Tuesday, April 14, 2009

Aaj Koy Gham Naheen

Humsafar le chal wahan
Jhumte hain dil jahan
Aaj koy gham naheen
Do dilon k darmiyan

Chahton ki aag main
Jal rahe hain do badan
Rach gayi hay rouh main
Pyaar ki thandi jalan
Badolon ka yeh dhunwaan
Kah raha hay daastan

Kis qadar purkaif hain
Zindagi k raaste
Ban gayi janat zameen
Tere mere waaste
Phool barsaye samman
Manzilain hain mehirban

Gesuwoun ki chaoun main
Naachti palkon tale
Jo bhi apna khawab hay
Woh haqeqat main dhale
Hum basayeen jane jaan
Ek alag apna jahan

Aaj koy gham naheen
Do dilon k darmiyan
Humsafar le chal wahan
Jhumte hain dil jahan

No comments:

Post a Comment