Aankhon say behtay askq nahi
 khoon-e-jigar rawani hai
   kuch teri bewafaii ki
   kuch wafa ki meri kahani hai
 
   
 aankhon main jyoti nahi, tum samaye baithe ho
 dil main dharkan nahi, tum ghar banaye baithe ho
 
 
 ab bhi tu haseen hai, is baat say inkaar nahi
 magar ab is dil ko tera intezaar nahi
 
    
 machli paani main doob gaye
 hum ishq main doob gaye
   usay to zindagi mili
   hum jeena hi bhool gaye
   
 
 mujhko udaas dekh ker, zamany nay yeh sawal kiya
 woh kaun hai zalim, jisnay tera yeh haal kiya
   maine kaha woh mohabbat hai, jo muri unkay saath hai
   woh nikli bewafa zalim, bus itni si baat hai
   
 
 gaanay walay ko kaho, aaj is tarah gayain
 her dil ko lagay chott, her aankh bhar aayain
 
 
 kuch ker kay dikha dain, ki kaam bohot hain
 is jahan main jeetnay walay muqaam bohot hain
   mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay
   roz marha mitnay walay naam bohot hain
   
   
 tujhe dekhna chaahta hoon her pal
 shayad tujhse bohot pyar karta hoon
   kal tak to tujhe jaanta bhi na tha
   aaj tera intezaar karta hoon
No comments:
Post a Comment