Monday, April 13, 2009

Jine Ki Tamana Koun Kare

Marne ki duayeen kyun mangon
Jine ki tamana koun kare
Yeh duniya ho ya woh duniya
Ab khuwaishe duniya koun kare

Jo aag lagayi thi tum ne
Us ko to bujhaya ashkon ne
Jo ashkoon ne bharkayi hay
Us aag ko thanda koun kare

Jab kashti sabit_o_salim thi
Sahil ki tamana kis ko thi
Ab asi shikesta kashti par
Sahil ki tamana koun kare

Duniya ne humain chora aye dil
Hum choor na deen kyun duniya ko
Duniya ko samjh kar bathe hain
Ab duniya duniya koun kare

Marne ki duayeen kyun mangon
Jine ki tamana koun kare
Yeh duniya ho ya woh duniya
Ab khuwaishe duniya koun kare

No comments:

Post a Comment