujhe taj de
tujhe takht de
mere hamsafar
mere chara gar
ye hai dosti ka kathan safar
mere saath chalna zara soch kar
zara dekh to mera hosla
mere paas jo bhi wo hai tera
nahin aur kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri bebasi
meri khamoshi
mera ilam bhi
mera naam bhi
ke meri subhu
meri shaam bhi
ke jo mil saken mere daam bhi
wo sabhi kuch tujhe ata kare
mere hamsafar
to yaqeen to kar
mujhe mangna to na asaka
main ne phir bhi mangi yehi dua
ke gawahi de ga mera khuda
main ne jab bhi us se talab kia
nahin manga kuch bhi
teri khushi ke siwa......!!!

Tumhara Chand Sa Chehra

mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra

keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra

falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra

main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra

andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra

hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan.....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day
ujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.....!!

Nahin Karna :(

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna .....!!

Wohi Izhar Kafi Tha

Jany Ye Kon Chala Aya Hai

Hai Muhabbat Tu Iss Qadar Kyun Hai

Apna???

Friday, July 24, 2009

Faqt Itni Si Khawahish

Dil

Chand ko Chand Se Barh Kar

Bay Parwa

Barish !!!!!!

Ayadat

Ary A Dil-E-Nadan

Apna??

Ansoo !!!!

Agar Tum Mujh Ko Mil Jate

آخری خواہش

مرے ساتھی
مری یہ روح میرے جسم سے پرواز کر جائے
تو لوٹ آنا
مری بے خواب راتوں کے عذابوں پر
سسکتے شہر میں تم بھی
ذرا سی دیر کو رکنا
مرے بے نور ہونٹوں کی دعاؤں پر
تم اپنی سرد پیشانی کا پتھر رکھ کے رو دینا
بس اتنی بات کہہ دینا
مجھے تم سے محبت ہے

تم سے کچھ نہیں کہنا

ہم نے سوچ رکھا ہے
چاہے دل کی ہر خواہش
زندگی کی آنکھوں سے اشک بن کے
بہہ جائے
چاہے اب مکینوں پر
گھر کی ساری دیواریں چھت سمیت گر جائیں
اور بے مقدر ہم
اس بدن کے ملبے میں خود ہی کیوں نہ دب جائیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
کیسی نیند تھی اپنی،کیسے خواب تھے اپنے
اور اب گلابوں پر
نیند والی آنکھوں پر
نرم خو سے خوابوں پر
کیوں عذاب ٹوٹے ہیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
گھر گئے ہیں راتوں میں
بے لباس باتوں میں
اس طرح کی راتوں میں
کب چراغ جلتے ہیں،کب عذاب ٹلتے ہیں
اب تو ان عذابوں سے بچ کے بھی نکلنے کا راستہ نہیں جاناں!
جس طرح تمہیں سچ کے لازوال لمحوں سے واسطہ نہیں جاناں!
ہم نے سوچ رکھا ہے
تم سے کچھ نہیں کہنا

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا
ہم یاد رکھتے ہیں
تری باتوں سے اس دل کو
بہت آباد رکھتے ہیں

کبھی دل کے صحیفے پر
تجھے تصویر کرتے ہیں
کبھی پلکوں کی چھاؤں میں
تجھے زنجیر کرتے ہیں
کبھی خوابیدہ شاموں میں
کبھی بارش کی راتوں میں

کوئی موسم ہو وصل و ہجر کا
ہم یاد رکھتے ہیں

تری باتوں سے اس دل کو
بہت آباد رکھتے ہیں

YE ZINDAGEE AJEEB Si

YE ZINDAGEE AJEEB Si

KABHI GULZAAR Si

KABHI BAIZAAR Si

KABHI KHUSHI HAMARAY SATH SATH

KABHI GHAMON KI BARSAAT Si

YE ZINDAGEE BARI AJEEB Si

KABHI TOOFAN MAIN BHI HAIN RAASTAY

KABHI MANZILON KA PATA NEHE

KABHI DO QADAM PAY HAY ZINDAGEE

KABHI SADIONKA INTIZAAR Si

KABHI HAR PAL IMTIHAAN HAY

KABHI BIN MAANGAY INAAM HAY

KABHI KUCH Nahi

KABHI SAB KUCH HAY

YE ZINDAGEE AJEEB Si

KABHI GULZAAR Si

KABHI BAIZAAR Si

YE ZINDAGI AJEEB Si!!!!

MERI BEBASI MERI MAUT HAI

MERI BEBASI MERI MAUT HAI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

HER WADA HAI WAFA YAHAN
YE DIL HAI TERA SHEHER NAHI

HAN TU KEON LOT KAR AYE GA
IK KAFLA HUN MEIN MANZIL NAHI
JAHAN KHUSBO HO CHARON AUR
YE WO CHAMAN NAHI GULISTAN NAHI

AB HAR TARAF IK SANATA IK KHAMSHI CHAI HAI
IK MELA THA JAHAN YEA WO SHEHAR NAHI
YE TERAY HI QADMON KI CHAP HAI SHAYED
MAGAR YE MERI GALI NAHI MERA MAKAN NAHI

MERI BEBASI MERI MAUT NAHI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

Ab KOI WADA NAHI WAFA YAHAN
YEA GAUR HAI.. DIL NAHI.. TERA SHEHER NAHI..

Tujhye Kiya Khabar

Mere hamsafar tujhye kiya khabar

In rahoon main

Koy humnashen koy dil ruba

Mere sath tha in rahoon main

Ratoon ki gharayi main

khwabon ki tanhayi main

Kab tak main tanha rahoon

Tanhayi k dukh sahoun

Huwa tu juda to mujhye laga

Main naheen raha in rahoon main

Jis ko main ne chaha tha

Woh sapnon jaisa tha

Jalte bujhte yeh diye

Rakhe hain kis k liye

Woh qadam qadam mere sath tha

Meri aas tha in rahoon main...

مجھے لکھنے کی خواہش ہے

مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔
مگر لکھا نہیں جاتا
میرے الفاظ دل کی آہنی دیوار سے سر پھوڑتے ہیں
اور انہیں اظہار کا رستہ نہیں ملتا
میری آنکھیں جنھیں دِل میں چھپے جذبات کو اشکوں کی بولی میں
بتا دینے پہ قدرت تھی
وہ اب کچھ بھی نہیں کہتیں
میرے یہ لب !
جو دل کی ان کہی باتوں کو کہنے سے نہ ڈرتے تھے
وہ لب کچھ بھی نہیں کہتے
میرے یہ اُنگلیاں !
جو دل میں چُھپے جذبات کو اظہار کا رستہ بتاتی تھیں
وہ اب کچھ بھی نہیں لکھتیں
میری آنکھیں، یہ لب، یہ اُنگلیاں مجھ سے کہتے ہیں
کہ اب جذبات کو اظہار کا رستہ نہیں دینا
کہ یہ منہ زور ہوتے ہیں
فقط رستے کے ملنے سے
انہیں منزل تلک جانے کی حاجت ہی نہیں رہتی
نئے رستے پہ جاتے ہیں
نئی راہیں بناتے ہیں
مگر پھر واپسی کے سب نشاں یہ بھول جاتے ہیں
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
وگرنہ خوں رُلائیں گے
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
مجھے لکھنے کی خواہش ہے
مگر لکھا نہیں جاتا

Usay kehna

Usay kehna,
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai
Abhi tak meri ye ankhain
Soohanay khawab bunti hain
Meray hontoon ki junbish main
Tumhara naam rehta hia
Abhi barish ki bondoon main
Tumhara piyar baqi hai
Usay ye bhi bata daina
Abhi izhaar baqi hia
Abhi yaadon k kantoon say
Mera daman ulajhta hai
Tumhara piyar seenay main
Kahin ab bhi dharakhta hai
Hawa ab bhi mawaqif hia
Humaray saath chaltii hia
Usay kehna...!!
Judai ka abhi mousam nahi aaya
Mohab'bat ki kahani main
Kahin par ghum nhai aaya
Magar sub kuch badalnay main
Bhala kai dair lagti hai
Naya sooraj nikalnay main
Bhala kai dair lagtii hai
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar lay
Naiee rastoon pay chalnay main
Bhala kia dair lagtii hai ............!!

Chand Sa Chehra

mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra

keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra

falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra

main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra

andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra

hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day
ujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.....

Nahin Karna .....!!

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna .....!!

MERE SAATHI..

MOHABBAT KAM NAHI KARNA..

HAMARI JAAN LE LENA, SUBAH KO SHAM KEH DENA,

KISI KAMZOR LAMHE MAIN, KABHI MAJBOOR HO JAO,

JO THAK KE CHUR HO JAO, TO SHAMA GUL NAHI KARNA,

MOHABBAT KAM NAHI KARNA..

HUM KANTO PE REH LAIN GE, TERA PYAR MAANGE GE,

BESHUMAR MAANGE GE, SAFAR KI JUSTUJU KARNA,

ZAMANE SE NAHI DARNA, MOHABBAT KAM NAHI KARNA.......

IK PAGAL PAGAL C LADKI.....,

ik pagal pagal c ladki
dil torne se darti thi
har pal ,har lamha,
khud se wo jhagarti thi
ansoo kun aay kisi ankh mein
mujrim khud ko samjti thi
ghut ghut k jeeti rehti thi
har saans ulajti rehti thi-
so baar kaha a nnadaan ladki
duniya ko dekhna chorr de
khud se uljhna chorr de
pal pal bikharna chorr de
yahan hasaas dil to koi nhi
yahan nazuki se kaam na le
yahan pathar ban na parta hai
yahan rehm dili se kaam na le
so baar kaha
par kesi na samj thi
duniya ko hi sab samjti thi
phir wohi huwa jo hona tha
dil toota uss ka
jis ka usse rona tha
bharose ki diwaar giri
sard lehje har baar mile
phir simt gai apni zaat mein
tamaam dukhon ko samete anchal mein
ankhon mein jazbaat nhi
pehle se halaat nhi
farq sirf itna huwa
khud apni zaat ko torr diya
tanhaiyon se rishta jorr liya
phir tanha tanha rehne lagi
phir khud ko pathar kehne lagi....
ik pagal pagal c ladki
jo dil torr ne se darti thi

Rootha Nahi Kertay

Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty.

Accha Bhi Lagta Hai

Bahout Acha bhi lagta hay ,
Achanuk iss terha dil ka doobara mubtalla hona
Mohabbat Ashna hona,

Magar jub dekhta hoon,
Waqt kitna ja chuka hay
Rastoon ki dhool
Qadmoon aur siroon per kis terha say jum chuki hay

Aur,

Hum Tum,

Apni Apni zindagee k dairoon main
Apni Apni gardishoon main
Iss terha uljhay huway hain
jis terha dast e falak main sath chaltay,
doo sitaray
Jo bazahir pass lagtay hain
mager un ki rafaqat main
karooroon meal ki tanhai ka derya bhi hota hay


Yeah derya parr keasay hoo
Na tum ho uss kinaray per
Na hum hain iss kinaray per


Soo Behter hay
Hum apnay apnay diaroon k iss khalla main ghoomtay jaeain
sitaroon ki terha
Ik sath chamkain aur damkain tou sahi lakin
Yeah apnay beach main jo fasloon ka surkh derya hay
Issay tasleem he ker lain
Keh iss bay pull k derya main
na tum he tair saktay hoo
Na hum he tair saktay hain!

Bahout acha tou lagta hay
Achanuk iss terha dil ka mohabbat ashna hoona
Doobara mubtalla hona!

Tera Husn ho , Mera Ishq ho

Tera Husn ho,
Mera Ishq ho.
Tou phr Husn-o-Ishq ki baat ho.

Kbi Main miloon, kbi Tu mile,

Kbi hum milen Mulaqat ho,

Kbi Tu ho chup,
Kbi MaiN hoon chup

Kbi donoN Hum chup chap hon,

Kbi guftagu,
Kbi Tazkre,

koi zikr ho,
Koi baat ho

Kbi wisl ho tou Din ko ho,

Kbi Hijr ho,
tou wo raat ho

Kbi main Tera' Kbi Tu meri,
kbi ek dujey k hum rahen

Kbi sath Main,
Kbi sath Tu

Kbi ek dujey ka sath ho

Kbi Sohbaten,
kbi Ranjishen

Kbi Do0riyan,
kbi Qurabaten
Kbi Ulfaten,
Kbi Nafraten

Kbi jeet ho,
kbi Maat ho

Kbi phool ho,
Kbi dhool ho

Kbi yaad ho,
Kbi bhool ho

Na Nashaib hon,
Na Faraz hon

Rahen Muskurate pyar me,
Khilen phool ban k Bahar me

Na zameen koi,
Na falaq koi

Na wajood ho,
na he zaat ho

"S I R F"
Tera Husan ho,
Mera Ishq ho.

Tumhain Mujh Se Becharna Ho

Kbi jo waqt phir jaye,
tmhain mujhse bicharna ho,
tmhain waaday se phirna ho,
to beshak dair mat karna,
mujhe naraz kar dena,
tm apna rukh badal lena,
tm apni simt chal dena,
mgr jb laut k aana,
tmhain mitti k teelay par,
main shayad na dikhaai doon,
mgr hairaan mat hona,
wahin do chaar qadmo'n par,
mazaar e bekra'an hoga,
wahaan ik phool rakh dena,
ik shamma jala dena,
aur apna rukh badal lena,
aur apni simt chal dena...

Thursday, July 23, 2009

"NASIHAT"

Mere humdam zara

Tum Tawajo kro

Or sunno Goor se

Ye koi qissa ya koi kahani nahi

Jhooti baat b tum ko batani nahi

Baat ye hy k tum abhi Na'Daan ho

Hijar ki soabatton se tum anjan ho

Meri Maano agar

To khuda k liye

Khawb Mat Dekhna

Tum nahi jantey

khawbon ki neend se jab b jaago k Tum

Taabir en khawbon ki jab na pao ge Tum

Toot jaye ga Dil Aas mit jaye gi

zindagi kitney tukaroon may bat jaye gi

Meri baaton pe tum ko bharosa hy gar

Dil lagana nahi

Apne Dil may kisi ko basana nahi

Tum nahi jantey

Jab b Dil may kisi ko basao ge tum

Phir kabhi usko na bhool pao ge tum

Wo chala jaye ga Tera Dil tor ker

kaisay tanha kaho phir kat'tey ga safar

Meri Maano

Meri Jaan samajh jao Tum

Es rastey se wapas palat aao Tum

khawb Dekho nahi

Dil Lagao nahi

Apni Aankhoo may sapne sajao nahi...!!!

Mujhy Pyar Do

Yonhi ajnabi na bna kro

kbi muskra k mila kro,

Kbi sun to lo mera hal-e-dil

kbi muj se koi gila kro,

Teri ik nazr teri ik ada

mere dil ko kr diya la-pta

Mere dosto,

mere ham-nawa

mere dil ka koi pta kro,

Yeh tareeq-e-ishq hai kuch to ho

ya wafa kro,

ya jafa kro

Koi faisla mere mehrban

koi rasm tum B ada kro,

Na hi zeest ka koi rasta

na hi khud-kushi ka hai hosla

Muje payar do,

muje maar do

koi kaam tum bhi kiya kro...!

Hawa K Rukh Per Charag-e-Ulfat

Main Pal Do Pal Ka Shair

Gulabon Se Mehki Larri Ho Gae

Wednesday, July 22, 2009

Kya Mila Tum Ko

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein

Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein...

Falak Pe

Ye Meri Muhabbat Hai

Teri khatir Jo rota hun to ye meri MUHABAT hy,
Jo moti Rol deta hun to ye meri MUHABAT hy,
Tumhari YAD ki kirno ko Aksar ANKH me rakh ker,
Main apni neend jo khota hun to ye meri MUHABAT hy,
Hua Ehsas khusbo chandni ko Dehkh kar aksar,
Tujhe MEHSOS karta hun to ye meri MUHABAT hy,
Falak pe chand taron k hasin jhurmat k manzar me,
Tere chehre ko takta hun to ye meri MUHABAT hy,
Main apni zindgi k sare jazbon ko,
Tumhare nam karta hun to ye meri MUHABAT hy...

Mujhe Roshni ki talab bhi thi

Mujhe Roshni ki talab bhi thi...
Mujhe mazilon ka Gumaan bhi tha
Mujhe Raasto ki khabar bhi thi...
Mein bashar jo tha'Mera Dil bhi tha
Mere Dil mein rang bikhairti hue
Khawahisho ka Hajoom bhi tha
Meri Zindagi ki Khalaoo mein
Kai teeirtey hue Khawaab the
Mujhe maangne ka shaoor tha
Mere Lab pe Harf-e-DUA bhi tha
Mein Bashar jo tha...
Mujhe Roshni ki Talab to thi
Mujhe Raasto ki khabar to thi
Mujhe Manzilo ka Gumaan to tha
Tu ne phir bhi kaise samajh liya
Koi Aarzoo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujeh Tujh se Barh kar AZEEZ hai
Kabhi Iss taraf se guzar hua
To nazar bacha ke Ye dekhna
TERE baad jitni basar hue
Issey UMER kehna Durust hai.....???

Sula raha tha na bedar

Sula raha tha na bedar ker saka tha mujhe
Vo jaisey khawab mein mehsoos ker raha tha mujhe
Yahi tha chand aur us ko gawah tehra ker
Zara sa yaad to ker tu ne kia kaha tha mujhe
Tamam raat meri khawbgaah roshan thi
Kisi ne khawab mein ek phool de dia tha mujhe
Woh din bhi aye k khushbu se meri aankh k'huli
Aur ek rang haqiqat mein chu raha tha mujhe
Mein apni khak per kaisey na lot ker ati
Buht qareeb se koi pukarta tha mujhe
Daroon-e-khaima hi mera qayam rehna tha
to meer-e-fauj ne lashkar mein kio liya tha mujhe...

hum Iss Dunia Ko Choor Chaly

Agar Wo Mehraban Hoti

Pagal Larki

Muhabbat Marr Nahi Sakti

Meri Qasam

Na Main Pass Uss Ko Bula Saka

Tum Ny Tu Keh Diya

Tuesday, July 21, 2009

Sunday, July 19, 2009